Surah Az-Zumar - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
is kitaab ka utaarna Allah ta’ala ghaalib ba hikmath ki taraf se hai
Surah Az-Zumar, Verse 1
إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ فَٱعۡبُدِ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ
yaqinan hum ne is kitaab ko aap(sallallahu alaihi wasallam) ki taraf haq ke saath naazil faramaya hai, pas aap Allah hee ki ibaadath kare, osi ke liye deen ko qaalis karte hoye
Surah Az-Zumar, Verse 2
أَلَا لِلَّهِ ٱلدِّينُ ٱلۡخَالِصُۚ وَٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ مَا نَعۡبُدُهُمۡ إِلَّا لِيُقَرِّبُونَآ إِلَى ٱللَّهِ زُلۡفَىٰٓ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡ فِي مَا هُمۡ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَنۡ هُوَ كَٰذِبٞ كَفَّارٞ
qabardaar! Allah ta’ala hee ke liye qaalis ibaadath karna hai aur jin logo ne us ke siva auliya bana rakhe hai (aur kehte hai) ke hum un ki ibaadath sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke nazdiki ke martabe tak hamaari rasaayi kara de, ye log jis baare mein eqtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata
Surah Az-Zumar, Verse 3
لَّوۡ أَرَادَ ٱللَّهُ أَن يَتَّخِذَ وَلَدٗا لَّٱصۡطَفَىٰ مِمَّا يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ سُبۡحَٰنَهُۥۖ هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ
agar Allah ta’ala ka iraada aulaad hee ka hota, to apni maqlooq mein se jise chahta chun leta (lekin) wo to paak hai, wo wahi Allah ta’ala hai yegana aur khuwwath waala
Surah Az-Zumar, Verse 4
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۖ يُكَوِّرُ ٱلَّيۡلَ عَلَى ٱلنَّهَارِ وَيُكَوِّرُ ٱلنَّهَارَ عَلَى ٱلَّيۡلِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمًّىۗ أَلَا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفَّـٰرُ
nihaayath acchi tadhbeer se, us ne asmaano aur zameen ko banaya, wo raath ko din par aur din ko raath par lapet deta hai aur us ne suraj chaand ko kaam par laga rakha hai, har ek muqarrara muddath tak chal raha hai, yaqeen maano ke wahi zabardasth aur gunaaho ka bnaqshne waala hai
Surah Az-Zumar, Verse 5
خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ ثُمَّ جَعَلَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَأَنزَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ ثَمَٰنِيَةَ أَزۡوَٰجٖۚ يَخۡلُقُكُمۡ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡ خَلۡقٗا مِّنۢ بَعۡدِ خَلۡقٖ فِي ظُلُمَٰتٖ ثَلَٰثٖۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُصۡرَفُونَ
us ne tum sab ko ek hee jaan se paida kiya hai, phir osi se us ka joda paida kiya aur tumhaare liye, chau paayo mein se (aat nar wa maada) utaare, wo tumhe tumhaari maao ke peto mein ek banaawat ke baadh dosri banaawat par banaata hai, teen teen andhero mein, yahi Allah ta’ala tumhaara rab hai, osi ke liye badshaahath hai, us ke siva koyi maboodh nahi, phir tum kaha bahek rahe ho
Surah Az-Zumar, Verse 6
إِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنكُمۡۖ وَلَا يَرۡضَىٰ لِعِبَادِهِ ٱلۡكُفۡرَۖ وَإِن تَشۡكُرُواْ يَرۡضَهُ لَكُمۡۗ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
agar tum na shukri karo to, (yaad rakho ke) Allah ta’ala tum (sab se) be niyaaz hai aur wo apne bandho ki na-shukri se khush nahi aur agar tum shukr karo, to wo ose tumhaare liye pasandh karega aur koyi kisi ka boojh nahi uthaata, phir tum sab ka lautna, tumhaare rab hee ki taraf hai, tumhe wo batla dega, jo tum karte thein, yaqinan wo dilo tak ki baatho ka waaqif hai
Surah Az-Zumar, Verse 7
