Surah Al-Fath Verse 29 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathمُّحَمَّدٞ رَّسُولُ ٱللَّهِۚ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ أَشِدَّآءُ عَلَى ٱلۡكُفَّارِ رُحَمَآءُ بَيۡنَهُمۡۖ تَرَىٰهُمۡ رُكَّعٗا سُجَّدٗا يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗاۖ سِيمَاهُمۡ فِي وُجُوهِهِم مِّنۡ أَثَرِ ٱلسُّجُودِۚ ذَٰلِكَ مَثَلُهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِۚ وَمَثَلُهُمۡ فِي ٱلۡإِنجِيلِ كَزَرۡعٍ أَخۡرَجَ شَطۡـَٔهُۥ فَـَٔازَرَهُۥ فَٱسۡتَغۡلَظَ فَٱسۡتَوَىٰ عَلَىٰ سُوقِهِۦ يُعۡجِبُ ٱلزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ ٱلۡكُفَّارَۗ وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنۡهُم مَّغۡفِرَةٗ وَأَجۡرًا عَظِيمَۢا
Muhammad Allah ke Rasool hain, aur jo log unke saath hain woh kuffar par sakht aur aapas mein raheem hain. Tum jab dekhoge unhein ruku va sujood aur Allah ke fazl aur uski khushnudi ki talab mein mashgul paogey. Sujood ke asarat unke chehron par maujood hain jinse woh alag pehchane jatey hain. Yeh hai unki sifat Taurat mein. Aur Injeel mein unki misal yun di gayi hai ke goya ek kheti hai jisne pehle kopal nikali, phir us ko taqviyat di, phir woh gadhrayi, phir apne tanay (stem) par khadi ho gayi. Kaasht (sowers) karne walon ko woh khush karti hai taa-ke kuffar inke phalne phoolne par jalein (enraged). Is giroh ke log jo imaan laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain Allah ne unse magfirat aur bade ajar ka waada farmaya hai