Surah Al-Fath Verse 29 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Fathمُّحَمَّدٞ رَّسُولُ ٱللَّهِۚ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ أَشِدَّآءُ عَلَى ٱلۡكُفَّارِ رُحَمَآءُ بَيۡنَهُمۡۖ تَرَىٰهُمۡ رُكَّعٗا سُجَّدٗا يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗاۖ سِيمَاهُمۡ فِي وُجُوهِهِم مِّنۡ أَثَرِ ٱلسُّجُودِۚ ذَٰلِكَ مَثَلُهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِۚ وَمَثَلُهُمۡ فِي ٱلۡإِنجِيلِ كَزَرۡعٍ أَخۡرَجَ شَطۡـَٔهُۥ فَـَٔازَرَهُۥ فَٱسۡتَغۡلَظَ فَٱسۡتَوَىٰ عَلَىٰ سُوقِهِۦ يُعۡجِبُ ٱلزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ ٱلۡكُفَّارَۗ وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنۡهُم مَّغۡفِرَةٗ وَأَجۡرًا عَظِيمَۢا
Muhammad (PBUH) Allah kay rasool hain aur jo log unn kay sath hain kafiron per sakht hain aapas mein reham dil hain tu enhen dekhay ga kay rukoo aur sajday ker rahey hain Allah Taalaa kay fazal aur raza mandi ki justujoo mein hain inn ka nishan inn kay chehron per sajdon kay asar say hai inn ki yeh hi misal toraat mein hai aur inn ki misal injeel mein hai misil uss kheti kay jiss ney apna ankhwa nikala phir ussay mazboot kiya aur woh mota hogaya phir apnay tanay per seedha khara hogaya aur kisano ko khush kernay laga takay inn ki waja say kafiron ko chiraye inn eman walon aur nek aemaal walon say Allah ney bakhsish ka aur boht baray sawab ka wada kiya hai