Surah Al-Mujadila - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
قَدۡ سَمِعَ ٱللَّهُ قَوۡلَ ٱلَّتِي تُجَٰدِلُكَ فِي زَوۡجِهَا وَتَشۡتَكِيٓ إِلَى ٱللَّهِ وَٱللَّهُ يَسۡمَعُ تَحَاوُرَكُمَآۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
Yaqeenan Allah Taalaa ney uss aurat ki baat suni jo tujh say apney shoher kay baray mein takraar ker rahi thi aur Allah kay aagay shikayat ker rahi thi Allah Taalaa tum dono kay sawal-o-jawab sunn raha tha be-shak Allah Taalaa sunnay dekhney wala hai
Surah Al-Mujadila, Verse 1
ٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِنكُم مِّن نِّسَآئِهِم مَّا هُنَّ أُمَّهَٰتِهِمۡۖ إِنۡ أُمَّهَٰتُهُمۡ إِلَّا ٱلَّـٰٓـِٔي وَلَدۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَيَقُولُونَ مُنكَرٗا مِّنَ ٱلۡقَوۡلِ وَزُورٗاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٞ
Tum mein say jo log apni biwiyon say zahaar kertay hain (yani unhen maa keh bethtay hain) woh dar asal unn ki maayen nahi bann jatin unn ki maayen to wohi hain jin kay batan say woh peda huye yaqeenan yeh log aik na maqool aur jhooti baat kehtay hain be-shak Allah Taalaa moaf kerney wala aur bakshney wala hai
Surah Al-Mujadila, Verse 2
وَٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِن نِّسَآئِهِمۡ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا قَالُواْ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مِّن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۚ ذَٰلِكُمۡ تُوعَظُونَ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Jo log apni biwiyon say zahaar keren phir apni kahi hui baat say rujoo ker len to unn kay zimmay aapas mein aik doosray ko haath laganey say pehlay aik ghulam aazad kerna hai iss kay zariye tum naseehat kiye jatay ho aur Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say ba khabar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 3
فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ مِن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۖ فَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ فَإِطۡعَامُ سِتِّينَ مِسۡكِينٗاۚ ذَٰلِكَ لِتُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۗ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Haan jo shaks na paye uss kay zimmay do maheenon kay laga taar rozay hain iss say pehlay kay aik doosray ko haath lagayen aur jiss shaks ko yeh taqat bhi na ho uss per saathh (60) miskeenon ka khana khilana hai. Yeh iss liye kay tum Allah ki aur uss kay rasool ki hukum bardari kero yeh Allah Taalaa ki muqarrar kerda hadden hain aur kuffaar hi kay liye dard naak azab hai
Surah Al-Mujadila, Verse 4
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ كُبِتُواْ كَمَا كُبِتَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ وَقَدۡ أَنزَلۡنَآ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۚ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Be-shak jo log Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kertay hain woh zaleel kiye jayen gay jaisay unn say pehlay kay log zaleel kiye gaye thay aur be-shak hum wazeh aayaten utaar chuken hain aur kafiron kay liye to zillat wala azab hai
Surah Al-Mujadila, Verse 5
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ أَحۡصَىٰهُ ٱللَّهُ وَنَسُوهُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Jiss din Allah Taalaa inn sab ko uthaye ga phir enhen unn kay kiye huye aemaal say aagah keray ga jissay Allah ney shumar ker rakha hai aur jissay yeh bhool gaye thay aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai
Surah Al-Mujadila, Verse 6
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ مَا يَكُونُ مِن نَّجۡوَىٰ ثَلَٰثَةٍ إِلَّا هُوَ رَابِعُهُمۡ وَلَا خَمۡسَةٍ إِلَّا هُوَ سَادِسُهُمۡ وَلَآ أَدۡنَىٰ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡثَرَ إِلَّا هُوَ مَعَهُمۡ أَيۡنَ مَا كَانُواْۖ ثُمَّ يُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُواْ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Kiya tu ney nahi dekha kay Allah aasmanon ki aur zamin ki her cheez say waqif hai. Teen aadmiyon ki sirgoshi nahi hoti magar Allah unn ka chotha hota hai na paanch ki magar unn ka chatha (6th) woh hota hai aur na iss say kum ki aur na ziyada ki magar woh sath hi hota hai jahan bhi woh hon phir qayamat kay din unhen unn ka aemaal say aagah keray ga be-shak Allah Taalaa her cheez say waqif hai
