Surah Sad - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
صٓۚ وَٱلۡقُرۡءَانِ ذِي ٱلذِّكۡرِ
Saad, kasam hai naseehat bharey Quran ki
Surah Sad, Verse 1
بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي عِزَّةٖ وَشِقَاقٖ
Balke yahi log, jinhon ne maanney se inkar kiya hai, sakht takabbur aur zid mein mubtila hain
Surah Sad, Verse 2
كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّن قَرۡنٖ فَنَادَواْ وَّلَاتَ حِينَ مَنَاصٖ
Insey pehle hum aisi kitni hi qaumon ko halaak kar chuke hain (aur jab unki shamat aayi hai) to woh cheekh utthey hain, magar woh waqt bachne ka nahin hota
Surah Sad, Verse 3
وَعَجِبُوٓاْ أَن جَآءَهُم مُّنذِرٞ مِّنۡهُمۡۖ وَقَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا سَٰحِرٞ كَذَّابٌ
In logon ko is baat par bada taajub hua ke ek darane wala khud inhi mein se aa gaya, munkireen kehne lagey ke “yeh saahir(sorcerer) hai, sakht jhoota hai
Surah Sad, Verse 4
أَجَعَلَ ٱلۡأٓلِهَةَ إِلَٰهٗا وَٰحِدًاۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيۡءٌ عُجَابٞ
Kya isney saarey khudaon ki jagah bas ek hi khuda bana dala? Yeh to badi ajeeb baat hai”
Surah Sad, Verse 5
وَٱنطَلَقَ ٱلۡمَلَأُ مِنۡهُمۡ أَنِ ٱمۡشُواْ وَٱصۡبِرُواْ عَلَىٰٓ ءَالِهَتِكُمۡۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيۡءٞ يُرَادُ
Aur sardaran e qaum yeh kehte huey nikal gaye ke “ chalo aur dat-tey raho apne maboodon ki ibadat par. Yeh baat to kisi aur hi garaz se kahi ja rahi hai
Surah Sad, Verse 6
مَا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِي ٱلۡمِلَّةِ ٱلۡأٓخِرَةِ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا ٱخۡتِلَٰقٌ
Yeh baat humne zamana e qareeb ki millat mein kisi se nahin suni. Yeh kuch nahin hai magar ek man-ghadat baat
Surah Sad, Verse 7
أَءُنزِلَ عَلَيۡهِ ٱلذِّكۡرُ مِنۢ بَيۡنِنَاۚ بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ مِّن ذِكۡرِيۚ بَل لَّمَّا يَذُوقُواْ عَذَابِ
Kya hamarey darmiyan bas yahi ek shaks reh gaya tha jispar Allah ka zikr nazil kardiya gaya?”Asal baat yeh hai ke yeh mere “Zikr” par shakk kar rahey hain , aur yeh saari baatein isliye kar rahey hain ke inhon ne mere azaab ka maza chakkha nahin hai
Surah Sad, Verse 8
أَمۡ عِندَهُمۡ خَزَآئِنُ رَحۡمَةِ رَبِّكَ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡوَهَّابِ
Kya tere daata (great Bestower) aur gaalib parwardigar ki rehmat ke khazane inke kabze mein hain
Surah Sad, Verse 9
أَمۡ لَهُم مُّلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۖ فَلۡيَرۡتَقُواْ فِي ٱلۡأَسۡبَٰبِ
Kya yeh aasmaan o zameen aur inke darmiyan ki cheezon ke maalik hain? Accha to yeh aalam e asbaab ki bulandiyon par chadh kar dekhein
Surah Sad, Verse 10
جُندٞ مَّا هُنَالِكَ مَهۡزُومٞ مِّنَ ٱلۡأَحۡزَابِ
Yeh to jatthon (armies) mein se ek choota sa jattha (army) hai jo isi jagah shikhast(suffer defeat) khane wala hai
Surah Sad, Verse 11
كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَعَادٞ وَفِرۡعَوۡنُ ذُو ٱلۡأَوۡتَادِ
Insey pehle Nooh ki qaum, aur Aad, aur mekhon (tent-pegs/stakes) wala Firoun
