Surah Fussilat Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Fussilat۞وَقَيَّضۡنَا لَهُمۡ قُرَنَآءَ فَزَيَّنُواْ لَهُم مَّا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
Humne unpar aisey saathi musallat kardiye thay jo unhein aagey aur peechey har cheez khushnuma banakar dikhate thay. Aakhir e kaar unpar bhi wahi faisla e azaab chaspan ho kar raha jo un se pehle guzray huey Jinno aur Insano ke girohon par chaspan ho chuka tha, yaqeenan woh khasare (loss) mein reh jaane waley thay