Surah Ash-Shura Verse 15 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ash-Shuraفَلِذَٰلِكَ فَٱدۡعُۖ وَٱسۡتَقِمۡ كَمَآ أُمِرۡتَۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡۖ وَقُلۡ ءَامَنتُ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِن كِتَٰبٖۖ وَأُمِرۡتُ لِأَعۡدِلَ بَيۡنَكُمُۖ ٱللَّهُ رَبُّنَا وَرَبُّكُمۡۖ لَنَآ أَعۡمَٰلُنَا وَلَكُمۡ أَعۡمَٰلُكُمۡۖ لَا حُجَّةَ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُۖ ٱللَّهُ يَجۡمَعُ بَيۡنَنَاۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Junke yeh halat paida ho chuki hai isliye aey Muhammad (s.a.s.) ab tum usi deen ki taraf dawat do, aur jis tarah tumhein hukum diya gaya hai us par mazbooti ke saath qayam ho jaao, aur in logon ki khwaishat ki ittiba na karo. Aur inse kehdo ke: “Allah ne jo kitaab bhi nazil ki hai main uspar imaan laya, mujhe hukum diya gaya hai ke main tumahre darmiyan insaaf karoon. Allah hi hamara Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Hamare aamal hamare liye hain aur tumhare aamal tumhare liye. Hamare aur tumhare darmiyan koi jhagda nahin. Allah ek roz hum sab ko jamaa karega aur usi ki taraf sab ko jana hai”