Surah Al-Mujadila - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
قَدۡ سَمِعَ ٱللَّهُ قَوۡلَ ٱلَّتِي تُجَٰدِلُكَ فِي زَوۡجِهَا وَتَشۡتَكِيٓ إِلَى ٱللَّهِ وَٱللَّهُ يَسۡمَعُ تَحَاوُرَكُمَآۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
Allah ne sun li us aurat ki baat jo apne shohar kay maamle mein tumse takrar kar rahi hai aur Allah se faryaad kiye jati hai. |Allah tum dono ki guftagu sun raha hai. Woh sab kuch sunnay aur dekhne wala hai
Surah Al-Mujadila, Verse 1
ٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِنكُم مِّن نِّسَآئِهِم مَّا هُنَّ أُمَّهَٰتِهِمۡۖ إِنۡ أُمَّهَٰتُهُمۡ إِلَّا ٱلَّـٰٓـِٔي وَلَدۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَيَقُولُونَ مُنكَرٗا مِّنَ ٱلۡقَوۡلِ وَزُورٗاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٞ
Tum mein se jo log apni biwiyon se zihar (divorce their wives by declaring them to be their mothers) karte hai unki biwiyan unki maayein (mothers) nahin hain. Unki maayein to wahi hai jinhon ne unko jana hai. Yeh log ek sakht napasandeeda aur jhooti baat kehte hain. Aur haqeeqat yeh hai ke Allah bada maaf karne wala aur darguzar farmane wala hai
Surah Al-Mujadila, Verse 2
وَٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِن نِّسَآئِهِمۡ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا قَالُواْ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مِّن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۚ ذَٰلِكُمۡ تُوعَظُونَ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Jo log apni biwiyon se zihar karein phir apni us baat se ruju (to go back) karein jo unhon ne kahi thi, to qabl iske ke dono ek dursre ko haath lagayein ,ek ghulaam azaad karna hoga. Issey tumko naseehat ki jati hai, Aur jo kuch tum karte ho Allah ussey bakhabar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 3
فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ مِن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۖ فَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ فَإِطۡعَامُ سِتِّينَ مِسۡكِينٗاۚ ذَٰلِكَ لِتُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۗ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Aur jo shaks ghulaam na paye woh do mahine ke pai dar pai (consecutively) rozey rakkhey qabl iske ke dono ek dusre ko haath lagayein aur jo ispar bhi qadir na ho woh 60 miskeeno ko khana khilaye. Yeh hukum isliye diya ja raha hai ke tum Allah aur uske Rasool par iman lao. Yeh Allah ki mukarrar ki hui hadein (bounds) hain, aur kafiron ke liye dardnaak saza hai
Surah Al-Mujadila, Verse 4
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ كُبِتُواْ كَمَا كُبِتَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ وَقَدۡ أَنزَلۡنَآ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۚ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Jo log Allah ki aur uske Rasool ki mukhalifat karte hain woh usi tarah zaleel-o-khwar kardiye jayenge jis tarah unsey pehle ke log zaleel-o-khwar kiye ja chuke hain. Humne saaf saaf ayaat nazil kardi hain , aur kafiron ke liye zillat ka azaab hai
Surah Al-Mujadila, Verse 5
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ أَحۡصَىٰهُ ٱللَّهُ وَنَسُوهُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Us din (yeh zillat ka azaab hona hai) jab Allah in sabko phir se zinda karke uthayega aur inhein bata dega ke woh kya kuch karke aaye hain. Woh bhool gaye hain magar Allah ne in sabka kiya dhara gin gin kar mehfooz kar rakkha hai. Aur Allah ek ek cheez par shahid (witness) hai
Surah Al-Mujadila, Verse 6
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ مَا يَكُونُ مِن نَّجۡوَىٰ ثَلَٰثَةٍ إِلَّا هُوَ رَابِعُهُمۡ وَلَا خَمۡسَةٍ إِلَّا هُوَ سَادِسُهُمۡ وَلَآ أَدۡنَىٰ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡثَرَ إِلَّا هُوَ مَعَهُمۡ أَيۡنَ مَا كَانُواْۖ ثُمَّ يُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُواْ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Kya tumko khabar nahin hai ke zameen aur aasmano ki har cheez ka Allah ko ilm hai? Kabhi aisa nahin hota ke teen aadmiyon mein koi sargoshi(whispering) ho aur unke darmiyan chautha (fourth) Allah na ho, ya paanch aadmiyon mein sargoshi ho aur unke andar chatta (sixth) Allah na ho, khufiya baat karne wala khwa issey kam ho ya zyada jahan kahin bhi woh ho, Allah unke saath hota hai. Phir qayamat ke roz woh unko bata dega ke unhon ne kya kuch kiya hai. Allah har cheez ka ilm rakhta hai