Surah Sad, Verse 12
وَثَمُودُ وَقَوۡمُ لُوطٖ وَأَصۡحَٰبُ لۡـَٔيۡكَةِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلۡأَحۡزَابُ
Aur Samood, aur qaum e Lut, aur aika waley jhutla chuke hain. Jatthay woh thay
Surah Sad, Verse 13
إِن كُلٌّ إِلَّا كَذَّبَ ٱلرُّسُلَ فَحَقَّ عِقَابِ
Unmein se har ek ne Rasoolon ko jhutlaya aur meri uqubat ka faisla (decree of chastisement )uspar chaspan ho kar raha
Surah Sad, Verse 14
وَمَا يَنظُرُ هَـٰٓؤُلَآءِ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ مَّا لَهَا مِن فَوَاقٖ
Yeh log bhi bas ek dhamake ke muntazir hain jiske baad koi dusra dhamaka na hoga
Surah Sad, Verse 15
وَقَالُواْ رَبَّنَا عَجِّل لَّنَا قِطَّنَا قَبۡلَ يَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ
Aur yeh kehte hain ke aey hamare Rubb, yaum ul hisaab(hisab ke din) se pehle hi hamara hissa humein jaldi se dey dey
Surah Sad, Verse 16
ٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَٱذۡكُرۡ عَبۡدَنَا دَاوُۥدَ ذَا ٱلۡأَيۡدِۖ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٌ
(Aey Nabi), sabr karo un baaton par jo yeh log banate hain, aur inke saamne hamare banday Dawood ka qissa bayan karo jo badi quwaton ka maalik tha. Har maamle mein Allah ki taraf rujoo karne wala tha
Surah Sad, Verse 17
إِنَّا سَخَّرۡنَا ٱلۡجِبَالَ مَعَهُۥ يُسَبِّحۡنَ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِشۡرَاقِ
Humne pahadon ko uske saath musakkhar kar rakkha tha ke subah o shaam woh uske saath tasbeeh karte thay
Surah Sad, Verse 18
وَٱلطَّيۡرَ مَحۡشُورَةٗۖ كُلّٞ لَّهُۥٓ أَوَّابٞ
Parindey simat aate aur sabke sab uski tasbeeh ki taraf mutawajjeh ho jatey thay
Surah Sad, Verse 19
وَشَدَدۡنَا مُلۡكَهُۥ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡحِكۡمَةَ وَفَصۡلَ ٱلۡخِطَابِ
Humne uski sultanat mazboot kardi thi, usko hikmat ata ki thi aur faislay-kun baat kehne ki salahiyat bakshi thi
Surah Sad, Verse 20
۞وَهَلۡ أَتَىٰكَ نَبَؤُاْ ٱلۡخَصۡمِ إِذۡ تَسَوَّرُواْ ٱلۡمِحۡرَابَ
Phir tumhein kuch khabar pahunchi hai un muqaddame walon ki jo deewaar chadh kar uske baala khaane(private chambers) mein ghus aaye thay
Surah Sad, Verse 21
إِذۡ دَخَلُواْ عَلَىٰ دَاوُۥدَ فَفَزِعَ مِنۡهُمۡۖ قَالُواْ لَا تَخَفۡۖ خَصۡمَانِ بَغَىٰ بَعۡضُنَا عَلَىٰ بَعۡضٖ فَٱحۡكُم بَيۡنَنَا بِٱلۡحَقِّ وَلَا تُشۡطِطۡ وَٱهۡدِنَآ إِلَىٰ سَوَآءِ ٱلصِّرَٰطِ
Jab woh Dawood ke paas pahunche to woh unhein dekh kar ghabra gaya, unhon ne kaha “dariye nahin, hum do fareeq muqaddama hain jin mein se ek ne dusre par zyadati ki hai. Aap hamare darmiyan theek theek haqq ke saath faisla kardijiye, be-insafi na kijiye aur humein raah e raast bataiye
Surah Sad, Verse 22
إِنَّ هَٰذَآ أَخِي لَهُۥ تِسۡعٞ وَتِسۡعُونَ نَعۡجَةٗ وَلِيَ نَعۡجَةٞ وَٰحِدَةٞ فَقَالَ أَكۡفِلۡنِيهَا وَعَزَّنِي فِي ٱلۡخِطَابِ
Yeh meri bhai hai ,iske paas ninanve (ninety nine) dumbiyan(ewes) hai aur mere paas sirf ek hi dumbi (ewe) hai , isne mujhse kaha ke yeh ek dumbi bhi mere hawale karde aur isne guftagu mein mujhe daba liya”
