Surah Al-Fath Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathهُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَٱلۡهَدۡيَ مَعۡكُوفًا أَن يَبۡلُغَ مَحِلَّهُۥۚ وَلَوۡلَا رِجَالٞ مُّؤۡمِنُونَ وَنِسَآءٞ مُّؤۡمِنَٰتٞ لَّمۡ تَعۡلَمُوهُمۡ أَن تَطَـُٔوهُمۡ فَتُصِيبَكُم مِّنۡهُم مَّعَرَّةُۢ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ لِّيُدۡخِلَ ٱللَّهُ فِي رَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۚ لَوۡ تَزَيَّلُواْ لَعَذَّبۡنَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
Whai log to hain jinhon ne kufr kiya aur tumko masjid e haram se roka aur haadi(qurbani) ke Unton (camels) ko unki qurbani ki jagah na pahunchne diya. Agar (Makkah mein) aisey momin Mard o aurat maujood na hotay jinhein tum nahin jante, aur yeh khatra na hota ke nadanastagi mein tum unhein pamaal kardoge aur ussey tumpar haraf aayega (to jung na roaki jati. roaki woh is liye gayi) taa-ke Allah apni rehmat mein jisko chahe daakhil karle. Woh momin alag ho gaye hotey to (ehle Makkah mein se) jo kafir thay unko hum zaroor sakht saza dete