Surah Muhammad - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ أَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka Allah ney unn kay aemaal barbad ker diye
Surah Muhammad, Verse 1
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَءَامَنُواْ بِمَا نُزِّلَ عَلَىٰ مُحَمَّدٖ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡ كَفَّرَ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَأَصۡلَحَ بَالَهُمۡ
Aur jo log eman laye aur achay kaam kiye aur uss per bhi eman laye jo Muhammad (PBUH) per utari gaee hai aur darasal inn kay rab ki taraf say sacha (deen) bhi wohi hai Allah ney inn kay gunah door ker diye aur inn kay haal ki islaah kerdi
Surah Muhammad, Verse 2
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡبَٰطِلَ وَأَنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡحَقَّ مِن رَّبِّهِمۡۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ أَمۡثَٰلَهُمۡ
Yeh iss liye kay kafiron ney baatil ki pairwee ki aur momino ney uss din haq ki ittaba ki jo unn kay Allah ki taraf say hai Allah Taalaa logon ko unkay ehwaal issi tarah batata hai
Surah Muhammad, Verse 3
فَإِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَضَرۡبَ ٱلرِّقَابِ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَثۡخَنتُمُوهُمۡ فَشُدُّواْ ٱلۡوَثَاقَ فَإِمَّا مَنَّۢا بَعۡدُ وَإِمَّا فِدَآءً حَتَّىٰ تَضَعَ ٱلۡحَرۡبُ أَوۡزَارَهَاۚ ذَٰلِكَۖ وَلَوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَٱنتَصَرَ مِنۡهُمۡ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَاْ بَعۡضَكُم بِبَعۡضٖۗ وَٱلَّذِينَ قُتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَن يُضِلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
To jabb kafiron say tumhari mud-bher ho to gardano per war maro jabb unko achi tarah kuchal dalo to abb khoob mazboot qaid-o-band say giriftar kero (phir ikhtiyar hai) kay khuwa ehsan rakh ker chor do ya fidya ley ker ta-waqt-e-kay laraee apnay hathyar rakh day. Yehi hukum hai aur agar Allah chahta to (khud) hi inn say badla ley leta lekin (uska mansha yeh hai) kay tum mein say aik ka imtehan doosray kay zariyey say ley ley jo log Allah ki raah mein shaheed ker diye jatay hain Allah Taalaa unkay aemaal hergiz zaya na keray ga
Surah Muhammad, Verse 4
سَيَهۡدِيهِمۡ وَيُصۡلِحُ بَالَهُمۡ
Unhen raah dikhaye ga aur unkay halaat ki islah kerday ga
Surah Muhammad, Verse 5
وَيُدۡخِلُهُمُ ٱلۡجَنَّةَ عَرَّفَهَا لَهُمۡ
Aur unhen uss jannat mein ley jaye ga jiss say unhen shanasa ker diya hai
Surah Muhammad, Verse 6
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَنصُرُواْ ٱللَّهَ يَنصُرۡكُمۡ وَيُثَبِّتۡ أَقۡدَامَكُمۡ
Aey eman walo! Agar tum Allah kay (deen) ki madad kero gay to woh tumhari madad keray ga aur tumhen sabit qadam rakhay ga
Surah Muhammad, Verse 7
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَتَعۡسٗا لَّهُمۡ وَأَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Aur jo log kafir huye unhen halaki ho Allah unkay aemaal ghaarat kerday ga
Surah Muhammad, Verse 8
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَرِهُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Yeh iss liye kay woh Allah ki nazil kerdah cheez say na khush huye pus Allah Taalaa ney (bhi) unn kay aemaal zaya ker diye
Surah Muhammad, Verse 9
۞أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ دَمَّرَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۖ وَلِلۡكَٰفِرِينَ أَمۡثَٰلُهَا
Kiya inn logon nay zamin mein chal phir ker iss ka moaeena nahi kiya kay inn say pehlay kay logon ka nateeja kiya hua? Allah ney unhen halak ker diya aur kafiron kay liye iss tarah ki sazayen hain
Surah Muhammad, Verse 10
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَأَنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ لَا مَوۡلَىٰ لَهُمۡ