۞وَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَا رَبَّهُۥ مُنِيبًا إِلَيۡهِ ثُمَّ إِذَا خَوَّلَهُۥ نِعۡمَةٗ مِّنۡهُ نَسِيَ مَا كَانَ يَدۡعُوٓاْ إِلَيۡهِ مِن قَبۡلُ وَجَعَلَ لِلَّهِ أَندَادٗا لِّيُضِلَّ عَن سَبِيلِهِۦۚ قُلۡ تَمَتَّعۡ بِكُفۡرِكَ قَلِيلًا إِنَّكَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِ
aur insaan ko jab kabhi koyi takleef pahonchti hai, to wo qoob rujo ho kar apne rab ko pukaarta hai, phir jab Allah ta’ala ose apne paas se nemath ata farma deta hai, to wo us se pehle jo dua karta tha, ose bilkul bhool jaata hai aur Allah ta’ala ke shareek muqarrar karne lagta hai, jis se (auro ko bhi) us ki raah se behkaaye, aap keh dijiye! ke apne kufr ka faayeda kuch din aur uthaalo (aaqir) tu dozakhiyo mein hone waala hai
Surah Az-Zumar, Verse 8
أَمَّنۡ هُوَ قَٰنِتٌ ءَانَآءَ ٱلَّيۡلِ سَاجِدٗا وَقَآئِمٗا يَحۡذَرُ ٱلۡأٓخِرَةَ وَيَرۡجُواْ رَحۡمَةَ رَبِّهِۦۗ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُونَ وَٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَۗ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
bhala jo shaqs raatho ke auqaath sajde aur qayaam ki haalath mein (ibaadath mein) guzaarta ho, aaqirath se darta ho aur apne rab ki rahmath ki ummid rakhta ho (aur jo us ke bar aks ho, baraabar ho sakte hai) bataao to ilm waale aur kya be ilm baraabar ke hai? yaqinan nasihath wahi haasil karte hai, jo aqal mandh ho (apne rab ki taraf se)
Surah Az-Zumar, Verse 9
قُلۡ يَٰعِبَادِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡۚ لِلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٞۗ وَأَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٌۗ إِنَّمَا يُوَفَّى ٱلصَّـٰبِرُونَ أَجۡرَهُم بِغَيۡرِ حِسَابٖ
keh do ke aye mere imaan waale bandho! apne rab se darte raho, jo is dunya mein neki karte hai, un ke liye nek badhla hai aur Allah ta’ala ki zameen bahuth kushaada hai, sabr karne waalo hee ko, un ka pura pura be-shumaar ajr diya jaata hai
Surah Az-Zumar, Verse 10
قُلۡ إِنِّيٓ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ
aap keh dijiye! ke mujhe hukm diya gaya hai ke Allah ta’ala ki is tarah ibaadath karo ke osi ke liye ibaadath ko qaalis karlo
Surah Az-Zumar, Verse 11
وَأُمِرۡتُ لِأَنۡ أَكُونَ أَوَّلَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
aur mujhe hukm diya gaya hai ke main sab se pehla farma bardaar ban jaao
Surah Az-Zumar, Verse 12
قُلۡ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
keh dijiye! ke mujhe to apne rab ki na-farmaani karte hoye, bade din ke azaab ka khauf lagta hai
Surah Az-Zumar, Verse 13
قُلِ ٱللَّهَ أَعۡبُدُ مُخۡلِصٗا لَّهُۥ دِينِي
keh dijiye! ke main to qaalis kar ke sirf apne rab hee ki ibaadath karta hoon
Surah Az-Zumar, Verse 14
فَٱعۡبُدُواْ مَا شِئۡتُم مِّن دُونِهِۦۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡخَٰسِرِينَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَأَهۡلِيهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ أَلَا ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡخُسۡرَانُ ٱلۡمُبِينُ
tum us ke siva jis ki chaaho ibaadath karte raho, keh dijiye ke haqiqi ziya kaar wo hai jo apne aap ko aur apne ahal ko qayaamath ke din nuqsaan mein daal denge, yaad rakho ke khullam khulla nuqsaan yahi hai
Surah Az-Zumar, Verse 15
لَهُم مِّن فَوۡقِهِمۡ ظُلَلٞ مِّنَ ٱلنَّارِ وَمِن تَحۡتِهِمۡ ظُلَلٞۚ ذَٰلِكَ يُخَوِّفُ ٱللَّهُ بِهِۦ عِبَادَهُۥۚ يَٰعِبَادِ فَٱتَّقُونِ
unhe niche upar se aag ke (shule misl) saayebaan (ke) dhaank rahe honge, yahi (azaab) hai, jin se Allah ta’ala apne bandho ko dara raha hai, aye mere bandho! pas mujh se darte raho
Surah Az-Zumar, Verse 16
