Surah Al-Ahqaf - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
حمٓ
Haa-meem
Surah Al-Ahqaf, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Iss kitab ka utarna Allah Taalaa ghalib hikmat waly ki taraf say hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 2
مَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَمَّآ أُنذِرُواْ مُعۡرِضُونَ
Hum ney aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan ki tamam cheezon ko behtreen tadbeer kay sath hi aik muddat moayyen kay liye peda kiya hai aur kafir log jiss cheez say daraye jatay hain mun mor letay hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 3
قُلۡ أَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِۖ ٱئۡتُونِي بِكِتَٰبٖ مِّن قَبۡلِ هَٰذَآ أَوۡ أَثَٰرَةٖ مِّنۡ عِلۡمٍ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aap keh dijiye! Bhala dekho to jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho mujhay bhi to dikhao kay unho ney zamin ka konsa tukra banaya hai ya aasmano mein unn ka konsa hissa hai? Agar tum sachay ho to iss say pehlay hi ki koi kitab ya koi ilm hi jo naqal kiya jata ho meray pass lao
Surah Al-Ahqaf, Verse 4
وَمَنۡ أَضَلُّ مِمَّن يَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَن لَّا يَسۡتَجِيبُ لَهُۥٓ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَهُمۡ عَن دُعَآئِهِمۡ غَٰفِلُونَ
Aur iss say barh ker gumrah aur kon hoga? Jo Allah kay siwa aison ko pukarta hai jo qayamat tak uss ki dua qabool na ker saken bulkay unn kay pukarney say mehaz baykhabar hon
Surah Al-Ahqaf, Verse 5
وَإِذَا حُشِرَ ٱلنَّاسُ كَانُواْ لَهُمۡ أَعۡدَآءٗ وَكَانُواْ بِعِبَادَتِهِمۡ كَٰفِرِينَ
Aur jab logon ko jama kiya jayega to yeh unn kay dushman hojayen gay aur unn ki parastish say saaf inkaar ker jayen gay
Surah Al-Ahqaf, Verse 6
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٌ
Aur enhen jabb humari aayaten parh ker sunaee jati hain to munkir log sachi baat ko jabkay unkay pass aa chuki keh detay hain kay yeh to sareeh jadoo hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 7
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۖ قُلۡ إِنِ ٱفۡتَرَيۡتُهُۥ فَلَا تَمۡلِكُونَ لِي مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۖ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَا تُفِيضُونَ فِيهِۚ كَفَىٰ بِهِۦ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۖ وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Kiya woh kehtay hain kay issay to iss ney khud ghar liya hai aap keh dijiye! Kay agar mein hi issay bana laya hun to tum meray liye Allah ki taraf say kissi cheez ka ikhtiyar nahi rakhtay tum iss (quran) kay baray mein jo kuch keh sunn rahey ho ussay Allah khoob janta hai meray aur tumharay darmiyan gawahee kay liye wohi kafi hai aur woh bakhshney wala meharban hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 8
قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعٗا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِي مَا يُفۡعَلُ بِي وَلَا بِكُمۡۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ وَمَآ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٞ
Aap keh dijiye! Kay mein koi bilkul anokha payghamber to nahi na mujhay yeh maloom hai kay meray satha aur tumharay sath kiya kiya jayega. Mein to sirf ussi ki perwi kerta hun jo meri taraf wahee bheji jati hai aur mein to sirf alal elan aagah ker denay wala hun
Surah Al-Ahqaf, Verse 9
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَكَفَرۡتُم بِهِۦ وَشَهِدَ شَاهِدٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَلَىٰ مِثۡلِهِۦ فَـَٔامَنَ وَٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aap keh dijiye! Agar yeh (quran) Allah hi ki taraf say ho aur tum ney issay na mana ho aur bani israeel ka aik gawah iss jaisi ki gawahee bhi dey chuka ho aur woh eman bhi la chuka ho aur tum ney sirkashi ki ho to be-shak Allah Taalaa zalimon ko raah nahi dikhata
Surah Al-Ahqaf, Verse 10