Woh iss liye kay eman walon ka kaar saaz khud Allah Taalaa hai aur iss liye kay kafiron ka koi kaar saaz nahi
Surah Muhammad, Verse 11
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَتَمَتَّعُونَ وَيَأۡكُلُونَ كَمَا تَأۡكُلُ ٱلۡأَنۡعَٰمُ وَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡ
Jo log eman laye aur unhon ney nek aemaal kiye unhen Allah Taalaa aisay baghon mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren beh jari hain aur jo log kafir huye woh (duniya hi ka) faeedah utha rahey hain aur misil chopayon kay kha rahey hain unn ka asal thikana jahannum hai
Surah Muhammad, Verse 12
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ هِيَ أَشَدُّ قُوَّةٗ مِّن قَرۡيَتِكَ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَتۡكَ أَهۡلَكۡنَٰهُمۡ فَلَا نَاصِرَ لَهُمۡ
Hum ney kitni bastiyon ko jo taqat mein teri iss basti say ziyadah thin jiss say tujhay nikala hum ney unhen halak ker diya jinka madadgar koi na utha
Surah Muhammad, Verse 13
أَفَمَن كَانَ عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّهِۦ كَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُم
Kiya pus woh shaks jo apnay perwerdigar ki taraf say dalil per ho uss shaks jaisa ho sakta hai? Jiss kay liye uss ka bura kaam muzayyan ker diya gaya ho aur woh apni nafsani khuwaishon ka pero ho
Surah Muhammad, Verse 14
مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ فِيهَآ أَنۡهَٰرٞ مِّن مَّآءٍ غَيۡرِ ءَاسِنٖ وَأَنۡهَٰرٞ مِّن لَّبَنٖ لَّمۡ يَتَغَيَّرۡ طَعۡمُهُۥ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ خَمۡرٖ لَّذَّةٖ لِّلشَّـٰرِبِينَ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ عَسَلٖ مُّصَفّٗىۖ وَلَهُمۡ فِيهَا مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ وَمَغۡفِرَةٞ مِّن رَّبِّهِمۡۖ كَمَنۡ هُوَ خَٰلِدٞ فِي ٱلنَّارِ وَسُقُواْ مَآءً حَمِيمٗا فَقَطَّعَ أَمۡعَآءَهُمۡ
Uss jannat ki sift jiss ka perhezgaron say wada kiya gaya hai yeh hai kay uss mein pani ki nehren hain jo badboo kernay wala nahi aur doodh ki nehren hain jinka maza nahi badla aur sharab ki nehren hain jinn mein peenay walon kay liye bari lazzat hai aur nehren hain shehad ki jo boht saaf hain aur unn kay liye wahan her qisam kay meway hain aur unkay rab ki taraf say maghfirat hai kiya yeh misil iss kay hain jo hamesha aag mein rehnay wala hai? Aur jihen garam kholta hua pani pilaya jaye ga jo inn ki aanton kay tukray tukray ker dey ga
Surah Muhammad, Verse 15
وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَ حَتَّىٰٓ إِذَا خَرَجُواْ مِنۡ عِندِكَ قَالُواْ لِلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ مَاذَا قَالَ ءَانِفًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُمۡ
Aur inn mein baaz (aisay bhi hain kay) teri taraf kaan lagatay hain yahan tak kay jabb teray pass say jatay hain to ehl-e-ilm say (ba-waja kund zehni-o-laperwahee kay) poochtay hain kay iss ney abhi kiya kaha tha? Yehi log hain jinn kay dilon per Allah ney mohar ker di hai aur woh apni khuawishon ki perwi kertay hain
Surah Muhammad, Verse 16
وَٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ زَادَهُمۡ هُدٗى وَءَاتَىٰهُمۡ تَقۡوَىٰهُمۡ
Aur jo log hidayat yafta hain Allah ney unhen hidayat mein aur barha diya hai aur unhen unki perhezgari ata farmaee hai
Surah Muhammad, Verse 17
فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗۖ فَقَدۡ جَآءَ أَشۡرَاطُهَاۚ فَأَنَّىٰ لَهُمۡ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ ذِكۡرَىٰهُمۡ
To kiya yeh qayamat ka intezar ker rahe hain kay woh inn kay pass achanak aajaye yaqeenan iss ki alamaten to aa chuki hain phir jabkay inn kay pass qayamat aajaye enhen naseehat kerna kahan hoga
Surah Muhammad, Verse 18
فَٱعۡلَمۡ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱللَّهُ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۢبِكَ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مُتَقَلَّبَكُمۡ وَمَثۡوَىٰكُمۡ