وَٱلَّذِينَ ٱجۡتَنَبُواْ ٱلطَّـٰغُوتَ أَن يَعۡبُدُوهَا وَأَنَابُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ لَهُمُ ٱلۡبُشۡرَىٰۚ فَبَشِّرۡ عِبَادِ
aur jin logo ne taghooth ki ibaadath se parhez kiya aur (hama tan) Allah ta’ala ki taraf mutawajje rahe, wo khush qabri ke mustaheq hai, mere bandho ko khush qabri suna di jiye
Surah Az-Zumar, Verse 17
ٱلَّذِينَ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقَوۡلَ فَيَتَّبِعُونَ أَحۡسَنَهُۥٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ هَدَىٰهُمُ ٱللَّهُۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
jo baath ko kaan laga kar sunte hai, phir jo behetreen baath ho, us ki itteba karte hai, yahi hai jinhe Allah ta’ala ne hidaayath ki hai aur yahi aqal mandh bhi hai
Surah Az-Zumar, Verse 18
أَفَمَنۡ حَقَّ عَلَيۡهِ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ أَفَأَنتَ تُنقِذُ مَن فِي ٱلنَّارِ
bhala jis shaqs par azaab ki baath saabith ho choki hai, to kya aap ose jo dozakh mein hai chohda sakte hai
Surah Az-Zumar, Verse 19
لَٰكِنِ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ لَهُمۡ غُرَفٞ مِّن فَوۡقِهَا غُرَفٞ مَّبۡنِيَّةٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ لَا يُخۡلِفُ ٱللَّهُ ٱلۡمِيعَادَ
haan wo log jo apne rab se darte rahe, un ke liye baala khaane hai, jin ke upar bhi, bane banaaye bala khaane hai (aur) un ke niche nehre beh rahi hai, rab ka waada hai, aur wo waada qilaafi nahi karta
Surah Az-Zumar, Verse 20
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَلَكَهُۥ يَنَٰبِيعَ فِي ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ يُخۡرِجُ بِهِۦ زَرۡعٗا مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَجۡعَلُهُۥ حُطَٰمًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
kya aap ne nahi dekha ke Allah ta’ala asmaan se paani utaarta hai aur ose zameen ki sutho mein pahonchaata hai, phir osi ke zariye se muqtalif qism ki khetiyaa ugaata hai, phir wo khushk ho jaati hai aur aap unhe zardh rang dekhte hai, phir unhe reza reza kar deta hai, us mein aqal mandho ke liye bahuth zyaada nasihath hai
Surah Az-Zumar, Verse 21
أَفَمَن شَرَحَ ٱللَّهُ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٖ مِّن رَّبِّهِۦۚ فَوَيۡلٞ لِّلۡقَٰسِيَةِ قُلُوبُهُم مِّن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
kya wo shaqs jis ka seena Allah ta’ala ne Islaam ke liye khol diya hai, pas wo apne parvardigaar ki taraf se ek noor par hai aur halaaki hai un par jin ke dil yaade ilaahi se (asar nahi lete balke) saqth ho gaye hai, ye log sarih gumraahi mein (mubtela) hai
Surah Az-Zumar, Verse 22
ٱللَّهُ نَزَّلَ أَحۡسَنَ ٱلۡحَدِيثِ كِتَٰبٗا مُّتَشَٰبِهٗا مَّثَانِيَ تَقۡشَعِرُّ مِنۡهُ جُلُودُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمۡ وَقُلُوبُهُمۡ إِلَىٰ ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُدَى ٱللَّهِ يَهۡدِي بِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٍ
Allah ta’ala ne behetreen kalaam naazil farmaya hai, jo aisi kitaab hai, ke aapas mein milti jhulti aur baar baar duhraayi hoyi aayato ki hai, jis se un logo ke romte khade ho jaate hai, jo apne rab ka khauf rakhte hai, aaqir mein un ke jism aur dil Allah ta’ala ke zikr ki taraf narm ho jaate hai, ye hai Allah ta’ala ki hidaayath, jis ke zariye jise chaahe raahe raasth par laga deta hai aur jise Allah ta’ala hee raah bhula de, us ka haadi koyi nahi
Surah Az-Zumar, Verse 23
أَفَمَن يَتَّقِي بِوَجۡهِهِۦ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَقِيلَ لِلظَّـٰلِمِينَ ذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ
