Surah Az-Zumar - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Is kitaab ka nuzul Allah zabardast aur dana (hikmat wala/full of Wisdom) ki taraf se hai
Surah Az-Zumar, Verse 1
إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ فَٱعۡبُدِ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ
(Aey Muhammad) yeh kitab humne tumhari taraf barhaqq nazil ki hai, lihaza tum Allah hi ki bandagi karo deen ko usi ke liye khalis karte huey
Surah Az-Zumar, Verse 2
أَلَا لِلَّهِ ٱلدِّينُ ٱلۡخَالِصُۚ وَٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ مَا نَعۡبُدُهُمۡ إِلَّا لِيُقَرِّبُونَآ إِلَى ٱللَّهِ زُلۡفَىٰٓ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡ فِي مَا هُمۡ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَنۡ هُوَ كَٰذِبٞ كَفَّارٞ
Khabardar, deen e khalis Allah ka haqq hai.Rahey woh log jinhon ne uske siwa dusre sarparst bana rakkhe hain (aur apne is fail ki taujeeh yeh karte hain ke) hum to unki ibadat sirf is liye karte hain ke woh Allah tak hamari rasayi karadein (bring us nearer to Allah).Allah yaqeenan unke darmiyan un tamaam baaton ka faisla kardega jin mein woh ikhtilaf kar rahey hain. Allah kisi aisey shaks ko hidayat nahin deta jo jhoota aur munkir e haqq ho
Surah Az-Zumar, Verse 3
لَّوۡ أَرَادَ ٱللَّهُ أَن يَتَّخِذَ وَلَدٗا لَّٱصۡطَفَىٰ مِمَّا يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ سُبۡحَٰنَهُۥۖ هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ
Agar Allah kisi ko beta banana chahta to apni makhlooq mein se jisko chahta barguzida kar leta, Paak hai woh issey (ke koi uska beta ho), woh Allah hai akela aur sab par gaalib
Surah Az-Zumar, Verse 4
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۖ يُكَوِّرُ ٱلَّيۡلَ عَلَى ٱلنَّهَارِ وَيُكَوِّرُ ٱلنَّهَارَ عَلَى ٱلَّيۡلِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمًّىۗ أَلَا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفَّـٰرُ
Usne aasmano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai. Wahi din par raat aur raat par din ko lapeit-ta hai.Usi ne Suraj aur Chand ko is tarah musakkhar kar rakkha hai ke har ek ek waqt e muqarrar tak chale ja raha hai. Jaan rakkho, woh zabardast hai aur darguzar karne wala hai
Surah Az-Zumar, Verse 5
خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ ثُمَّ جَعَلَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَأَنزَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ ثَمَٰنِيَةَ أَزۡوَٰجٖۚ يَخۡلُقُكُمۡ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡ خَلۡقٗا مِّنۢ بَعۡدِ خَلۡقٖ فِي ظُلُمَٰتٖ ثَلَٰثٖۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُصۡرَفُونَ
Usi ne tumko ek jaan se paida kiya, phir wahi hai jisne us jaan se iska joda banaya aur usi ne tumhare liye maweshiyon mein se aath (eight) nar o maada paida kiye. Woh tumhari Maaon (mothers) ke paithon mein teen teen tareekh (andherey) paradon ke andar tumhein ek ke baad ek shakal deta chala jaata hai. Yahi Allah (jiske yeh kaam hain) tumhara Rubb hai, baadshahi usi ki hai, koi mabood uske siwa nahin hai, phir tum kidhar se phiraye jaa rahe ho
Surah Az-Zumar, Verse 6
إِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنكُمۡۖ وَلَا يَرۡضَىٰ لِعِبَادِهِ ٱلۡكُفۡرَۖ وَإِن تَشۡكُرُواْ يَرۡضَهُ لَكُمۡۗ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Agar tum kufr karo to Allah tumse be niyaz hai, lekin woh apne bandon ke liye kufr ko pasand nahin karta. Aur agar tum shukar karo to usey woh tumhare liye pasand karta hai. Koi bojh uthane wala kisi dusre ka bojh na uthayega.Aakhir e kaar tum sab ko apne Rubb ki taraf palatna hai, phir woh tumhein bata dega ke tum kya karte rahe ho, woh to dilon ka haal tak jaanta hai
Surah Az-Zumar, Verse 7