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡ كَانَ خَيۡرٗا مَّا سَبَقُونَآ إِلَيۡهِۚ وَإِذۡ لَمۡ يَهۡتَدُواْ بِهِۦ فَسَيَقُولُونَ هَٰذَآ إِفۡكٞ قَدِيمٞ
Aur kafiron ney emaandaron ki nisbat kaha kay agar yeh (deen) behtar hota to yeh log iss ki taraf hum say sabqat kerney na patay aur chonkay enhon ney iss quran say hidayat nahi paaee pus yeh keh den gay kay qadeemi jhoot hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 11
وَمِن قَبۡلِهِۦ كِتَٰبُ مُوسَىٰٓ إِمَامٗا وَرَحۡمَةٗۚ وَهَٰذَا كِتَٰبٞ مُّصَدِّقٞ لِّسَانًا عَرَبِيّٗا لِّيُنذِرَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُحۡسِنِينَ
Aur iss say pehlay musa ki kitab peshwa aur rehmat thi. Aur yeh kitab hai tasdeeq kernay wali arabi zaban mein takay zalimon ko daraye aur nek karon ko bisharat ho
Surah Al-Ahqaf, Verse 12
إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Be-shak jinn logon ney kaha kay humara rab Allah hai phir iss per jamay rahey to inn per na to koi khof hoga aur na ghumgeen hongay
Surah Al-Ahqaf, Verse 13
أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ خَٰلِدِينَ فِيهَا جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yeh to ehl-e-jannat hain jo sada issi mein rahengay unn aemaal kay badlay jo woh kiya kertay thay
Surah Al-Ahqaf, Verse 14
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ إِحۡسَٰنًاۖ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ كُرۡهٗا وَوَضَعَتۡهُ كُرۡهٗاۖ وَحَمۡلُهُۥ وَفِصَٰلُهُۥ ثَلَٰثُونَ شَهۡرًاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغَ أَشُدَّهُۥ وَبَلَغَ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗ قَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَصۡلِحۡ لِي فِي ذُرِّيَّتِيٓۖ إِنِّي تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَإِنِّي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur hum ney insan ko apnay maa baap kay sath husn-e-salook kerney ka hukum diya hai uss ki maa ney ussay takleef jhel ker pet mein rakha aur takleef bardasht kerkay ussay jana. Uss kay hamal aur uss kay doodh churaney ka zamana tees maheeney ka hai yahan tak kay jab woh apni pukhtagi aur chalees saal ki umer ko phoncha to kehnay laga aey meray perwerdigar! Mujhay tofiq dey kay mein teri iss nemat ka shukar baja laon jo tu ney mujh per aur meray maa baap per inam ki hai aur yeh kay mein aisay nek amal keron jinn say tu khush hojaye aur tu meri aulad bhi saleh bana. Mein teri tarf rujoo kerta hun aur mein musalmano mein say hun
Surah Al-Ahqaf, Verse 15
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ نَتَقَبَّلُ عَنۡهُمۡ أَحۡسَنَ مَا عَمِلُواْ وَنَتَجَاوَزُ عَن سَيِّـَٔاتِهِمۡ فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَعۡدَ ٱلصِّدۡقِ ٱلَّذِي كَانُواْ يُوعَدُونَ
Yehi woh log hain jinn kay nek aemaal to hum qabool farma letay hain aur jinn kay bad aemaal say darguzar ker letay hain (yeh) jannati logon mein hain. Iss sachay waday kay mutabiq jo inn say kiya jata tha
Surah Al-Ahqaf, Verse 16
وَٱلَّذِي قَالَ لِوَٰلِدَيۡهِ أُفّٖ لَّكُمَآ أَتَعِدَانِنِيٓ أَنۡ أُخۡرَجَ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلۡقُرُونُ مِن قَبۡلِي وَهُمَا يَسۡتَغِيثَانِ ٱللَّهَ وَيۡلَكَ ءَامِنۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ فَيَقُولُ مَا هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Aur jiss ney apnay maa baap say kaha kay tum say mein tang aagaya tum mujh say yehi kehtay raho gay kay mein marney kay baad phir zindah kiya jaoon ga mujh say pehlay bhi ummaten guzar chuki hain woh dono janab bari mein faryad kertay hain aur kehtay hain tujhay kharabi ho tu eman ley aa be-shak Allah ka wada haq hai woh jawab deta hai kay yeh to sirf aglon kay afsaney hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 17
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
Woh log hain jinn per (Allah kay azab ka) wada sadiq aagaya inn jinnaat aur insano kay girohon kay sath jo inn say pehlay guzar chukay hain yaqeenan yeh nuksan panay walay thay
Surah Al-Ahqaf, Verse 18