bhala jo shaqs qayaamath ke din ke, badh-tareen azaab ki suphar (dhaal) apne mu ko banaayega, (aise) zaalimo se kaha jayega ke apne kiye ka (wabaal) chako
Surah Az-Zumar, Verse 24
كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَأَتَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَشۡعُرُونَ
un se pehle waalo ne bhi jhhutlaaya, phir un par wahaa se azaab aa pada, jahaa se un ko qayaal bhi na tha
Surah Az-Zumar, Verse 25
فَأَذَاقَهُمُ ٱللَّهُ ٱلۡخِزۡيَ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
aur Allah ta’ala ne unhe zindagani dunya mein ruswaayi ka maza chakaya aur abi aaqirath ka to bada bhaari azaab hai, kaash ke ye log samajh le
Surah Az-Zumar, Verse 26
وَلَقَدۡ ضَرَبۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
aur yaqinan hum ne is Qur’aan mein logo ke liye har qism ki misaale bayaan kardi hai, kya ajab ke wo nasihath haasil karle
Surah Az-Zumar, Verse 27
قُرۡءَانًا عَرَبِيًّا غَيۡرَ ذِي عِوَجٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Qur’aan hai arabi mein jis mein koyi kaji nahi ho sakta hai, ke wo parhezgaari eqtiyaar karle
Surah Az-Zumar, Verse 28
ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا رَّجُلٗا فِيهِ شُرَكَآءُ مُتَشَٰكِسُونَ وَرَجُلٗا سَلَمٗا لِّرَجُلٍ هَلۡ يَسۡتَوِيَانِ مَثَلًاۚ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Allah ta’ala misaal bayaan farma raha hai, ek wo shaqs jis mein bahuth se baaham zidh rakhne waale saajhi hai aur dosra wo shaqs, jo sirf ek hee ka ghulaam hai, kya ye duno sifath mein yeksa hai, Allah ta’ala hee ke liye sab tareefe hai, baath ye hai ke un mein se aksar log samajhte nahi
Surah Az-Zumar, Verse 29
إِنَّكَ مَيِّتٞ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ
yaqinan khud aap ko bhi mauth ayegi aur ye sab bhi marne waale hai
Surah Az-Zumar, Verse 30
ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عِندَ رَبِّكُمۡ تَخۡتَصِمُونَ
phir tum sab ke sab qayaamath ke din apne rab ke saamne jhagdoge
Surah Az-Zumar, Verse 31
۞فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَبَ عَلَى ٱللَّهِ وَكَذَّبَ بِٱلصِّدۡقِ إِذۡ جَآءَهُۥٓۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡكَٰفِرِينَ
us se bad kar zaalim kaun hai, jo Allah ta’ala par jhoot bole? aur saccha deen jab us ke paas aaye to ose jhuta bataaye? kya aise kuffaar ke liye jahannam thikaana nahi hai
Surah Az-Zumar, Verse 32
وَٱلَّذِي جَآءَ بِٱلصِّدۡقِ وَصَدَّقَ بِهِۦٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُتَّقُونَ
aur jo sacche deen ko laaye aur jis ne us ki tasdeeq ki, yahi log paarsa1 hai
Surah Az-Zumar, Verse 33
لَهُم مَّا يَشَآءُونَ عِندَ رَبِّهِمۡۚ ذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
un ke liye un ke rab ke paas (har) wo cheez hai, jo ye chaahe, nek logo ka yahi badhla hai
Surah Az-Zumar, Verse 34
لِيُكَفِّرَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي عَمِلُواْ وَيَجۡزِيَهُمۡ أَجۡرَهُم بِأَحۡسَنِ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
ta ke Allah ta’ala un se un ke bure amalo ko door karde aur jo nek kaam unhone kiye hai, un ka accha badhla ataa farmaaye
Surah Az-Zumar, Verse 35
أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِكَافٍ عَبۡدَهُۥۖ وَيُخَوِّفُونَكَ بِٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
kya Allah ta’ala apne bandhe ke liye kaafi nahi? ye log aap ko Allah ke siva auro se dara rahe hai aur jise Allah gumraah karde, us ki rehnumaayi karne waala koyi nahi
Surah Az-Zumar, Verse 36
وَمَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّضِلٍّۗ أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِعَزِيزٖ ذِي ٱنتِقَامٖ