۞وَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَا رَبَّهُۥ مُنِيبًا إِلَيۡهِ ثُمَّ إِذَا خَوَّلَهُۥ نِعۡمَةٗ مِّنۡهُ نَسِيَ مَا كَانَ يَدۡعُوٓاْ إِلَيۡهِ مِن قَبۡلُ وَجَعَلَ لِلَّهِ أَندَادٗا لِّيُضِلَّ عَن سَبِيلِهِۦۚ قُلۡ تَمَتَّعۡ بِكُفۡرِكَ قَلِيلًا إِنَّكَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِ
Insaan par jab koi aafat aati hai to woh apne Rubb ki taraf rujoo (return) karke usey pukarta hai, phir jab uska Rubb usey apni niyamat se nawaz deta hai to woh us musibat ko bhool jaata hai jispar woh pehle pukar raha tha aur dusron ko Allah ka humsar thehrata hai taa-ke uski raah se gumraah karey. (Aey Nabi) ussey kaho ke thode din apne kufr se lutf utha le, yaqeenan tu dozakh mein jaane wala hai
Surah Az-Zumar, Verse 8
أَمَّنۡ هُوَ قَٰنِتٌ ءَانَآءَ ٱلَّيۡلِ سَاجِدٗا وَقَآئِمٗا يَحۡذَرُ ٱلۡأٓخِرَةَ وَيَرۡجُواْ رَحۡمَةَ رَبِّهِۦۗ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُونَ وَٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَۗ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
(kya is shaks ki rawish behtar hai ya us shaks ki) jo mutii-e-farmaan hai, raat ki ghadiyon mein khada rehta hai aur sajdey karta hai, aakhirat se darta aur apne Rubb ki rehmat se umeed lagata hai? In se pucho, kya jaanne waley aur na jaanne waley dono kabhi yaksan ho sakte hain? Naseehat to aqal rakhne waley hi qabool karte hain
Surah Az-Zumar, Verse 9
قُلۡ يَٰعِبَادِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡۚ لِلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٞۗ وَأَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٌۗ إِنَّمَا يُوَفَّى ٱلصَّـٰبِرُونَ أَجۡرَهُم بِغَيۡرِ حِسَابٖ
(Aey Nabi) kaho ke aey mere bandon jo imaan laye ho, apne Rubb se daro. Jin logon ne is duniya mein neik rawayya ikhtiyar kiya hai unke liye bhalayi hai. Aur khuda ki zameen waseeh hai, sabr karne walon ko to unka ajar be-hisaab diya jayega
Surah Az-Zumar, Verse 10
قُلۡ إِنِّيٓ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ
(Aey Nabi) insey kaho, mujhey hukum diya gaya hai ke deen ko Allah ke liye khaalis karke uski bandagi karoon
Surah Az-Zumar, Verse 11
وَأُمِرۡتُ لِأَنۡ أَكُونَ أَوَّلَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur mujhey hukum diya gaya hai ke sabse pehle main khud muslim banoon
Surah Az-Zumar, Verse 12
قُلۡ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Kaho, agar mein apne Rubb ki naafarmaani karoon to mujhey ek badey din ke azaab ka khauf hai
Surah Az-Zumar, Verse 13
قُلِ ٱللَّهَ أَعۡبُدُ مُخۡلِصٗا لَّهُۥ دِينِي
Kehdo ke main to apne deen ko Allah ke liye khalis karke usi ki bandagi karunga
Surah Az-Zumar, Verse 14
فَٱعۡبُدُواْ مَا شِئۡتُم مِّن دُونِهِۦۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡخَٰسِرِينَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَأَهۡلِيهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ أَلَا ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡخُسۡرَانُ ٱلۡمُبِينُ
Tum uske siwa jis jis ki bandagi karna chaho karte raho. Kaho asal diwaliye (losers) to wahi hain jinhon ne qayamat ke roz apne aap ko aur apne ahal-o-aayal ko ghaatey(loss) mein daal diya. khoob sun rakkho, yahi khula diwala (loss) hai
Surah Az-Zumar, Verse 15
لَهُم مِّن فَوۡقِهِمۡ ظُلَلٞ مِّنَ ٱلنَّارِ وَمِن تَحۡتِهِمۡ ظُلَلٞۚ ذَٰلِكَ يُخَوِّفُ ٱللَّهُ بِهِۦ عِبَادَهُۥۚ يَٰعِبَادِ فَٱتَّقُونِ
Unpar aag ki chatriyan upar se bhi chayi hongi aur nichey se bhi. Yeh woh anjaam hai jissey Allah apne bandon ko darata hai, pas aey mere bandon, mere gazab se bacho
Surah Az-Zumar, Verse 16
وَٱلَّذِينَ ٱجۡتَنَبُواْ ٱلطَّـٰغُوتَ أَن يَعۡبُدُوهَا وَأَنَابُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ لَهُمُ ٱلۡبُشۡرَىٰۚ فَبَشِّرۡ عِبَادِ
Ba-khilaf iske jin logon ne tagut(false gods) ki bandagi se ijtinab kiya aur Allah ki taraf rujoo karliya unke liye khush khabri hai .Pas (Aey Nabi) basharat dedo mere un bandon ko
Surah Az-Zumar, Verse 17