Surah Al-Mujadila, Verse 7
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ نُهُواْ عَنِ ٱلنَّجۡوَىٰ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَيَتَنَٰجَوۡنَ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِۖ وَإِذَا جَآءُوكَ حَيَّوۡكَ بِمَا لَمۡ يُحَيِّكَ بِهِ ٱللَّهُ وَيَقُولُونَ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ لَوۡلَا يُعَذِّبُنَا ٱللَّهُ بِمَا نَقُولُۚ حَسۡبُهُمۡ جَهَنَّمُ يَصۡلَوۡنَهَاۖ فَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha? Jinhen kaana phoosi say rok diya gaya tha woh phir bhi iss rokay huye kaam ko doobara kertay hain aur aapas mein gunah ki aur zulm-o-ziyadti ki aur na farmaniy-e-payghumbar ki sirgoshiyan kertay hain aur jab teray pass aatay hain to tujhay inn lafzon mein salam kertay hain jin lafzon mein Allah Taalaa ney nahi kaha aur apney dil mein kehtay hain kay Allah Taalaa humen iss per jo hum kehtay hain saza kiyon nahi deta inn kay liye jahannum kafi (saza) hai jiss mein yeh jayen gay so woh bura thikana hai
Surah Al-Mujadila, Verse 8
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا تَنَٰجَيۡتُمۡ فَلَا تَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِ وَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Aey eman walo! Tum jab sirgoshi kero to yeh sirgoshiyan gunah aur zulm (ziyadti) aur na farmaniy-e-payghumbar ki na hon bulkay neki aur perhezgari ki baaton per sirgoshi kero aur uss Allah say dartay raho jiss kay pass tum jama kiye jao gay
Surah Al-Mujadila, Verse 9
إِنَّمَا ٱلنَّجۡوَىٰ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ لِيَحۡزُنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَيۡسَ بِضَآرِّهِمۡ شَيۡـًٔا إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
(buri) sirgoshiyan pus shetani kaam hai jiss say eman daaron ko ranj phonchay. Go Allah Taalaa ki ijazat kay baghair woh enehn koi nuksan nahi phoncha sakta aur eman walon ko chahaiye kay woh Allah per bharosa rakhen
Surah Al-Mujadila, Verse 10
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قِيلَ لَكُمۡ تَفَسَّحُواْ فِي ٱلۡمَجَٰلِسِ فَٱفۡسَحُواْ يَفۡسَحِ ٱللَّهُ لَكُمۡۖ وَإِذَا قِيلَ ٱنشُزُواْ فَٱنشُزُواْ يَرۡفَعِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ دَرَجَٰتٖۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Aey musalmano! Jab tum say kaha jaye kay majlison mein zara kushagi peda kero to tum jagah kushada kerdo Allah tumhen kushadgi dey ga aur jab kaha jaye kay uth kharay hojao to tum uth kharay hojao Allah Taalaa tum mein say unn logon kay jo eman laye hain aur jo ilm diye gaye hain darjay buland ker dey ga aur Allah Taalaa (her uss kaam say) jo tum ker rahey ho (khoob) khabardaar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 11
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نَٰجَيۡتُمُ ٱلرَّسُولَ فَقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَةٗۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ لَّكُمۡ وَأَطۡهَرُۚ فَإِن لَّمۡ تَجِدُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Aey musalmano! Jab tum rasool (PBUH) sau sirgoshi kerna chahao to apni sirgoshi say pehlay kuch sadqa dey diya kero yeh tumharay haq mein behtar hai haan agar na pao to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah Al-Mujadila, Verse 12
ءَأَشۡفَقۡتُمۡ أَن تُقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَٰتٖۚ فَإِذۡ لَمۡ تَفۡعَلُواْ وَتَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Kiya tum apni sirgoshi say pehlay sadqa nikalney say darr gaye? Pus jab tum ney na kiya aur Allah Taalaa ney bhi tumhen moaf farma diya to abb (ba khoobi) namazon ko qaeem rakho zakat detay raha kero aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki tabey daari kertay raho iss (sab) say Allah (khoob) khabardaar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 13