So (aey nabi) aap yaqeen kerlen kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur apnay gunahon ki bakhsish manga keren aur momin mardon aur momin aurton kay haq mein bhi Allah tum logo ki amdoraft ki aur rehnay sehnay ki jagah khoob janta hai
Surah Muhammad, Verse 19
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡلَا نُزِّلَتۡ سُورَةٞۖ فَإِذَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٞ مُّحۡكَمَةٞ وَذُكِرَ فِيهَا ٱلۡقِتَالُ رَأَيۡتَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ نَظَرَ ٱلۡمَغۡشِيِّ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡمَوۡتِۖ فَأَوۡلَىٰ لَهُمۡ
Aur jo log eman laye woh kehtay hain koi soorat kiyon nazil nahi ki gaee? Phir jab koi saaf matlab wali soorat nazil ki jati hai aur iss mein qitaal ka ziker kiya jata hai to aap dekhtay hain jinn logon kay dilon mein beemari hai woh aap ki taraf iss tarah dekhtay hain jaisay uss shaks ki nazar hoti hai jiss per mot ki beyhoshi taari ho pus boht behtar tha unn kay liye
Surah Muhammad, Verse 20
طَاعَةٞ وَقَوۡلٞ مَّعۡرُوفٞۚ فَإِذَا عَزَمَ ٱلۡأَمۡرُ فَلَوۡ صَدَقُواْ ٱللَّهَ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ
Farman ka baja lana aur achi baat ka kehna. Phir jab kaam muqarrar hojaye to agar Allah kay sath sachay rahen to unn kay liye behtri hai
Surah Muhammad, Verse 21
فَهَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن تَوَلَّيۡتُمۡ أَن تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَتُقَطِّعُوٓاْ أَرۡحَامَكُمۡ
Aur tum say yeh bhi baeed nahi kay tum ko agar hukumat mill jaye to tum zamin per fasad berpa kerdo aur rishtay natay tor dalo
Surah Muhammad, Verse 22
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُ فَأَصَمَّهُمۡ وَأَعۡمَىٰٓ أَبۡصَٰرَهُمۡ
Yeh wohi log hain jinn per Allah ki phitkaar hai aur jinn ki samaat aur aankhon ki roshni cheen li hai
Surah Muhammad, Verse 23
أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ أَمۡ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقۡفَالُهَآ
Kiya yeh quran mein ghor-o-fiker nahi kertay? Ya inn kay dilon per unn kay talay lag gaye hain
Surah Muhammad, Verse 24
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَٰرِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَى ٱلشَّيۡطَٰنُ سَوَّلَ لَهُمۡ وَأَمۡلَىٰ لَهُمۡ
Jo log apni peeth kay bal ultay phir gaye iss kay baad kay unn kay liye hidayat wazeh ho chuki yaqeenan shetan ney unn kay liye (unkay fail ko) muzayyen ker diya hai aur unhen dheel day rakhi hai
Surah Muhammad, Verse 25
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لِلَّذِينَ كَرِهُواْ مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ سَنُطِيعُكُمۡ فِي بَعۡضِ ٱلۡأَمۡرِۖ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِسۡرَارَهُمۡ
Yeh iss liye kay unhon ney inn logon say jinhon ney Allah ki nazil kerdah wahee ko bura samjha yeh kaha kay hum bhi unqareeb baaz kamon mein tumhara kaha manen gay aur Allah unki posheedah batein khoob janta hai
Surah Muhammad, Verse 26
فَكَيۡفَ إِذَا تَوَفَّتۡهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ
Pus unki kaisi (durgat) hogi jabkay farishtay unki rooh qabaz kertay huye unkay chehron aur unki sareeno per maaren gay
Surah Muhammad, Verse 27
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمُ ٱتَّبَعُواْ مَآ أَسۡخَطَ ٱللَّهَ وَكَرِهُواْ رِضۡوَٰنَهُۥ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Yeh iss bina per kay yeh woh raah chalay jiss say unhon ney Allah ko naraz kerdiya aur unhon ney uss ki raza mandi ko bura jana to Allah ney unkay aemaal ikarat ker diye
Surah Muhammad, Verse 28
أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ أَن لَّن يُخۡرِجَ ٱللَّهُ أَضۡغَٰنَهُمۡ
Kiya unn logon ney jinkay dilon mein beemari hai yeh samjh rakha hai kay Allah unkay keeno ko zahir hi na keray ga