aur jise wo hidaayath de, ose koyi gumraah karne waala nahi, kya Allah ta’ala ghaalib aur badhla lene waala nahi hai
Surah Az-Zumar, Verse 37
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ إِنۡ أَرَادَنِيَ ٱللَّهُ بِضُرٍّ هَلۡ هُنَّ كَٰشِفَٰتُ ضُرِّهِۦٓ أَوۡ أَرَادَنِي بِرَحۡمَةٍ هَلۡ هُنَّ مُمۡسِكَٰتُ رَحۡمَتِهِۦۚ قُلۡ حَسۡبِيَ ٱللَّهُۖ عَلَيۡهِ يَتَوَكَّلُ ٱلۡمُتَوَكِّلُونَ
agar aap un se puche ke asmaan aur zameen ko kis ne paida kiya hai? to yaqinan wo yahi jawaab denge, ke Allah ne, aap un se kahiye ke accha ye to bataao, jinhe tum Allah ke siva pukaarte ho, agar Allah ta’ala mujhe nuqsaan pahonchaana chaahe to, kya ye us ke nuqsaan ko hata sakte hai? ya Allah ta’ala mujh par meherbaani ka iraada kare, to kya ye us ki meherbaani ko rok sakte hai? aap kehde ke Allah mujhe kaafi hai, tawakkal karne waale osi par tawakkal karte hai
Surah Az-Zumar, Verse 38
قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَٰمِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
keh dijiye ke aye meri khaum! tum apni jageh par amal kiye jaao, main bhi amal kar raha hoon, abhi abhi tum jaan loge
Surah Az-Zumar, Verse 39
مَن يَأۡتِيهِ عَذَابٞ يُخۡزِيهِ وَيَحِلُّ عَلَيۡهِ عَذَابٞ مُّقِيمٌ
ke kis par ruswa karne waala azaab aata hai aur kis par daayimi maar aur hameshgi ki saza hoti hai
Surah Az-Zumar, Verse 40
إِنَّآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ لِلنَّاسِ بِٱلۡحَقِّۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٍ
aap par hum ne haq ke saath ye kitaab logo ke liye naazil farmaayi hai, pas jo shaqs raahe raasth par aa jaaye, us ke apne liye nafa hai aur jo gumrah ho jaaye, us ki gumraahi ka (wabaal) osi par hai, aap un ke zimme daar nahi
Surah Az-Zumar, Verse 41
ٱللَّهُ يَتَوَفَّى ٱلۡأَنفُسَ حِينَ مَوۡتِهَا وَٱلَّتِي لَمۡ تَمُتۡ فِي مَنَامِهَاۖ فَيُمۡسِكُ ٱلَّتِي قَضَىٰ عَلَيۡهَا ٱلۡمَوۡتَ وَيُرۡسِلُ ٱلۡأُخۡرَىٰٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمًّىۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Allah hee ruho ko un ki mauth ke waqth aur jin ki mauth nahi aayi unhe un ke neendh ke waqt qabz kar leta hai, phir jin par mauth ka hukm lag chuka hai, unhe to rok leta hai aur dosri (ruho) ko ek muqarrar waqt tak ke liye chohd deta hai, ghaur karne waalo ke liye us mein yaqinan bahuth si nishaaniya hai
Surah Az-Zumar, Verse 42
أَمِ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ شُفَعَآءَۚ قُلۡ أَوَلَوۡ كَانُواْ لَا يَمۡلِكُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَعۡقِلُونَ
kya un logo ne Allah ta’ala ke siva auro ko sifaarishi muqarrar kar rakha hai? aap keh dijiye! ke go wo kuch bhi eqtiyaar na rakhte ho, aur na aqal rakhte ho
Surah Az-Zumar, Verse 43
قُل لِّلَّهِ ٱلشَّفَٰعَةُ جَمِيعٗاۖ لَّهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
keh dijiye! ke tamaam sifaarish ka muqtaar Allah hee hai, tamaam asmaano aur zameen ka raaj osi ke liye hai, tum sab osi ki taraf phere jaoge
Surah Az-Zumar, Verse 44
وَإِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَحۡدَهُ ٱشۡمَأَزَّتۡ قُلُوبُ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِۖ وَإِذَا ذُكِرَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦٓ إِذَا هُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ
jab Allah akele ka zikr kiya jaaye to un logo ke dil nafrath karne lagte hai, jo aaqirath ka yaqeen nahi rakhte, aur jab us ke siva (aur ka) zikr kiya jaaye to un ke dil, khol kar khush ho jaate hai
Surah Az-Zumar, Verse 45