وَلِكُلّٖ دَرَجَٰتٞ مِّمَّا عَمِلُواْۖ وَلِيُوَفِّيَهُمۡ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Aur her aik ko apnay apnay aemaal kay mutabiq darjay milen gay takay unhen unn kay aemaal kay pooray badlay day aur unn per zulm na kiya jayega
Surah Al-Ahqaf, Verse 19
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَذۡهَبۡتُمۡ طَيِّبَٰتِكُمۡ فِي حَيَاتِكُمُ ٱلدُّنۡيَا وَٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهَا فَٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَبِمَا كُنتُمۡ تَفۡسُقُونَ
Aur jiss din kafir jahannum kay siray per layen jayen gay (kaha jayega) tum ney apni nekiyan duniya ki zindagi mein hi barbaad kerdin aur inn say faeedah utha chukay pus aaj tumhen zillat kay azab ki saza di jayegi iss baees kay tum zamin mein na-haq takabbur kiya kertay thay aur iss baees bhi kay tum hukum adooli kiya kertay thay
Surah Al-Ahqaf, Verse 20
۞وَٱذۡكُرۡ أَخَا عَادٍ إِذۡ أَنذَرَ قَوۡمَهُۥ بِٱلۡأَحۡقَافِ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلنُّذُرُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦٓ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Aur aad kay bhai ko yaad kero jabb uss ney apni qom ko aahqaaf mein daraya aur yaqeenan iss say pehlay bhi daraney walay guzar chukay hain aur iss kay baad bhi yeh kay tum siwaye Allah Taalaa kay aur ki ibadat na kero. Be-shak mein tum per baray din kay azab say khof khata hun
Surah Al-Ahqaf, Verse 21
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِتَأۡفِكَنَا عَنۡ ءَالِهَتِنَا فَأۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Qom ney jawab diya kiya aap humaray pass iss liye aaye hain kay humen apnay maboodon (ki parastish) say baaz rakhen? Pus agar aap sachay hain to jiss azab ka aap wada kertay hain ussay hum per la dalen
Surah Al-Ahqaf, Verse 22
قَالَ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَأُبَلِّغُكُم مَّآ أُرۡسِلۡتُ بِهِۦ وَلَٰكِنِّيٓ أَرَىٰكُمۡ قَوۡمٗا تَجۡهَلُونَ
(hazrat Hood ney) kaha (iss ka) ilm to Allah hi kay pass hai mein to jo paygham dey ker bheja gaya tha woh tumhen phoncha raha hun lekin mein dekhta hun kay tum log nadani ker rahey ho
Surah Al-Ahqaf, Verse 23
فَلَمَّا رَأَوۡهُ عَارِضٗا مُّسۡتَقۡبِلَ أَوۡدِيَتِهِمۡ قَالُواْ هَٰذَا عَارِضٞ مُّمۡطِرُنَاۚ بَلۡ هُوَ مَا ٱسۡتَعۡجَلۡتُم بِهِۦۖ رِيحٞ فِيهَا عَذَابٌ أَلِيمٞ
Phir jabb unhon ney azab ko basoorat badal dekha apni wadiyon ki taraf aatay huye to kehnay lagay yeh abar hum per barasney wala hai (nahi) bulkay dar-asal yeh abar woh (azab) hai jiss ki tum jaldi ker rahey thay hawa hai jiss mein dard-naak azab hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 24
تُدَمِّرُ كُلَّ شَيۡءِۭ بِأَمۡرِ رَبِّهَا فَأَصۡبَحُواْ لَا يُرَىٰٓ إِلَّا مَسَٰكِنُهُمۡۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Jo apnay rab kay hukum say her cheez ko halak ker day gi puz woh aisay hogaye kay bajuz unkay maknaat kay aur kuch dikhaee na deta tha gunahgaron kay girohon ko hum yunhi saza detay hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 25
وَلَقَدۡ مَكَّنَّـٰهُمۡ فِيمَآ إِن مَّكَّنَّـٰكُمۡ فِيهِ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ سَمۡعٗا وَأَبۡصَٰرٗا وَأَفۡـِٔدَةٗ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُمۡ سَمۡعُهُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُهُمۡ وَلَآ أَفۡـِٔدَتُهُم مِّن شَيۡءٍ إِذۡ كَانُواْ يَجۡحَدُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Aur bil-yaqeen hum ney (qom aad) ko woh maqdoor diye thay jo tumhen to diye bhi nahi aur hum ney unhen kaan aankhen aur dil bhi dey rakhay thay. Lekin inn kay kano aur dilon ney enhen kuch bhi nafa na phonchaya jabkay woh Allah Taalaa ki aayaton ka inkar kerney lagay aur jiss cheez ka woh mazak uraya kertay thay wohi unn per ulat pari
Surah Al-Ahqaf, Verse 26
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَا مَا حَوۡلَكُم مِّنَ ٱلۡقُرَىٰ وَصَرَّفۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Aur yaqeenan hum ney tumahray aas pass ki bastiyan tabah ker den aur tarah tarah ki hum ney apni nishaniyan biyan ker den takay woh rujoo ker len
