Surah Al-Fath Verse 27 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathلَّقَدۡ صَدَقَ ٱللَّهُ رَسُولَهُ ٱلرُّءۡيَا بِٱلۡحَقِّۖ لَتَدۡخُلُنَّ ٱلۡمَسۡجِدَ ٱلۡحَرَامَ إِن شَآءَ ٱللَّهُ ءَامِنِينَ مُحَلِّقِينَ رُءُوسَكُمۡ وَمُقَصِّرِينَ لَا تَخَافُونَۖ فَعَلِمَ مَا لَمۡ تَعۡلَمُواْ فَجَعَلَ مِن دُونِ ذَٰلِكَ فَتۡحٗا قَرِيبًا
Fil waqeh Allah ne apne Rasool ko saccha khwab dikhaya tha jo theek theek haqq ke mutabiq tha. Insha Allah tum zaroor masjid e haram mein purey aman ke saath dakhil hongey, apne sar mundwa-ogey (shave) aur baal tarashwa-ogey aur tumhein koi khauff na hoga. Woh us baat ko janta tha jisey tum na jante thay is liye woh khwab pura honay se pehle usne yeh qareebi fatah tumko ata farmadi