قُلِ ٱللَّهُمَّ فَاطِرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ عَٰلِمَ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ أَنتَ تَحۡكُمُ بَيۡنَ عِبَادِكَ فِي مَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
aap keh dijiye! ke aye Allah! asmaano aur zameen ke paida karne waale, chupe khule ke jaanne waale, tu hee apne bandho mein un umoor ka faisla farmaayega, jin mein wo ulajh rahe thein
Surah Az-Zumar, Verse 46
وَلَوۡ أَنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦ مِن سُوٓءِ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَبَدَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مَا لَمۡ يَكُونُواْ يَحۡتَسِبُونَ
agar zulm karne waalo ke paas wo sab kuch ho, jo roye zameen par hai aur us ke saath utna hee aur ho, to bhi badh tareen saza ke badhle mein qayaamath ke din ye sab kuch de de aur un ke saamne Allah ki taraf se wo zaahir hoga, jis ka gumaan bhi unhe na tha
Surah Az-Zumar, Verse 47
وَبَدَا لَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
jo kuch unhone kiya tha, us ki buraiya, un par khul padengi aur jis ka wo mazaaq karte thein, wo unhe aa gherega
Surah Az-Zumar, Verse 48
فَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَانَا ثُمَّ إِذَا خَوَّلۡنَٰهُ نِعۡمَةٗ مِّنَّا قَالَ إِنَّمَآ أُوتِيتُهُۥ عَلَىٰ عِلۡمِۭۚ بَلۡ هِيَ فِتۡنَةٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
insaan ko jab koyi takleef pahonchti hai to hamein pukaarne lagta hai, phir jab hum ose apni taraf se koyi nemath ata farmade to kehne lagta hai ke, ise to main mahez apne ilm ki wajeh se diya gaya hoon, balke ye azmaayesh hai, lekin un mein aksar log be ilm hai
Surah Az-Zumar, Verse 49
قَدۡ قَالَهَا ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
un se agle bhi yahi baath keh chuke hai, pas un ki karwaayi un ke kuch kaam na aayi
Surah Az-Zumar, Verse 50
فَأَصَابَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْۚ وَٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ هَـٰٓؤُلَآءِ سَيُصِيبُهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَمَا هُم بِمُعۡجِزِينَ
phir un ki tamaam buraiya un par aa padi aur un mein se bhi, jo gunehgaar hai, un ki, ki hoyi buraiya bhi ab un par aa padengi, ye (hame) hara dene waale nahi
Surah Az-Zumar, Verse 51
أَوَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
kya unhe ye maloom nahi ke Allah ta’ala jis ke liye chaahe, rozi kushaada kar deta hai aur tang (bhi), imaan laane waalo ke liye is mein (badi badi) nishaaniya hai
Surah Az-Zumar, Verse 52
۞قُلۡ يَٰعِبَادِيَ ٱلَّذِينَ أَسۡرَفُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ لَا تَقۡنَطُواْ مِن رَّحۡمَةِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ جَمِيعًاۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
(meri jaanib se) kehdo ke aye mere bandho! jinhone apni jaano par zyaadati ki hai, tum Allah ki rahmath se na ummidh na ho jaao, bil yaqeen Allah ta’ala saare gunaaho ko baqsh deta hai, waqeyi wo badi baqshish badi rahmath waala hai
Surah Az-Zumar, Verse 53
وَأَنِيبُوٓاْ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَأَسۡلِمُواْ لَهُۥ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنصَرُونَ
tum (sab) apne parvardigaar ki taraf jhuk pado aur us ki hukm bardaari kiye jaao, us se qabl ke tumhaare paas azaab aa jaaye aur phir tumhaari madad na ki jaaye
Surah Az-Zumar, Verse 54
وَٱتَّبِعُوٓاْ أَحۡسَنَ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ بَغۡتَةٗ وَأَنتُمۡ لَا تَشۡعُرُونَ
aur pairvi karo, us behetreen cheez ki, jo tumhaari taraf tumhaare parvardigaar ki taraf se naazil ki gayi hai, us se pehle ke tum par achaanak azaab aa jaaye aur tumhe ittela bhi na ho