Surah Al-Ahqaf, Verse 27
فَلَوۡلَا نَصَرَهُمُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ قُرۡبَانًا ءَالِهَةَۢۖ بَلۡ ضَلُّواْ عَنۡهُمۡۚ وَذَٰلِكَ إِفۡكُهُمۡ وَمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Pus qurb-e-elahi hasil kerney kay liye unhon ney Allah kay siwa jinn jinn ko mabood bana rakha tha unhon ney unn ki madad kiyon na ki? Bulkay woh to unn say kho gaye (bulkay dar-asal) yeh unn ka mehaz jhoot aur (bilkul) bohtan tha
Surah Al-Ahqaf, Verse 28
وَإِذۡ صَرَفۡنَآ إِلَيۡكَ نَفَرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ فَلَمَّا حَضَرُوهُ قَالُوٓاْ أَنصِتُواْۖ فَلَمَّا قُضِيَ وَلَّوۡاْ إِلَىٰ قَوۡمِهِم مُّنذِرِينَ
Aur yaad kero! Jabkay hum ney jinno ki aik jammat ko teri taraf mutawajja kiya kay woh quran sunen pus jab (nabi kay) pass phonch gaye to (aik doosray say) kehney lagay khamosh hojao phir jab parh ker khatam hogaya to apni qom ko khabardar kerney kay liye wapis lot gaye
Surah Al-Ahqaf, Verse 29
قَالُواْ يَٰقَوۡمَنَآ إِنَّا سَمِعۡنَا كِتَٰبًا أُنزِلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّ وَإِلَىٰ طَرِيقٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Kehney lagay aey humari qom! Hum ney yaqeenan woh kitab suni hai jo musa (alh-e-salam) kay baad nazil ki gaee hai jo apnay say pehlay kitabon ki tasdeeq kernay wali hai jo sachay deen ki aur rah-e-raast ki taraf reh numaee kerti hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 30
يَٰقَوۡمَنَآ أَجِيبُواْ دَاعِيَ ٱللَّهِ وَءَامِنُواْ بِهِۦ يَغۡفِرۡ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُجِرۡكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Aey humari qom! Allah kay bulanay walay ka kaha mano iss per eman lao to Allah Taalaa tumharay gunah bakhsh dey ga aur tumehn alamnaak azab say panah dey ga
Surah Al-Ahqaf, Verse 31
وَمَن لَّا يُجِبۡ دَاعِيَ ٱللَّهِ فَلَيۡسَ بِمُعۡجِزٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَيۡسَ لَهُۥ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءُۚ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Aur jo shaks Allah kay bulanay walay ka kaha na manay ga pus woh zamin mein kahin (bhag ker Allah ko) aajiz nahi ker sakta na Allah kay siwa aur koi uss kay madadgar hongay yeh log khulli gumrahee mein hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 32
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَلَمۡ يَعۡيَ بِخَلۡقِهِنَّ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يُحۡـِۧيَ ٱلۡمَوۡتَىٰۚ بَلَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Kiya woh nahi dekhtay kay jiss Allah ney aasmano aur zamin ko peda kiya hai aur inn kay peda kerney say woh na thaka woh yaqeenan murdon ko zindah kerney per qadir hai? Kiyon na ho? Woh yaqeenan her cheez per qadir hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 33
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۖ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Woh log jinhon ney kufur kiya jiss din jahannum kay samney layen jayen gay (aur unn say kaha jayega kay) kiya yeh haq nahi hai? To jawab dein gay haan qasam hai humaray rab ki (haq hai) (Allah) farmaye ga abb apnay kufur kay badlay azab ka maza chakho
Surah Al-Ahqaf, Verse 34
فَٱصۡبِرۡ كَمَا صَبَرَ أُوْلُواْ ٱلۡعَزۡمِ مِنَ ٱلرُّسُلِ وَلَا تَسۡتَعۡجِل لَّهُمۡۚ كَأَنَّهُمۡ يَوۡمَ يَرَوۡنَ مَا يُوعَدُونَ لَمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةٗ مِّن نَّهَارِۭۚ بَلَٰغٞۚ فَهَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Pus (aey payghumber!) tum aisa sabar kero jaisa sabar aali himmat rasoolon ney kiya aur inn kay liye (azab talab kerney mein) jaldi na kero yeh jiss din iss azab ko dekh len gay jiss ka wada diye jatay hain to (yeh maloom honay lagay ga kay) din ki aik ghari hi (duniya mein) theray thay yeh hai pahgham phoncha dena pus badkaron kay siwa koi halak na kiya jaye ga
Surah Al-Ahqaf, Verse 35