Surah Al-Mujadila Verse 22 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Mujadilaلَّا تَجِدُ قَوۡمٗا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ يُوَآدُّونَ مَنۡ حَآدَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَوۡ كَانُوٓاْ ءَابَآءَهُمۡ أَوۡ أَبۡنَآءَهُمۡ أَوۡ إِخۡوَٰنَهُمۡ أَوۡ عَشِيرَتَهُمۡۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡإِيمَٰنَ وَأَيَّدَهُم بِرُوحٖ مِّنۡهُۖ وَيُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱللَّهِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walon ko aap Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kerney walon say mohabbat rakhtay huye hergiz na payen gay go woh unn kay baap ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay kunbay (qabeelay) kay (aziz) hi kiyon na hon. Yehi log hain jin kay dilon mein Allah Taalaa ney eman likh diya hai aur jin ki taeed apni rooh say ki hai aur jinhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jahan yeh hamesha rahen gay Allah inn say razi hai aur yeh Allah say khush hain yeh khudaee lashkar hai aagah raho be-shak Allah kay giroh walay hi kaamyaab log hain