ٱلَّذِينَ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقَوۡلَ فَيَتَّبِعُونَ أَحۡسَنَهُۥٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ هَدَىٰهُمُ ٱللَّهُۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Jo baat ko gaur se sunte hain aur uske behtareen pehlu ki pairwi karte hain, yeh woh log hain jinko Allah ne hidayat bakshi hai aur yahi daanishmand (with understanding) hain
Surah Az-Zumar, Verse 18
أَفَمَنۡ حَقَّ عَلَيۡهِ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ أَفَأَنتَ تُنقِذُ مَن فِي ٱلنَّارِ
(Aey Nabi) us shaks ko kaun bacha sakta hai jispar azaab ka faisla chaspan ho chuka ho? Kya tum usey bacha sakte ho jo aag mein gir chuka ho
Surah Az-Zumar, Verse 19
لَٰكِنِ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ لَهُمۡ غُرَفٞ مِّن فَوۡقِهَا غُرَفٞ مَّبۡنِيَّةٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ لَا يُخۡلِفُ ٱللَّهُ ٱلۡمِيعَادَ
Albatta jo log apne Rubb se darr kar rahey unke liye buland imaratein hain manzil par manzil bani hui jinke nichey nehrein beh rahi hongi. yeh Allah ka waada hai, Allah kabhi apne waade ki khilaf warzi nahin karta
Surah Az-Zumar, Verse 20
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَلَكَهُۥ يَنَٰبِيعَ فِي ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ يُخۡرِجُ بِهِۦ زَرۡعٗا مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَجۡعَلُهُۥ حُطَٰمًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Kya tum nahin dekhte ke Allah ne aasmaan se pani barsaya, phir usko soton aur chashmon (springs and streams )aur daryaon ki shakal mein zameen ke andar jaari kiya. Phir is pani ke zariye se woh tarah tarah ki khetiyan nikalta hai jinki kismein mukhtalif hain, phir woh khetiyan pak kar sukh jaati hai, phir tum dekhte ho ke woh zard (yellow) padh gayi, phir aakhir e kaar Allah unko bhus bana deta hai. Dar haqeeqat is mein ek sabak hai aqal rakhne waalon ke liye
Surah Az-Zumar, Verse 21
أَفَمَن شَرَحَ ٱللَّهُ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٖ مِّن رَّبِّهِۦۚ فَوَيۡلٞ لِّلۡقَٰسِيَةِ قُلُوبُهُم مِّن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Ab kya woh shaks jiska seena Allah ne Islam ke liye khol diya aur woh apne Rubb ki taraf se ek roshni par chal raha hai (us shaks ki tarah ho sakta hai jisne in baaton se koi sabaq na liya)? Tabahi hai un logon ke liye jinke dil Allah ki naseehat se aur zyada sakht ho gaye. Woh khuli gumrahi mein padey huey hain
Surah Az-Zumar, Verse 22
ٱللَّهُ نَزَّلَ أَحۡسَنَ ٱلۡحَدِيثِ كِتَٰبٗا مُّتَشَٰبِهٗا مَّثَانِيَ تَقۡشَعِرُّ مِنۡهُ جُلُودُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمۡ وَقُلُوبُهُمۡ إِلَىٰ ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُدَى ٱللَّهِ يَهۡدِي بِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٍ
Allah ne behtareen kalaam utara hai, ek aisi kitaab jiske tamaam ajzah humrang hain aur jis mein baar baar mazameen(contents) dohraye gaye hain, usey sunkar un logon ke rongtey khade ho jatey hain jo apne Rubb se darne waley hain, aur phir unke jism aur unke dil naram hokar Allah ke zikr ki taraf raagib ho jatey hain. Yeh Allah ki hidayat hai jissey woh raah e raast par le aata hai jisey chahta hai aur jisey Allah hi hidayat na de uske liye phir koi haadi (guide) nahin hai
Surah Az-Zumar, Verse 23
أَفَمَن يَتَّقِي بِوَجۡهِهِۦ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَقِيلَ لِلظَّـٰلِمِينَ ذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ
Ab us shaks ki bad-haali ka tum kya andaza kar sakte ho jo qayamat ke roz azaab ki sakht maar apne mooh par lega? Aisey zaalimon se to kehdiya jayega ke ab chakko maza us kamayi ka jo tum karte rahey thay
Surah Az-Zumar, Verse 24
كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَأَتَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَشۡعُرُونَ
Insey pehle bhi bahut se log isi tarah jhutla chuke hain. Aakhir unpar azaab aisey rukh se aaya jidhar unka khayal bhi na ja sakta tha