Surah Az-Zumar, Verse 55
أَن تَقُولَ نَفۡسٞ يَٰحَسۡرَتَىٰ عَلَىٰ مَا فَرَّطتُ فِي جَنۢبِ ٱللَّهِ وَإِن كُنتُ لَمِنَ ٱلسَّـٰخِرِينَ
(aisa na ho ke) koyi shaqs kahe, haay afsoos us baath par ke main ne Allah ta’ala ke haq mein ko-taahi ki, balke main to mazaaq udaane waalo mein hee raha
Surah Az-Zumar, Verse 56
أَوۡ تَقُولَ لَوۡ أَنَّ ٱللَّهَ هَدَىٰنِي لَكُنتُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ
ya kahe ke agar Allah mujhe hidaayath karta to main bhi paarsa logo mein hota
Surah Az-Zumar, Verse 57
أَوۡ تَقُولَ حِينَ تَرَى ٱلۡعَذَابَ لَوۡ أَنَّ لِي كَرَّةٗ فَأَكُونَ مِنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
ya azaab ko dekh kar kahe, kaash ke kisi tarah mera laut jaana hota, to main bhi neko kaaro mein ho jaata
Surah Az-Zumar, Verse 58
بَلَىٰ قَدۡ جَآءَتۡكَ ءَايَٰتِي فَكَذَّبۡتَ بِهَا وَٱسۡتَكۡبَرۡتَ وَكُنتَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
haan (haan) beshak tere paas meri aayate pahonch chuki thi, jinhe tu ne jhutlaaya aur ghuroor aur takabbur kiya aur tu tha hee kaafiro mein
Surah Az-Zumar, Verse 59
وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تَرَى ٱلَّذِينَ كَذَبُواْ عَلَى ٱللَّهِ وُجُوهُهُم مُّسۡوَدَّةٌۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡمُتَكَبِّرِينَ
aur jin logo ne Allah par jhoot baandha hai, to aap dekhenge ke qayaamath ke din un ke chere siyaah ho gaye honge. kya takabbur karne waalo ka thikaana jahannam mein nahi
Surah Az-Zumar, Verse 60
وَيُنَجِّي ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ بِمَفَازَتِهِمۡ لَا يَمَسُّهُمُ ٱلسُّوٓءُ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
aur jin logo ne parhezgaari ki, unhe Allah ta’ala un ki kamyaabi ke saath bacha lega, unhe koyi dukh, chu bhi na sakega aur na wo kisi tarah ghamgeen honge
Surah Az-Zumar, Verse 61
ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٞ
Allah har cheez ka payda karne waala hai aur wahi har cheez par nigehbaan hai
Surah Az-Zumar, Verse 62
لَّهُۥ مَقَالِيدُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
asmaano aur zameen ki konjiyo ka maalik wahi hai, jin jin logo ne Allah ki aayato ka inkaar kiya, wahi qasaara paane waale hai
Surah Az-Zumar, Verse 63
قُلۡ أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَأۡمُرُوٓنِّيٓ أَعۡبُدُ أَيُّهَا ٱلۡجَٰهِلُونَ
aap keh dijiye aye jaahilo! kya tum mujh se Allah ke siva auro ki ibaadath ko kehte ho
Surah Az-Zumar, Verse 64
وَلَقَدۡ أُوحِيَ إِلَيۡكَ وَإِلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكَ لَئِنۡ أَشۡرَكۡتَ لَيَحۡبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
yaqinan teri taraf bhi aur tujh se pehle (ke tamaam nabiyo) ki taraf bhi wahi ki gayi hai, ke agar tu shirk kiya to bila shuba tera amal zaaya ho jayega aur bil yaqeen to ziya kaaro2 mein se ho jayega
Surah Az-Zumar, Verse 65
بَلِ ٱللَّهَ فَٱعۡبُدۡ وَكُن مِّنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
balke tu Allah hee ki ibaadath kar aur shukr karne waalo mein se ho ja
Surah Az-Zumar, Verse 66
وَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦ وَٱلۡأَرۡضُ جَمِيعٗا قَبۡضَتُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَٱلسَّمَٰوَٰتُ مَطۡوِيَّـٰتُۢ بِيَمِينِهِۦۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
aur un logo ne jaisi qadr Allah ta’ala ki karni chahiye thi, nahi ki, saari zameen qayaamath ke din us ki motthi mein hogi aur tamaam asmaan us ke daahne haath mein lipte hoye honge, wo paak aur bartar hai, har us cheez se jise log us ka shareek banaaye