Surah Sad, Verse 23
قَالَ لَقَدۡ ظَلَمَكَ بِسُؤَالِ نَعۡجَتِكَ إِلَىٰ نِعَاجِهِۦۖ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡخُلَطَآءِ لَيَبۡغِي بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٍ إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَقَلِيلٞ مَّا هُمۡۗ وَظَنَّ دَاوُۥدُ أَنَّمَا فَتَنَّـٰهُ فَٱسۡتَغۡفَرَ رَبَّهُۥ وَخَرَّۤ رَاكِعٗاۤ وَأَنَابَ۩
Dawood ne jawab diya: “is shaks ne apni dumbiyon (ewes) ke saath teri dumbi mila lene ka mutalaba karke yaqeenan tujhpar zulm kiya, aur waqiya yeh hai ke mil-jhul kar saath rehne waley log aksar ek dusre par zyadatiyan karte rehte hain, bas wahi log is se bachey huey hain jo iman rakhte hain aur amal e saleh karte hain, aur aisey log kam hi hain.” (Yeh baat kehte kehte) Dawood samajh gaya ke yeh to humne dar-asal iski aazmaish ki hai, chunanche usne apne Rubb se maafi maangi aur sajde mein gir gaya aur rujoo karliya
Surah Sad, Verse 24
فَغَفَرۡنَا لَهُۥ ذَٰلِكَۖ وَإِنَّ لَهُۥ عِندَنَا لَزُلۡفَىٰ وَحُسۡنَ مَـَٔابٖ
Tab humne iska woh kasoor maaf kiya aur yaqeenan hamare haan uske liye taqarrub ka muqaam aur behtar anjaam hai
Surah Sad, Verse 25
يَٰدَاوُۥدُ إِنَّا جَعَلۡنَٰكَ خَلِيفَةٗ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱحۡكُم بَيۡنَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡحَقِّ وَلَا تَتَّبِعِ ٱلۡهَوَىٰ فَيُضِلَّكَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَضِلُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدُۢ بِمَا نَسُواْ يَوۡمَ ٱلۡحِسَابِ
(Humne ussey kaha) “Aey dawood, humne tujhey zameen mein khalifa banaya hai, lihaza tu logon ke darmiyan haqq ke saath hukumat kar, aur khwaish e nafs ki pairwi na kar ke woh tujhey Allah ki raah se bhatka degi. Jo log Allah ki raah se bhatakte hain yaqeenan unke liye sakht saza hai ke woh yaum ul hisaab ko bhool gaye.”
Surah Sad, Verse 26
وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَآءَ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا بَٰطِلٗاۚ ذَٰلِكَ ظَنُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنَ ٱلنَّارِ
Humne is aasmaan aur zameen ko, aur is duniya ko jo inke darmiyan hai , fizool paida nahin kardiya hai, yeh to un logon ka gumaan hai jinhon ne kufr kiya hai aur aisey kaafiron ke liye barbadi hai jahannum ki aag se
Surah Sad, Verse 27
أَمۡ نَجۡعَلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ كَٱلۡمُفۡسِدِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ نَجۡعَلُ ٱلۡمُتَّقِينَ كَٱلۡفُجَّارِ
Kya hum un logon ko jo iman laatey hain aur neik aamaal karte hain aur unko jo zameen mein fasad karne waley hain yaksan kardein? Kya muttaqiyon ko hum faajiron(wicked) jaisa kardein
Surah Sad, Verse 28
كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ إِلَيۡكَ مُبَٰرَكٞ لِّيَدَّبَّرُوٓاْ ءَايَٰتِهِۦ وَلِيَتَذَكَّرَ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Yeh ek badi barakat wali kitaab hai jo (aey Muhammad) humne tumhari taraf nazil ki hai taa-ke yeh log iski aayat par gaur karein aur aqal o fikr rakhne wale issey sabaq lein