Surah Az-Zumar, Verse 25
فَأَذَاقَهُمُ ٱللَّهُ ٱلۡخِزۡيَ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Phir Allah ne unko duniya hi ki zindgai mein ruswayi ka maza chakhaya, aur aakhirat ka azaab to issey shadeed tarr hai, kaash yeh log jaante
Surah Az-Zumar, Verse 26
وَلَقَدۡ ضَرَبۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Humne is Quran mein logon ko tarah tarah ki misalein di hain ke yeh hosh mein aayein
Surah Az-Zumar, Verse 27
قُرۡءَانًا عَرَبِيًّا غَيۡرَ ذِي عِوَجٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Aisa Quraan jo arabi zubaan mein hai, jis mein koi tedh (croockedness) nahin hai, taa-ke yeh burey anjaam se bachein
Surah Az-Zumar, Verse 28
ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا رَّجُلٗا فِيهِ شُرَكَآءُ مُتَشَٰكِسُونَ وَرَجُلٗا سَلَمٗا لِّرَجُلٍ هَلۡ يَسۡتَوِيَانِ مَثَلًاۚ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Allah ek misaal deta hai ek shaks to woh hai jiski milkiyat mein bahut se kaj khulq (several quarrelsome masters) aaqaa shareek hain jo usey apni apni taraf khinchte hain aur dusra shaks poora ka poora ek hi aaqaa ka gulaam hai. Kya in dono ka haal yaksan ho sakta hai? Alhamdulillah, magar aksar log nadaani mein padey huye hain
Surah Az-Zumar, Verse 29
إِنَّكَ مَيِّتٞ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ
(Aey Nabi) tumhein bhi marna hai aur in logon ko bhi marna hai
Surah Az-Zumar, Verse 30
ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عِندَ رَبِّكُمۡ تَخۡتَصِمُونَ
Aakhir e kaar qayamat ke roz tum sab apne Rubb ke huzur apna apna muqaddama pesh karogey
Surah Az-Zumar, Verse 31
۞فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَبَ عَلَى ٱللَّهِ وَكَذَّبَ بِٱلصِّدۡقِ إِذۡ جَآءَهُۥٓۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡكَٰفِرِينَ
Phir us shaks se bada zaalim aur kaun hoga jisne Allah par jhoot baandha aur jab sacchayi uske saamne aayi to usey jhutla diya. Kya aisey kaafiron ke liye jahannum mein koi thikana nahin hai
Surah Az-Zumar, Verse 32
وَٱلَّذِي جَآءَ بِٱلصِّدۡقِ وَصَدَّقَ بِهِۦٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُتَّقُونَ
Aur jo shaks sacchayi lekar aaya aur jinhon ne usko sach maana, wahi azaab se bachne waley hain
Surah Az-Zumar, Verse 33
لَهُم مَّا يَشَآءُونَ عِندَ رَبِّهِمۡۚ ذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Unhein apne Rubb ke haan woh sab kuch milega jiski woh khwaish karenge. Yeh hai neki karne waalon ki jaza
Surah Az-Zumar, Verse 34
لِيُكَفِّرَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي عَمِلُواْ وَيَجۡزِيَهُمۡ أَجۡرَهُم بِأَحۡسَنِ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Taa-ke jo badhtareen aamaal unhon ne kiye thay unhein Allah unke hisaab se saaqit (remit ) karde aur jo behtareen aamaal woh karte rahey unke lihaz se unko ajar ata farmaye
Surah Az-Zumar, Verse 35
أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِكَافٍ عَبۡدَهُۥۖ وَيُخَوِّفُونَكَ بِٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
(Aey Nabi) kya Allah apne banday ke liye kaafi nahin hai? Yeh log uske siwa dusron se tumko daratey hain, halaanke Allah jisey gumrahi mein daal dey usey koi raasta dikhane waala nahin
Surah Az-Zumar, Verse 36
وَمَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّضِلٍّۗ أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِعَزِيزٖ ذِي ٱنتِقَامٖ
Aur jisey woh hidayat de usey bhatkane wala bhi koi nahin. Kya Allah zabardast aur inteqaam lene wala nahin hai
Surah Az-Zumar, Verse 37
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ إِنۡ أَرَادَنِيَ ٱللَّهُ بِضُرٍّ هَلۡ هُنَّ كَٰشِفَٰتُ ضُرِّهِۦٓ أَوۡ أَرَادَنِي بِرَحۡمَةٍ هَلۡ هُنَّ مُمۡسِكَٰتُ رَحۡمَتِهِۦۚ قُلۡ حَسۡبِيَ ٱللَّهُۖ عَلَيۡهِ يَتَوَكَّلُ ٱلۡمُتَوَكِّلُونَ