Surah Az-Zumar, Verse 67
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَصَعِقَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا مَن شَآءَ ٱللَّهُۖ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخۡرَىٰ فَإِذَا هُمۡ قِيَامٞ يَنظُرُونَ
aur soor phook diya jayega, pas asmaano aur zameen waale sab be hosh ho kar gir padenge, magar jise Allah chaahe, phir dubaara soor phoka jayega, pas wo ek dam khade ho kar dekhne lag jayenge
Surah Az-Zumar, Verse 68
وَأَشۡرَقَتِ ٱلۡأَرۡضُ بِنُورِ رَبِّهَا وَوُضِعَ ٱلۡكِتَٰبُ وَجِاْيٓءَ بِٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
aur zameen apne parvardigaar ke noor se jagmaga uthegi, naame amaal haazir kiye jayenge, nabiyo aur gawaaho ko laaya jayega aur logo ke darmiyaan haq haq faisle kar diye jayenge aur wo zulm na kiye jayenge
Surah Az-Zumar, Verse 69
وَوُفِّيَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِمَا يَفۡعَلُونَ
aur jis shaqs ne jo kuch kiya hai, bharpoor de diya jayega, jo kuch log kar rahe hai, wo ba qoobi jaanne waala hai
Surah Az-Zumar, Verse 70
وَسِيقَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا فُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَتۡلُونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ رَبِّكُمۡ وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَلَٰكِنۡ حَقَّتۡ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
kaafiro ke ghaul ke ghaul jahannam ki taraf hankaaye jayenge, jab wo us ke paas pahonch jayenge, us ke darwaaze un ke liye khol diye jayenge aur wahaan ke nigehbaan un se sawaal karenge ke, kya tumhaare paas tum mein se rasool nahi aaye thein? jo tum par tumhaare rab ki aayate padte thein aur tumhe is din ki mulaqaath se daraate thein? ye jawaab denge ke haan durusth hai lekin azaab ka hukm kaafiro par saabith ho gaya
Surah Az-Zumar, Verse 71
قِيلَ ٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ
kaha jayega ke ab jahannam ke darwaazo mein dakhil ho jaao, jahaan hamesha rahenge, pas sarkasho ka thikaana bahuth hee bura hai
Surah Az-Zumar, Verse 72
وَسِيقَ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا وَفُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَا سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡ طِبۡتُمۡ فَٱدۡخُلُوهَا خَٰلِدِينَ
aur jo log apne rab se darte thein, un ke gruh ke gruh jannath ki taraf rawaana kiye jayenge, yahaa tak ke jab us ke paas aa jayenge aur darwaaze qol diye jayenge aur wahaa ke nigehbaan un se kahenge, tum par salaam ho, tum khush haal raho, tum us mein hamesha ke liye chale jaao
Surah Az-Zumar, Verse 73
وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي صَدَقَنَا وَعۡدَهُۥ وَأَوۡرَثَنَا ٱلۡأَرۡضَ نَتَبَوَّأُ مِنَ ٱلۡجَنَّةِ حَيۡثُ نَشَآءُۖ فَنِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ
ye kahenge ke Allah ka shukr hai, jis ne hum se apna waada pura kiya aur hamein is zameen ka waaris bana diya, ke jannath mein jahaa chaahe muqaam kare, pas amal karne waalo ka kya hee accha badhla hai
Surah Az-Zumar, Verse 74
وَتَرَى ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ حَآفِّينَ مِنۡ حَوۡلِ ٱلۡعَرۡشِ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡۚ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّۚ وَقِيلَ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
aur tu farishto ko Allah ke arsh ke irdh girdh halqa baandhe hoye, apne rab ki hamd wa tasbih karte hoye dekhega aur un mein insaaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega ke saari qoobi Allah hee ke liye hai, jo tamaam jahaano ka paalanhaar hai
Surah Az-Zumar, Verse 75