Surah Az-Zumar Verse 7 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Az-Zumarإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنكُمۡۖ وَلَا يَرۡضَىٰ لِعِبَادِهِ ٱلۡكُفۡرَۖ وَإِن تَشۡكُرُواْ يَرۡضَهُ لَكُمۡۗ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
agar tum na shukri karo to, (yaad rakho ke) Allah ta’ala tum (sab se) be niyaaz hai aur wo apne bandho ki na-shukri se khush nahi aur agar tum shukr karo, to wo ose tumhaare liye pasandh karega aur koyi kisi ka boojh nahi uthaata, phir tum sab ka lautna, tumhaare rab hee ki taraf hai, tumhe wo batla dega, jo tum karte thein, yaqinan wo dilo tak ki baatho ka waaqif hai