Surah Sad, Verse 29
وَوَهَبۡنَا لِدَاوُۥدَ سُلَيۡمَٰنَۚ نِعۡمَ ٱلۡعَبۡدُ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٌ
Aur Dawood ko humne Sulaiman (jaisa beta) ata kiya, behtareen banda, kasrat se apne Rubb ki taraf rujoo karne wala
Surah Sad, Verse 30
إِذۡ عُرِضَ عَلَيۡهِ بِٱلۡعَشِيِّ ٱلصَّـٰفِنَٰتُ ٱلۡجِيَادُ
Kaabil e zikr hai woh mauqa jab shaam ke waqt us ke saamne khoob sidhey (well-trained) huey tez-rau(running) ghoday (horses) pesh kiye gaye
Surah Sad, Verse 31
فَقَالَ إِنِّيٓ أَحۡبَبۡتُ حُبَّ ٱلۡخَيۡرِ عَن ذِكۡرِ رَبِّي حَتَّىٰ تَوَارَتۡ بِٱلۡحِجَابِ
To usne kaha “maine is maal ki muhabbat apne Rubb ki yaad ki wajah se ikhtiyar ki hai” yahan tak ke jab woh ghoday (horses) nigaah se ojhal ho gaye
Surah Sad, Verse 32
رُدُّوهَا عَلَيَّۖ فَطَفِقَ مَسۡحَۢا بِٱلسُّوقِ وَٱلۡأَعۡنَاقِ
To (usne hukum diya ke) inhein mere paas wapas laao, phir laga unki pindliyon (legs) aur gardano (necks) par haath pherne
Surah Sad, Verse 33
وَلَقَدۡ فَتَنَّا سُلَيۡمَٰنَ وَأَلۡقَيۡنَا عَلَىٰ كُرۡسِيِّهِۦ جَسَدٗا ثُمَّ أَنَابَ
Aur (dekho ke) Sulaiman ko bhi humne aazmaish mein daala aur uski kursi par ek jasad (mere body/body without life) laa kar daal diya phir usne rujoo kiya
Surah Sad, Verse 34
قَالَ رَبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَهَبۡ لِي مُلۡكٗا لَّا يَنۢبَغِي لِأَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِيٓۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡوَهَّابُ
Aur kaha ke “aey mere Rubb , mujhey maaf karde aur mujhey woh baadshahi de jo mere baad kisi ke liye sazawar na ho, beshak tu hi asal daata hai”
Surah Sad, Verse 35
فَسَخَّرۡنَا لَهُ ٱلرِّيحَ تَجۡرِي بِأَمۡرِهِۦ رُخَآءً حَيۡثُ أَصَابَ
Tab humne uske liye hawa ko musakkhar kardiya jo uske hukum se narmi ke saath chalti thi jidhar woh chahta tha
Surah Sad, Verse 36
وَٱلشَّيَٰطِينَ كُلَّ بَنَّآءٖ وَغَوَّاصٖ
Aur shayateen ko musakkhar kardiya, har tarah ke meimaar(builders) aur gotakhor (divers)
Surah Sad, Verse 37
وَءَاخَرِينَ مُقَرَّنِينَ فِي ٱلۡأَصۡفَادِ
Aur dusre jo paband e salasil thay(bound with chains)
Surah Sad, Verse 38
هَٰذَا عَطَآؤُنَا فَٱمۡنُنۡ أَوۡ أَمۡسِكۡ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
(humne ussey kaha) “ yeh hamari bakshish hai, tujhey ikhtiyar hai jisey chahe de aur jissey chahe rok le, koi hisaab nahin”
Surah Sad, Verse 39
وَإِنَّ لَهُۥ عِندَنَا لَزُلۡفَىٰ وَحُسۡنَ مَـَٔابٖ
Yaqeenan uske liye hamare haan taqarrub ka muqaam aur behtar anjaam hai
Surah Sad, Verse 40
وَٱذۡكُرۡ عَبۡدَنَآ أَيُّوبَ إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥٓ أَنِّي مَسَّنِيَ ٱلشَّيۡطَٰنُ بِنُصۡبٖ وَعَذَابٍ
Aur hamare banday Ayub ka zikar karo, jab usne apne Rubb ko pukara ke shaytaan ne mujhey sakht takleef aur azaab mein daal diya hai
Surah Sad, Verse 41
ٱرۡكُضۡ بِرِجۡلِكَۖ هَٰذَا مُغۡتَسَلُۢ بَارِدٞ وَشَرَابٞ
(Humne usey hukum diya) apna paaon (leg) zameen par maar, yeh hai thanda pani nahane ke liya aur peene ke liye