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ تَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مَّا هُم مِّنكُمۡ وَلَا مِنۡهُمۡ وَيَحۡلِفُونَ عَلَى ٱلۡكَذِبِ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha? Jinhon ney uss qom say dosti ki jin per Allah ghazab naak ho chuka hai na yeh (munafiq) tumharay hi hain na unn kay hain ba wajood ilm kay phir bhi jhoot per qasmen kha rahey hain
Surah Al-Mujadila, Verse 14
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدًاۖ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Allah Taalaa ney inn kay liye sakht azab tayyar ker rakha hai tehqeeq yeh jo kuch ker rahey hain bura ker rahey hain
Surah Al-Mujadila, Verse 15
ٱتَّخَذُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ جُنَّةٗ فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Inn logon ney to apni qasmon ko dhaal bana rakha hai aur logon ko Allah ki raah say roktay hain inn kay liye ruswa kerney wala azab hai
Surah Al-Mujadila, Verse 16
لَّن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Inn kay maal aur inn ki aulad Allah kay haan inn kay kuch kaam na aayen gi. Yeh to jahannumi hain hamesha hi iss mein rahen gay
Surah Al-Mujadila, Verse 17
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيَحۡلِفُونَ لَهُۥ كَمَا يَحۡلِفُونَ لَكُمۡ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍۚ أَلَآ إِنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
Jiss din Allah Taalaa inn sab ko utha khara keray ga to yeh jiss tarah tumharay samney qasmen khatay hain (Allah Taalaa) kay samney bhi qasmen khaney lagen gay aur samjhen gay kay woh bhi kissi (daleel) per hain yaqeen mano kay be-shak wohi jhootay hain
Surah Al-Mujadila, Verse 18
ٱسۡتَحۡوَذَ عَلَيۡهِمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَأَنسَىٰهُمۡ ذِكۡرَ ٱللَّهِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱلشَّيۡطَٰنِ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Inn per shetan ney ghalba hasil ker liya hai aur enhen Allah ka zikar bhula diya hai yeh shetani lashkar hai koi shak nahi kay shetani lashkar hi khasaray wala hai
Surah Al-Mujadila, Verse 19
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ٱلۡأَذَلِّينَ
Be-shak Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki jo log mukhalifat kertay hain wohi log sab say ziyada zaleelon main hain
Surah Al-Mujadila, Verse 20
كَتَبَ ٱللَّهُ لَأَغۡلِبَنَّ أَنَا۠ وَرُسُلِيٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٞ
Allah Taalaa likh chuka hai kay be-shak mein aur meray payghumbar rahen gay. Yaqeenan Allah Taalaa zor aawar aur ghalib hai
Surah Al-Mujadila, Verse 21
لَّا تَجِدُ قَوۡمٗا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ يُوَآدُّونَ مَنۡ حَآدَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَوۡ كَانُوٓاْ ءَابَآءَهُمۡ أَوۡ أَبۡنَآءَهُمۡ أَوۡ إِخۡوَٰنَهُمۡ أَوۡ عَشِيرَتَهُمۡۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡإِيمَٰنَ وَأَيَّدَهُم بِرُوحٖ مِّنۡهُۖ وَيُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱللَّهِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walon ko aap Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kerney walon say mohabbat rakhtay huye hergiz na payen gay go woh unn kay baap ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay kunbay (qabeelay) kay (aziz) hi kiyon na hon. Yehi log hain jin kay dilon mein Allah Taalaa ney eman likh diya hai aur jin ki taeed apni rooh say ki hai aur jinhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jahan yeh hamesha rahen gay Allah inn say razi hai aur yeh Allah say khush hain yeh khudaee lashkar hai aagah raho be-shak Allah kay giroh walay hi kaamyaab log hain
Surah Al-Mujadila, Verse 22