Surah Al-Mujadila, Verse 7
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ نُهُواْ عَنِ ٱلنَّجۡوَىٰ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَيَتَنَٰجَوۡنَ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِۖ وَإِذَا جَآءُوكَ حَيَّوۡكَ بِمَا لَمۡ يُحَيِّكَ بِهِ ٱللَّهُ وَيَقُولُونَ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ لَوۡلَا يُعَذِّبُنَا ٱللَّهُ بِمَا نَقُولُۚ حَسۡبُهُمۡ جَهَنَّمُ يَصۡلَوۡنَهَاۖ فَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Kya tumne dekha nahin un logon ko jinhein sargoshiyan karne se mana kardiya gaya tha phir bhi woh wahi harkat kiye jatay hain jissey unhein mana kiya gaya tha? Yeh log chup chup kar aapas mein gunaah aur zyadati aur Rasool ki nafarmani ki baatein karte hain. Aur jab tumhare paas aatey hain to tumhein us tarikey se salaam karte hain jis taraah Allah ne tumpar salaam nahin kiya hai, aur apne dilon mein kehte hain ke “hamari in baaton par Allah humein azaab kyun nahin deta”. Unke liye jahannum hi kaafi hai, usi ka woh indhan (fuel) banengey, bada hi bura anjaam hai unka
Surah Al-Mujadila, Verse 8
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا تَنَٰجَيۡتُمۡ فَلَا تَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِ وَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Aye logon jo iman laye ho jab tum apas mein poshida baat karo to gunaah aur zyadati aur Rasool ki nafarmani ki baatein nahin, balkey neki aur taqwa ki baatein karo aur us khuda se darte raho jiske huzoor tumhein hashr mein pesh hona hai
Surah Al-Mujadila, Verse 9
إِنَّمَا ٱلنَّجۡوَىٰ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ لِيَحۡزُنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَيۡسَ بِضَآرِّهِمۡ شَيۡـًٔا إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Kana-phusi (Whispering) to ek shaytani kaam hai, aur woh isliye ki jati hai ke iman laney waley log ussey ranjeedha hon, halanke bay-izan-e-khuda (except by Allahs will) woh unhein kuch bhi nuksaan nahin pahuncha sakti, aur momino ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye
Surah Al-Mujadila, Verse 10
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قِيلَ لَكُمۡ تَفَسَّحُواْ فِي ٱلۡمَجَٰلِسِ فَٱفۡسَحُواْ يَفۡسَحِ ٱللَّهُ لَكُمۡۖ وَإِذَا قِيلَ ٱنشُزُواْ فَٱنشُزُواْ يَرۡفَعِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ دَرَجَٰتٖۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Aey logon jo iman laye ho, jab tumse kaha jaye ke apni majlison mein kushadgi paida karo(Make room) to jagah kushada kardiya karo, Allah tumhein kushadgi bakhshega. Aur jab tumse kaha jaye ke uth jao to uth jaya karo, tum mein se jo log iman rakhne waley hain aur jinko ilm bakhsha gaya hai, Allah unko buland darje ata farmayega. Aur jo kuch tum karte ho Allah ko uski khabar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 11
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نَٰجَيۡتُمُ ٱلرَّسُولَ فَقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَةٗۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ لَّكُمۡ وَأَطۡهَرُۚ فَإِن لَّمۡ تَجِدُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Aey logon jo iman laye ho, jab tum Rasool se takhliye (privacy) mein baat karo to baat karne se pehle kuch sadaqa do. Yeh tumhare liye behtar aur pakeeza-tarr hai. Albatta agar tum sadaqa dene ke liye kuch na pao to Allah Gafoor-o-Raheem hai
Surah Al-Mujadila, Verse 12