Surah Sad, Verse 42
وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ أَهۡلَهُۥ وَمِثۡلَهُم مَّعَهُمۡ رَحۡمَةٗ مِّنَّا وَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Humne usey uske ahal o ayaal wapas diye aur unke saath utnay hi aur, apni taraf se rehmat ke taur par, aur aqal o fikar rakhne walon ke liye dars ke taur par
Surah Sad, Verse 43
وَخُذۡ بِيَدِكَ ضِغۡثٗا فَٱضۡرِب بِّهِۦ وَلَا تَحۡنَثۡۗ إِنَّا وَجَدۡنَٰهُ صَابِرٗاۚ نِّعۡمَ ٱلۡعَبۡدُ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٞ
(Aur humne issey kaha) tinkon ka ek mutta lay (bundle of rushes) aur ussey maar de, apni kasam na todh, humne usey saabir paya, behtareen banda, apne Rubb ki taraf bahut rujoo karne wala
Surah Sad, Verse 44
وَٱذۡكُرۡ عِبَٰدَنَآ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ أُوْلِي ٱلۡأَيۡدِي وَٱلۡأَبۡصَٰرِ
Aur hamare bandon , Ibrahim aur Ishaq aur Yaqub ka zikar karo badi quwwat e amail rakhne wale aur deedhawar (strength and vision)log thay
Surah Sad, Verse 45
إِنَّآ أَخۡلَصۡنَٰهُم بِخَالِصَةٖ ذِكۡرَى ٱلدَّارِ
Humne unko ek khaalis siffat ki bina par barguzida kiya tha, aur woh daar-e-aakhirat ki yaad thi
Surah Sad, Verse 46
وَإِنَّهُمۡ عِندَنَا لَمِنَ ٱلۡمُصۡطَفَيۡنَ ٱلۡأَخۡيَارِ
Yaqeenan hamare haan unka shumaar chunay huey neik ashkhaas(excellent ones) mein hai
Surah Sad, Verse 47
وَٱذۡكُرۡ إِسۡمَٰعِيلَ وَٱلۡيَسَعَ وَذَا ٱلۡكِفۡلِۖ وَكُلّٞ مِّنَ ٱلۡأَخۡيَارِ
Aur Ismail aur Al-yasa(Elisha) aur Zulkifl ka zikr karo, yeh sab neik logon mein se thay
Surah Sad, Verse 48
هَٰذَا ذِكۡرٞۚ وَإِنَّ لِلۡمُتَّقِينَ لَحُسۡنَ مَـَٔابٖ
Yeh ek zikar tha. (Ab suno ke) muttaqi logon ke liye yaqeenan behtareen thikana hai
Surah Sad, Verse 49
جَنَّـٰتِ عَدۡنٖ مُّفَتَّحَةٗ لَّهُمُ ٱلۡأَبۡوَٰبُ
Hamesha rehne wali jannatein jinke darwaze unke liye khuley hongey
Surah Sad, Verse 50
مُتَّكِـِٔينَ فِيهَا يَدۡعُونَ فِيهَا بِفَٰكِهَةٖ كَثِيرَةٖ وَشَرَابٖ
Unmein woh takiye lagaye baithay hongey, khoob khoob fawake aur mashroobat (abundant fruit and drinks) talab kar rahey hongey
Surah Sad, Verse 51
۞وَعِندَهُمۡ قَٰصِرَٰتُ ٱلطَّرۡفِ أَتۡرَابٌ
Aur unke paas sharmili humsin biwiyan hongi
Surah Sad, Verse 52
هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِيَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ
Yeh woh chezein hain jinhein hisaab ke din ata karne ka tumse wada kiya ja raha hai
Surah Sad, Verse 53
إِنَّ هَٰذَا لَرِزۡقُنَا مَا لَهُۥ مِن نَّفَادٍ
Yeh hamara rizq hai jo kabhi khatam honaywala nahin
Surah Sad, Verse 54
هَٰذَاۚ وَإِنَّ لِلطَّـٰغِينَ لَشَرَّ مَـَٔابٖ
Yeh to hai muttaqiyon ka anjaam aur sarkashon ke liye badhtareen (evil) thikana hai
Surah Sad, Verse 55
جَهَنَّمَ يَصۡلَوۡنَهَا فَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
Jahannum jismein woh jhulse jayenge. Bahut hi buri qayamgaah
Surah Sad, Verse 56
هَٰذَا فَلۡيَذُوقُوهُ حَمِيمٞ وَغَسَّاقٞ
Yeh hai unke liye, pas woh maza chakhein khautley (boiling) huey pani aur peep lahu (pus)
