Surah Ash-Shura Verse 5 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ash-Shuraتَكَادُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ يَتَفَطَّرۡنَ مِن فَوۡقِهِنَّۚ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَيَسۡتَغۡفِرُونَ لِمَن فِي ٱلۡأَرۡضِۗ أَلَآ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Qareeb hai ke aasmaan upar se phatt padein farishtey apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh kar rahey hain, aur zameen walon ke haqq mein darguzar ki darkhwastein kiye jaate hain. Aagah raho, haqeeqat mein Allah gafoor o Raheem hi hai