Surah Al-Ahqaf Verse 15 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Ahqafوَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ إِحۡسَٰنًاۖ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ كُرۡهٗا وَوَضَعَتۡهُ كُرۡهٗاۖ وَحَمۡلُهُۥ وَفِصَٰلُهُۥ ثَلَٰثُونَ شَهۡرًاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغَ أَشُدَّهُۥ وَبَلَغَ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗ قَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَصۡلِحۡ لِي فِي ذُرِّيَّتِيٓۖ إِنِّي تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَإِنِّي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur hum ney insan ko apnay maa baap kay sath husn-e-salook kerney ka hukum diya hai uss ki maa ney ussay takleef jhel ker pet mein rakha aur takleef bardasht kerkay ussay jana. Uss kay hamal aur uss kay doodh churaney ka zamana tees maheeney ka hai yahan tak kay jab woh apni pukhtagi aur chalees saal ki umer ko phoncha to kehnay laga aey meray perwerdigar! Mujhay tofiq dey kay mein teri iss nemat ka shukar baja laon jo tu ney mujh per aur meray maa baap per inam ki hai aur yeh kay mein aisay nek amal keron jinn say tu khush hojaye aur tu meri aulad bhi saleh bana. Mein teri tarf rujoo kerta hun aur mein musalmano mein say hun