Surah Sad, Verse 57
وَءَاخَرُ مِن شَكۡلِهِۦٓ أَزۡوَٰجٌ
Aur isi qisam ki dusri talkhiyon ka
Surah Sad, Verse 58
هَٰذَا فَوۡجٞ مُّقۡتَحِمٞ مَّعَكُمۡ لَا مَرۡحَبَۢا بِهِمۡۚ إِنَّهُمۡ صَالُواْ ٱلنَّارِ
(woh jahannum ki taraf apne pairawon ko aatey dekh kar aapas mein kahenge) “Yeh ek lashkar tumhare paas ghusa chala aa raha hai, koi khushamadeed (welcome) inke liye nahin hai, yeh aag mein jhulasne waley hain”
Surah Sad, Verse 59
قَالُواْ بَلۡ أَنتُمۡ لَا مَرۡحَبَۢا بِكُمۡۖ أَنتُمۡ قَدَّمۡتُمُوهُ لَنَاۖ فَبِئۡسَ ٱلۡقَرَارُ
Woh unko jawab denge “ nahin balke tum hi jhulse ja rahe ho, koi khair maqdam tumhare liye nahin. Tumhi to yeh anjaam hamare aagey laye ho. Kaisi buri hai yeh jaaye qaraar”
Surah Sad, Verse 60
قَالُواْ رَبَّنَا مَن قَدَّمَ لَنَا هَٰذَا فَزِدۡهُ عَذَابٗا ضِعۡفٗا فِي ٱلنَّارِ
Phir woh kahenge “Aey hamare Rubb, jisne humein is anjaam ko pahunchane ka bandobast kiya usko dozakh ka dohra azaab de”
Surah Sad, Verse 61
وَقَالُواْ مَا لَنَا لَا نَرَىٰ رِجَالٗا كُنَّا نَعُدُّهُم مِّنَ ٱلۡأَشۡرَارِ
Aur woh aapas mein kahenge “kya baat hai, hum un logon ko kahin nahin dekhte jinehin hum duniya mein bura samajte thay
Surah Sad, Verse 62
أَتَّخَذۡنَٰهُمۡ سِخۡرِيًّا أَمۡ زَاغَتۡ عَنۡهُمُ ٱلۡأَبۡصَٰرُ
Hunme yunhi unka mazaaq bana liya tha, ya woh kahin nazaron se ojhal hain?”
Surah Sad, Verse 63
إِنَّ ذَٰلِكَ لَحَقّٞ تَخَاصُمُ أَهۡلِ ٱلنَّارِ
Beshak yeh baat sacchi hai, ehle dozakh mein yahi kuch jhagde honay waley hain
Surah Sad, Verse 64
قُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ مُنذِرٞۖ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّا ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ
(Aey Nabi) insey kaho, “ main to bas khabardar kardene wala hoon. Koi haqeeqi mabood nahin magar Allah, jo yakta hai, sab par gaalib
Surah Sad, Verse 65
رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفَّـٰرُ
Aasmaano aur zameen ka maalik aur un saari cheezon ka maalik jo inke darmiyan hain, zabardast aur darguzar karne wala”
Surah Sad, Verse 66
قُلۡ هُوَ نَبَؤٌاْ عَظِيمٌ
Insey kaho “ yeh ek badi khabar hai
Surah Sad, Verse 67
أَنتُمۡ عَنۡهُ مُعۡرِضُونَ
Jisko sunkar tum mooh pherte ho”
Surah Sad, Verse 68
مَا كَانَ لِيَ مِنۡ عِلۡمِۭ بِٱلۡمَلَإِ ٱلۡأَعۡلَىٰٓ إِذۡ يَخۡتَصِمُونَ
(Insey kaho) “Mujhey us waqt ki koi khabar na thi jab mala-e-aala (high council) mein jhagda ho raha tha
Surah Sad, Verse 69
إِن يُوحَىٰٓ إِلَيَّ إِلَّآ أَنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٌ
Mujhko to wahee (revelation/inspiration) ke zariye se yeh baatein sirf isliye batayi jaati hain ke main khula khula khabardar karne wala hoon”
Surah Sad, Verse 70
إِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنِّي خَٰلِقُۢ بَشَرٗا مِّن طِينٖ
Jab tere Rubb ne farishton se kaha “main mitti se ek bashar banane wala hoon
Surah Sad, Verse 71
فَإِذَا سَوَّيۡتُهُۥ وَنَفَخۡتُ فِيهِ مِن رُّوحِي فَقَعُواْ لَهُۥ سَٰجِدِينَ
Phir jab main usey puri tarah bana doon aur usmein apni rooh phoonk doon to tum uske aagey sajde mein gir jao”
