Surah Az-Zumar Verse 22 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Az-Zumarأَفَمَن شَرَحَ ٱللَّهُ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٖ مِّن رَّبِّهِۦۚ فَوَيۡلٞ لِّلۡقَٰسِيَةِ قُلُوبُهُم مِّن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Ab kya woh shaks jiska seena Allah ne Islam ke liye khol diya aur woh apne Rubb ki taraf se ek roshni par chal raha hai (us shaks ki tarah ho sakta hai jisne in baaton se koi sabaq na liya)? Tabahi hai un logon ke liye jinke dil Allah ki naseehat se aur zyada sakht ho gaye. Woh khuli gumrahi mein padey huey hain