ءَأَشۡفَقۡتُمۡ أَن تُقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَٰتٖۚ فَإِذۡ لَمۡ تَفۡعَلُواْ وَتَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Kya tum darr gaye is baat se ke takhliye (privacy) mein guftagu karne se pehle tumhein sadaqaat dene hongey? Accha, agar tum aisa na karo aur Allah ne tumko issey maaf kardiya to namaz qayam karte raho, zakaat dete raho aur Allah aur uske Rasool ki itaat karte raho. Tum jo kuch karte ho Allah ussey bakhabar hai
Surah Al-Mujadila, Verse 13
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ تَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مَّا هُم مِّنكُمۡ وَلَا مِنۡهُمۡ وَيَحۡلِفُونَ عَلَى ٱلۡكَذِبِ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Kya tumne dekha nahin un logon ko jinhon ne dost banaya hai ek aisey giroh (people) ko jo Allah ka magzoob (gazabnaak/ Wrath) hai? Woh na tumhare hain na unke, aur wo jaan boojh kar jhooti baat par kasamein khate hain
Surah Al-Mujadila, Verse 14
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدًاۖ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Allah Ne unke liye sakht azaab muhayya kar rakkha hai. Badey hi burey kartoot hain jo woh kar rahey hain
Surah Al-Mujadila, Verse 15
ٱتَّخَذُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ جُنَّةٗ فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Unhon ne apni kasamo ko dhaal bana rakkha hai jiski aadh(shield) mein woh Allah ki raah se logon ko roakte hain. Ispar unke liye zillat ka azaab hai
Surah Al-Mujadila, Verse 16
لَّن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Allah se bachane ke liye na unke maal kuch kaam aayege na unki aulad .Woh dozakh ke yaar hain, usi mein woh hamesha rahenge
Surah Al-Mujadila, Verse 17
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيَحۡلِفُونَ لَهُۥ كَمَا يَحۡلِفُونَ لَكُمۡ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍۚ أَلَآ إِنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
Jis roz Allah un sab ko uthayega, woh uske saamne bhi usi taraah kasamein kahyenge jis tarah tumhare saamne khate hain, aur apne nazdeek yeh samajhenge ke issey unka kuch kaam ban jayega. Khoob jaan lo woh parle daraje ke jhootey hain
Surah Al-Mujadila, Verse 18
ٱسۡتَحۡوَذَ عَلَيۡهِمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَأَنسَىٰهُمۡ ذِكۡرَ ٱللَّهِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱلشَّيۡطَٰنِ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Shaytaan unpar musallat ho chuka hai aur usne khuda ki yaad unke dil se bhula di hai.Woh shaytaan ki party ke log hain. Khabardaar ho, shaytaan ki party waley hi khasarey mein rehne waley hai
Surah Al-Mujadila, Verse 19
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ٱلۡأَذَلِّينَ
Yaqeenan zaleel tareen makhlooqat mein se hain woh log jo Allah aur uske Rasool ka muqabla karte hain
Surah Al-Mujadila, Verse 20
كَتَبَ ٱللَّهُ لَأَغۡلِبَنَّ أَنَا۠ وَرُسُلِيٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٞ
Allah ne likh diya hai ke main aur mere Rasool ghalib hokar rahenge. Fil waqey Allah zabardast aur zoarawar (most strong) hai
Surah Al-Mujadila, Verse 21
لَّا تَجِدُ قَوۡمٗا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ يُوَآدُّونَ مَنۡ حَآدَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَوۡ كَانُوٓاْ ءَابَآءَهُمۡ أَوۡ أَبۡنَآءَهُمۡ أَوۡ إِخۡوَٰنَهُمۡ أَوۡ عَشِيرَتَهُمۡۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡإِيمَٰنَ وَأَيَّدَهُم بِرُوحٖ مِّنۡهُۖ وَيُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱللَّهِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Tum kabhi yeh na paogey ke jo log Allah aur aakhirat par iman rakhne waley hain woh un logon se muhabbat karte hon jinhon ne Allah aur uske rasool ki mukhalifat ki hai , khwa woh unke baap hoon, ya unke betay, ya unke bhai ya unke ehle khandaan. Yeh woh log hain jinke dilon mein Allah ne iman sabt (inscribe/written) kar diya hai aur apni taraf se ek rooh ata karke unko quwwat bakshi hai, Woh unko aisey jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Unmein woh hamesha rahenge. Allah un se razi (pleased) hua aur woh Allah se razi huey.Woh Allah ki party ke log hain. Khabardar raho, Allah ki party waley hi falaah paney waley hain
Surah Al-Mujadila, Verse 22