Surah Sad, Verse 72
فَسَجَدَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ كُلُّهُمۡ أَجۡمَعُونَ
Is hukum ke mutaabiq farishtey sab ke sab sajde mein gir gaye
Surah Sad, Verse 73
إِلَّآ إِبۡلِيسَ ٱسۡتَكۡبَرَ وَكَانَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Magar Iblis ne apni badayi ka ghamand kiya aur woh kaafiron mein se ho gaya
Surah Sad, Verse 74
قَالَ يَـٰٓإِبۡلِيسُ مَا مَنَعَكَ أَن تَسۡجُدَ لِمَا خَلَقۡتُ بِيَدَيَّۖ أَسۡتَكۡبَرۡتَ أَمۡ كُنتَ مِنَ ٱلۡعَالِينَ
Rubb ne farmaya “Aey Iblis, tujhey kya cheez usko sajda karne se maanay hui jisey maine apne dono haathon se banaya hai? Tu bada ban raha hai ya tu hai hi kuch unchey darje ki hastiyon mein se?”
Surah Sad, Verse 75
قَالَ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡهُ خَلَقۡتَنِي مِن نَّارٖ وَخَلَقۡتَهُۥ مِن طِينٖ
Usne jawab diya “main ussey behtar hoon , aapne mujhko aag se paida kiya hai aur isko mitti se”
Surah Sad, Verse 76
قَالَ فَٱخۡرُجۡ مِنۡهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٞ
Farmaya “ accha to yahan se nikal ja , tu mardood hai
Surah Sad, Verse 77
وَإِنَّ عَلَيۡكَ لَعۡنَتِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلدِّينِ
Aur tere upar yaum ul jaza tak meri laanat hai”
Surah Sad, Verse 78
قَالَ رَبِّ فَأَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
Woh bola “ aey mere Rubb , yeh baat hai to phir mujhey us waqt tak ke liye mohlat dey dey jab yeh log dobara uthaye jayenge”
Surah Sad, Verse 79
قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ
Farmaya, “accha tujhey us roz tak ki mohlat hai
Surah Sad, Verse 80
إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡوَقۡتِ ٱلۡمَعۡلُومِ
Jiska waqt mujhey maloom hai”
Surah Sad, Verse 81
قَالَ فَبِعِزَّتِكَ لَأُغۡوِيَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Usne kaha “ teri izzat ki kasam, main in sab logon ko behka kar rahunga
Surah Sad, Verse 82
إِلَّا عِبَادَكَ مِنۡهُمُ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
Bajuz tere un bandon ke jinhein tu nay khaalis karliya hai”
Surah Sad, Verse 83
قَالَ فَٱلۡحَقُّ وَٱلۡحَقَّ أَقُولُ
Farmaya “to haqq yeh hai, aur main haqq hi kaha karta hoon
Surah Sad, Verse 84
لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنكَ وَمِمَّن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Ke main jahannum ko tujhse aur un sab logon se bhar dunga jo in Insano mein se teri pairwi karenge”
Surah Sad, Verse 85
قُلۡ مَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٖ وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُتَكَلِّفِينَ
(Aey Nabi) insey kehdo ke main is tableeg par tumse koi ajar nahin maangta, aur na main banawati logon mein se hoon
Surah Sad, Verse 86
إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ
Yeh to ek naseehat hai tamam jahaan walon ke liye
Surah Sad, Verse 87
وَلَتَعۡلَمُنَّ نَبَأَهُۥ بَعۡدَ حِينِۭ
Aur thodi muddat hi guzaregi ke tumhein iska haal khud maaloom ho jayega
Surah Sad, Verse 88