Surah Muhammad, Verse 29
وَلَوۡ نَشَآءُ لَأَرَيۡنَٰكَهُمۡ فَلَعَرَفۡتَهُم بِسِيمَٰهُمۡۚ وَلَتَعۡرِفَنَّهُمۡ فِي لَحۡنِ ٱلۡقَوۡلِۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Aur agar hum chahtay to unn sabb ko tujhay dikha detay pus tu unhen unn kay chehron say hi pehchan leta aur yaqeenan tu unhen unki baat kay dhab say pehchan leyga tumharay sabb kaam Allah ko maloom hain
Surah Muhammad, Verse 30
وَلَنَبۡلُوَنَّكُمۡ حَتَّىٰ نَعۡلَمَ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ مِنكُمۡ وَٱلصَّـٰبِرِينَ وَنَبۡلُوَاْ أَخۡبَارَكُمۡ
Yaqeenan hum tumhara imtehan keren gay takay tum mein say jihad kernay walon aur sabar kerney walon ko zahir kerden aur hum tumhari halaton ki bhi jaanch kerlen
Surah Muhammad, Verse 31
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَشَآقُّواْ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَىٰ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗا وَسَيُحۡبِطُ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Yaqeenan jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say logon ko roka aur rasool ki mukhalifat ki iss kay baad kay unn kay liye hidayat zahir ho chuki yeh hergiz hergiz Allah ka kuch nuksan na keren gay. Unqareeb inn kay aemaal woh ghaarat ker dey ga
Surah Muhammad, Verse 32
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَلَا تُبۡطِلُوٓاْ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Aey eman walon! Allah ki ita’at kero aur rasool ka kaha mano aur apnay aemaal ko ghaarat na kero
Surah Muhammad, Verse 33
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ مَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٞ فَلَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡ
Jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say auron ko ko roka phir kufur ki halat mein hi marr gaye (yaqeen kerlo) kay Allah unhen hergiz na bakhshay ga
Surah Muhammad, Verse 34
فَلَا تَهِنُواْ وَتَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلسَّلۡمِ وَأَنتُمُ ٱلۡأَعۡلَوۡنَ وَٱللَّهُ مَعَكُمۡ وَلَن يَتِرَكُمۡ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Pus tum bodhay bann ker sulah ki darkhuast per na utar aao jabkay tum hi buland-o-ghalib rahop gay aur Allah tumharay sath hai na-mumkin hai kay woh tumharay aemaal zaya ker dey
Surah Muhammad, Verse 35
إِنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞۚ وَإِن تُؤۡمِنُواْ وَتَتَّقُواْ يُؤۡتِكُمۡ أُجُورَكُمۡ وَلَا يَسۡـَٔلۡكُمۡ أَمۡوَٰلَكُمۡ
Waqaee zindagan-e-duniya to sirf khel kood hai aur agar tum eman ley aao gay aur taqwa ikhtiyar kero gay to Allah tumhen tumharay ajar dey ga aur woh tum say tumharay maal nahi mangta
Surah Muhammad, Verse 36
إِن يَسۡـَٔلۡكُمُوهَا فَيُحۡفِكُمۡ تَبۡخَلُواْ وَيُخۡرِجۡ أَضۡغَٰنَكُمۡ
Agar woh tum say tumharay maal mangay aur zor dey ker mangay to tum uss say bakheeli kerney lago gay aur woh tumharay keenay zahir ker dey ga
Surah Muhammad, Verse 37
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ تُدۡعَوۡنَ لِتُنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَمِنكُم مَّن يَبۡخَلُۖ وَمَن يَبۡخَلۡ فَإِنَّمَا يَبۡخَلُ عَن نَّفۡسِهِۦۚ وَٱللَّهُ ٱلۡغَنِيُّ وَأَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُۚ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ يَسۡتَبۡدِلۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡ ثُمَّ لَا يَكُونُوٓاْ أَمۡثَٰلَكُم
Khabardar! Tum woh log ho kay Allah ki raah mein kharch kernay kay liye bulaye jatay ho to tum mein say baaz bakheeli kerney lagtay hain aur jo bukhul kerta hai woh to dar-asal apni jaan say bakheeli kerta hai. Allah Taalaa ghani hai aur tum faqeer (aur mohtaj) ho aur agar tum roogardaan hojao to woh tumharay badlay tumharay siwa aur logon ko laye ga jo phir tum jaisay na hongay
Surah Muhammad, Verse 38