In logon se agar tum pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke Allah ne. Insey kaho, jab haqeeqat yeh hai to tumhara kya khayal hai ke agar Allah mujhey koi nuksaan pahunchana chahe to kya tumhari yeh dewiyan (godess) jinhein tum Allah ko chodh kar pukarte ho, mujhey uske pahunchaye huey nuksaan se bacha lengi? Ya Allah mujh par meharbani karna chahe to kya yeh uski rehmat ko roak sakengi? Bas insey kehdo ke mere liye Allah hi kaafi hai, bharosa karne waley usi par bharosa karte hain
Surah Az-Zumar, Verse 38
قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَٰمِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Insey saaf kaho ke “ aey meri qaum ke logon, tum apni jagah apna kaam kiye jao, main apna kaam karta rahunga, anqareeb tumhein maloom ho jayega
Surah Az-Zumar, Verse 39
مَن يَأۡتِيهِ عَذَابٞ يُخۡزِيهِ وَيَحِلُّ عَلَيۡهِ عَذَابٞ مُّقِيمٌ
ke kispar ruswa-kun azaab aata hai aur kisey woh saza milti hai jo kabhi talne wali nahin”
Surah Az-Zumar, Verse 40
إِنَّآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ لِلنَّاسِ بِٱلۡحَقِّۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٍ
(Aey Nabi) humne sab Insano ke liye yeh kitaabe bar-haqq tumpar nazil kardi hai. Ab jo seedha raasta ikhtiyar karega apne liye karega aur jo bhatkega uske bhatakne ka wabal usi par hoga. Tum unke zimmedaar nahin ho
Surah Az-Zumar, Verse 41
ٱللَّهُ يَتَوَفَّى ٱلۡأَنفُسَ حِينَ مَوۡتِهَا وَٱلَّتِي لَمۡ تَمُتۡ فِي مَنَامِهَاۖ فَيُمۡسِكُ ٱلَّتِي قَضَىٰ عَلَيۡهَا ٱلۡمَوۡتَ وَيُرۡسِلُ ٱلۡأُخۡرَىٰٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمًّىۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Woh Allah hi hai jo maut ke waqt roohein qabz karta hai aur jo abhi nahin mara hai uski rooh neend mein qabz kar leta hai, phir jispar woh maut ka faisla nafiz karta hai usey roak leta hai aur dusron ki roohein ek waqt e muqarrar ke liye wapas bhej deta hai. Is mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikar karne wale hain
Surah Az-Zumar, Verse 42
أَمِ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ شُفَعَآءَۚ قُلۡ أَوَلَوۡ كَانُواْ لَا يَمۡلِكُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَعۡقِلُونَ
Kya us khuda ko chodh kar in logon ne dusron ko shafee (intercessors) bana rakkha hai? Insey kaho, kya woh shafaa-at karenge khwa unke ikhtiyar mein kuch na ho aur woh samajhte bhi na hon
Surah Az-Zumar, Verse 43
قُل لِّلَّهِ ٱلشَّفَٰعَةُ جَمِيعٗاۖ لَّهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Kaho, shafaa-at (intercession) saari ki saari Allah ke ikhtiyar mein hai. Aasmaano aur zameen ki baadshahi ka wahi maalik hai, phir usiki taraf tum paltaye janey waley ho
Surah Az-Zumar, Verse 44
وَإِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَحۡدَهُ ٱشۡمَأَزَّتۡ قُلُوبُ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِۖ وَإِذَا ذُكِرَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦٓ إِذَا هُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ
Jab akele Allah ka zikar kiya jaata hai to aakhirat par imaan na rakhne walon ke dil kudne(contract with bitterness) lagte hain. Aur jab uske siwa dusron ka zikr hota hai to yakayak woh khushi se khil uthte hain
Surah Az-Zumar, Verse 45
قُلِ ٱللَّهُمَّ فَاطِرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ عَٰلِمَ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ أَنتَ تَحۡكُمُ بَيۡنَ عِبَادِكَ فِي مَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Kaho, khudaya! Aasmaano aur zameen ke paida karne waley, haazir o gaib ke jaan-ne waley, tu hi apne bandon ke darmiyan us cheez ka faisla karega jismein woh ikhtilaf karte rahey hain
Surah Az-Zumar, Verse 46
وَلَوۡ أَنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦ مِن سُوٓءِ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَبَدَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مَا لَمۡ يَكُونُواْ يَحۡتَسِبُونَ
