Surah Al-Fath Verse 25 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Fathهُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَٱلۡهَدۡيَ مَعۡكُوفًا أَن يَبۡلُغَ مَحِلَّهُۥۚ وَلَوۡلَا رِجَالٞ مُّؤۡمِنُونَ وَنِسَآءٞ مُّؤۡمِنَٰتٞ لَّمۡ تَعۡلَمُوهُمۡ أَن تَطَـُٔوهُمۡ فَتُصِيبَكُم مِّنۡهُم مَّعَرَّةُۢ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ لِّيُدۡخِلَ ٱللَّهُ فِي رَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۚ لَوۡ تَزَيَّلُواْ لَعَذَّبۡنَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
Yehi woh log hain jinhon ney kufur kiya aur tumko masjid-e-haram say roka aur qurbani kay liye moqoof janwar ko uss ki qurban gah mein phonchney say (roka) aur agar aisay (boht say) musalman mard aur (boht si) musalman aurten na hoti jinn ki tum ko khabar na thi yani unn kay piss janey ka ehtimal na hota jiss per unki waja say tum ko bhi bey khabri mein zararr phonchta (to tumhen larney ki ijazat dey di jati lekin aisa nahi kiya gaya) takay Allah Taalaa apni rehmat mein jiss ko chahye dakhil keray aur agar yeh alag alag hotay to inn mein say jo kafir thay hum unn ko dard-naak saza detay