Surah Al-Jathiya Verse 10 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Jathiyaمِّن وَرَآئِهِمۡ جَهَنَّمُۖ وَلَا يُغۡنِي عَنۡهُم مَّا كَسَبُواْ شَيۡـٔٗا وَلَا مَا ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡلِيَآءَۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Unke aage jahannum hai. Jo kuch bhi unhone duniya mein kamaya hai usmein se koi cheez unke kisi kaam na aayegi. Na unke woh sarparast hi unke liye kuch kar sakenge jinhein Allah ko chodh kar unhon ne apna wali bana rakkha hai. Unke liye bada azaab hai