Agar in zaalimon ke paas zameen ki saari daulat bhi ho, aur utni hi aur bhi, to yeh roz-e-qayamat ke buray azaab se bachne ke liye sab kuch fidiye (expiation/ redeem) mein dene ke liye tayyar ho jayenge. Wahan Allah ki taraf se inke saamne woh kuch aayega jiska inhon ne kabhi andaza hi nahin kiya hai
Surah Az-Zumar, Verse 47
وَبَدَا لَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Wahan apni kamayi ke sarey bure nataij inpar khul jayenge aur wahi cheez inpar musallat ho jayegi jiska yeh mazaq udatay rahey hain
Surah Az-Zumar, Verse 48
فَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَانَا ثُمَّ إِذَا خَوَّلۡنَٰهُ نِعۡمَةٗ مِّنَّا قَالَ إِنَّمَآ أُوتِيتُهُۥ عَلَىٰ عِلۡمِۭۚ بَلۡ هِيَ فِتۡنَةٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Yahi Insaan jab zara si museebat isey choo jaati hai to humein pukarta hai, aur jab hum isey apni taraf se niyamat de kar aphar dete (favour from us) hain to kehta hai ke yeh to muhey ilm ki bina par diya gaya hai. Nahin! balke yeh aazmiash hai, magar in mein se aksar log jaante nahin hain
Surah Az-Zumar, Verse 49
قَدۡ قَالَهَا ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Yahi baat insey pehle guzre huey log bhi keh chuke hain, magar jo kuch woh kamaate thay woh unke kisi kaam na aaya
Surah Az-Zumar, Verse 50
فَأَصَابَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْۚ وَٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ هَـٰٓؤُلَآءِ سَيُصِيبُهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَمَا هُم بِمُعۡجِزِينَ
Phir apni kamayi ke buray nataij unhon ne bhugtey, aur in logon mein se bhi jo zaalim hain woh anqareeb apni kamayi kay buray nataij bhugtenge.Yeh humein aajiz (frustrate) kardene waley nahin hain
Surah Az-Zumar, Verse 51
أَوَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur kya inhein maloom nahin hai ke Allah jiska chahta hai rizq kushada(enlarge) kardeta hai aur jiska chahta hai tangg kardeta hai? Is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain
Surah Az-Zumar, Verse 52
۞قُلۡ يَٰعِبَادِيَ ٱلَّذِينَ أَسۡرَفُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ لَا تَقۡنَطُواْ مِن رَّحۡمَةِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ جَمِيعًاۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
(Aey Nabi) kehdo ke aey mere bandon, jinhon ne apni jaano par zyadti (excesses) ki hai, Allah ki rehmat se mayous na ho jao, yaqeenan Allah saarey gunaah maaf kardeta hai, woh to gafoor o Raheem hai(Most Forgiving, Most Merciful)
Surah Az-Zumar, Verse 53
وَأَنِيبُوٓاْ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَأَسۡلِمُواْ لَهُۥ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنصَرُونَ
Palat aao apne Rubb ki taraf aur mutii (submissive) ban jao uske, qabl iske ke tumpar azaab aa jaye aur phir kahin se tumhein madad na mil sakey
Surah Az-Zumar, Verse 54
وَٱتَّبِعُوٓاْ أَحۡسَنَ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ بَغۡتَةٗ وَأَنتُمۡ لَا تَشۡعُرُونَ
Aur pairwi ikhtiyar karlo apne Rubb ki bhejhi hui kitaab ke behtareen pehlu ki, qabl iske ke tumpar achanak azaab aaye aur tumko khabar bhi na ho
Surah Az-Zumar, Verse 55
أَن تَقُولَ نَفۡسٞ يَٰحَسۡرَتَىٰ عَلَىٰ مَا فَرَّطتُ فِي جَنۢبِ ٱللَّهِ وَإِن كُنتُ لَمِنَ ٱلسَّـٰخِرِينَ
Kahin aisa na ho ke baad mein koi shaks kahey “ Afsos meri us taqsir(negligence) par jo main Allah ki janaab mein karta raha, balke main to ulta mazaq udane walon mein shamil tha”
Surah Az-Zumar, Verse 56
أَوۡ تَقُولَ لَوۡ أَنَّ ٱللَّهَ هَدَىٰنِي لَكُنتُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Ya kahey “kaash Allah ne muhjey hidayat bakshi hoti to main bhi muttaqiyon mein se hota”
Surah Az-Zumar, Verse 57
أَوۡ تَقُولَ حِينَ تَرَى ٱلۡعَذَابَ لَوۡ أَنَّ لِي كَرَّةٗ فَأَكُونَ مِنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Ya azaab dekh kar kahey “kaash mujhey ek mauqa aur mil jaye aur main bhi neik amal karne walon mein shamil ho jaun.”
