Surah Al-Fath Verse 26 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathإِذۡ جَعَلَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ فَأَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَعَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَأَلۡزَمَهُمۡ كَلِمَةَ ٱلتَّقۡوَىٰ وَكَانُوٓاْ أَحَقَّ بِهَا وَأَهۡلَهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
(Yahi wajah hai ke) jab in kafiron ne apne dilon mei jaahilana hamiyat bitha li to Allah ne apne Rasool aur momino par sakinat nazil farmayi aur momino ko taqwa ki baat ka paband rakkha, ke wahi uske zyada haqdar aur uske ahel thay. Allah har cheez ka ilm rakhta hai