Surah Az-Zumar, Verse 58
بَلَىٰ قَدۡ جَآءَتۡكَ ءَايَٰتِي فَكَذَّبۡتَ بِهَا وَٱسۡتَكۡبَرۡتَ وَكُنتَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
(Aur us waqt usey yeh jawab miley ke) “kyoun nahin meri aayat tere paas aa chuki thin , phir tu nay unhein jhutlaya aur taqabbur kiya aur tu kaafiron mein se tha”
Surah Az-Zumar, Verse 59
وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تَرَى ٱلَّذِينَ كَذَبُواْ عَلَى ٱللَّهِ وُجُوهُهُم مُّسۡوَدَّةٌۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡمُتَكَبِّرِينَ
Aaj jin logon ne khuda par jhoot baandhe hain qayamat ke roz tum dekhoge ke unke mooh kaley hongey. Kya janahhum mein mutakabbiron (haughty) ke liye kaafi jagah nahin hai
Surah Az-Zumar, Verse 60
وَيُنَجِّي ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ بِمَفَازَتِهِمۡ لَا يَمَسُّهُمُ ٱلسُّوٓءُ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Iske bar-aks jin logon ne yahan taqwa kiya hai unke asbaab-e-kamiyabi ki wajah se Allah unko najaat dega, unko na koi gaznad (harm) pahunchega na woh ghumgeen hongey
Surah Az-Zumar, Verse 61
ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٞ
Allah har cheez ka khaliq (creator) hai aur wahi har cheez par nigehbaan hai
Surah Az-Zumar, Verse 62
لَّهُۥ مَقَالِيدُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Zameen aur aasmaano ke khazano ki kunjiyan (keys) usi ke paas hain aur jo log Allah ki aayaat se kufr karte hain wahi ghatey (loss) mein rehne waley hain
Surah Az-Zumar, Verse 63
قُلۡ أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَأۡمُرُوٓنِّيٓ أَعۡبُدُ أَيُّهَا ٱلۡجَٰهِلُونَ
(Aey Nabi) insey kaho “phir kya aey jaahilon (ignorant), tum Allah ke siwa kisi aur ki bandagi karne ke liye mujhse kehte ho?”
Surah Az-Zumar, Verse 64
وَلَقَدۡ أُوحِيَ إِلَيۡكَ وَإِلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكَ لَئِنۡ أَشۡرَكۡتَ لَيَحۡبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
(yeh baat tumhein unsey saaf keh deni chahiye kyunke) tumhari taraf aur tumse pehle guzrey huey tamaam ambiya ki taraf yeh wahee (revelation) bheji ja chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaaya ho jayega aur tum khasarey (nuksan) mein rahogey
Surah Az-Zumar, Verse 65
بَلِ ٱللَّهَ فَٱعۡبُدۡ وَكُن مِّنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Lihaza (Aey Nabi) tum bas Allah hi ki bandagi karo aur shukr-guzar bandon mein se ho jao
Surah Az-Zumar, Verse 66
وَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦ وَٱلۡأَرۡضُ جَمِيعٗا قَبۡضَتُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَٱلسَّمَٰوَٰتُ مَطۡوِيَّـٰتُۢ بِيَمِينِهِۦۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
In logon ne Allah ki qadar hi na ki jaisa ke uski qadar karne ka haqq hai (uski qudrat e kaamila ka haal to yeh hai ke) qayamat ke roz poori zameen uski mutti mein hogi aur aasmaan uske dast e raast (right hand) mein liptey huey hongey. Paak aur baala-tarr hai woh us shirk se jo yeh log karte hain
Surah Az-Zumar, Verse 67
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَصَعِقَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا مَن شَآءَ ٱللَّهُۖ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخۡرَىٰ فَإِذَا هُمۡ قِيَامٞ يَنظُرُونَ
Aur us roz sur (trumpet) phoonka jayega aur woh sab markar gir jayenge jo aasmaano aur zameen mein hain siwaye unke jinhein Allah zinda rakhna chahe. Phir ek dusra sur (trumpet) phoonka jayega aur yakayak sabke sab uth kar dekhne lagenge
Surah Az-Zumar, Verse 68
وَأَشۡرَقَتِ ٱلۡأَرۡضُ بِنُورِ رَبِّهَا وَوُضِعَ ٱلۡكِتَٰبُ وَجِاْيٓءَ بِٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Zameen apne Rubb kay Noor se chamak uthegi, kitaab e aamal laa kar rakh di jayegi, Ambiya aur tamam gawah haazir kardiye jayenge, logon ke darmiyan theek theek haqq ke saath faisla kardiya jayega aur unpar koi zulm na hoga
Surah Az-Zumar, Verse 69
وَوُفِّيَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِمَا يَفۡعَلُونَ
Aur har mutanaffis ko jo kuch bhi usney amal kiya tha uska poora poora badla diya jayega. Log jo kuch bhi karte hain Allah usko khoob jaanta hai
Surah Az-Zumar, Verse 70
وَسِيقَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا فُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَتۡلُونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ رَبِّكُمۡ وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَلَٰكِنۡ حَقَّتۡ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
(Is faisle ke baad) woh log jinhon ne kufr kiya tha jahannum ki taraf giroh dar giroh haanke jayenge, yahan tak ke jab woh wahan pahunchenge to uske darwaze kholay jayenge aur uske kaarinde (keepers) unsey kahenge “kya tumhare paas tumhare apne logon mein se aisey Rasool nahin aaye thay, jinhon ne tumko tumhare Rubb ki aayat sunayi hon aur tumhein us baat se daraya ho ke ek waqt tumhein yeh din bhi dekhna hoga?” Woh jawab dengey “haan, aaye thay , magar azaab ka faisla kaafiron par chipak gaya”
Surah Az-Zumar, Verse 71
قِيلَ ٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ
Kaha jayega, dakhil ho jao jahannum ke darwazon mein, yahan ab tumhein hamesha rehna hai, bada hi bura thikana hai yeh mutakabbiron (arrogant) ke liye
Surah Az-Zumar, Verse 72
وَسِيقَ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا وَفُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَا سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡ طِبۡتُمۡ فَٱدۡخُلُوهَا خَٰلِدِينَ
Aur jo log apne Rubb ki nafarmani se parheiz karte thay unhein giroh dar giroh jannat ki taraf le jaya jaayega yahan tak ke jab woh wahan pahunchenge, aur uske darwaze pehle hi kholay ja chuke hongey, to uske muntazimin unse kahenge ke “Salaam ho tumpar , bahut acche rahey, dakhil ho jao ismein hamesha ke liye”
Surah Az-Zumar, Verse 73
وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي صَدَقَنَا وَعۡدَهُۥ وَأَوۡرَثَنَا ٱلۡأَرۡضَ نَتَبَوَّأُ مِنَ ٱلۡجَنَّةِ حَيۡثُ نَشَآءُۖ فَنِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ
Aur woh kahenge “shukar hai us khuda ka jisne hamare saath apna waada sach kar dikaya aur humko zameen ka waris bana diya, ab hum jannat mein jahan chahein apni jagah bana sakte hain” Pas behtareen ajar hain amal karne walon ke liye
Surah Az-Zumar, Verse 74
وَتَرَى ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ حَآفِّينَ مِنۡ حَوۡلِ ٱلۡعَرۡشِ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡۚ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّۚ وَقِيلَ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur tum dekhoge ke farishtey arsh ke gird halqa(circle) banaye huey apne Rubb ki hamd aur tasbeeh kar rahey hongey, aur logon ke darmiyan theek theek haqq ke saath faisla chuka diya jayega, aur pukar diya jayega ke hamd hai Allah Rabbul Aalameen ke liye
Surah Az-Zumar, Verse 75