Surah Al-Hadid - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo zameen aur aasmano mein hai, Aur wahi zabardast daana (wise) hai
Surah Al-Hadid, Verse 1
لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Zameen aur aasmano ki sultanat ka maalik wahi hai, zindagi bakshta hai aur maut deta hai, aur har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Al-Hadid, Verse 2
هُوَ ٱلۡأَوَّلُ وَٱلۡأٓخِرُ وَٱلظَّـٰهِرُ وَٱلۡبَاطِنُۖ وَهُوَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Wahi awwal bhi hai aur aakhir bhi, aur zaahir bhi hai aur makhfi(hiddin) bhi , aur woh har cheez ka ilm rakhta hai
Surah Al-Hadid, Verse 3
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يَعۡلَمُ مَا يَلِجُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا يَخۡرُجُ مِنۡهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا يَعۡرُجُ فِيهَاۖ وَهُوَ مَعَكُمۡ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Wahi hai jisne aasmano aur zameen ko chey (six) dino mein paida kiya aur phir arsh par jalwa farma hua. Uske ilm mein hai jo kuch zameen mein jata hai aur jo kuch ussey nikalta hai, aur jo kuch aasman se utarta hai aur jo kuch usmein chadhta hai. Woh tumhare saath hai jahan bhi tum ho. Jo kaam bhi karte ho usey woh dekh raha hai
Surah Al-Hadid, Verse 4
لَّهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Wahi zameen aur aasmano ki baadshahi ka maalik hai aur tamaam maamlaat faisley ke liye usi ki taraf ruju kiye jatey hain
Surah Al-Hadid, Verse 5
يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِۚ وَهُوَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Wahi raat ko din mein aur din ko raat mein daakhil karta hai, aur dilon ke chupey huye raaz tak janta hai
Surah Al-Hadid, Verse 6
ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَأَنفِقُواْ مِمَّا جَعَلَكُم مُّسۡتَخۡلَفِينَ فِيهِۖ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَأَنفَقُواْ لَهُمۡ أَجۡرٞ كَبِيرٞ
Iman lao Allah aur uske Rasool par aur kharch karo un cheezon mein se jinpar usney tumko khalifa banaya hai. Jo log tum mein se iman layenge aur maal kharch karenge unke liye bada ajr hai
Surah Al-Hadid, Verse 7
وَمَا لَكُمۡ لَا تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلرَّسُولُ يَدۡعُوكُمۡ لِتُؤۡمِنُواْ بِرَبِّكُمۡ وَقَدۡ أَخَذَ مِيثَٰقَكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Tumhein kya ho gaya hai ke tum Allah par iman nahin latey halanke Rasool tumhein apne Rubb par iman laney ki dawat de raha hai, aur woh tumse ahad (covenant) le chuka hai, agar tum waqayi maanne waley ho
Surah Al-Hadid, Verse 8
هُوَ ٱلَّذِي يُنَزِّلُ عَلَىٰ عَبۡدِهِۦٓ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ لِّيُخۡرِجَكُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ بِكُمۡ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Woh Allah hi to hai jo apne banday par saaf saaf aayatein nazil kar raha hai taa-ke tumhein tareekhiyon (darkness) se nikal kar roshni mein le aaye. Aur haqeeat yeh hai ke Allah tumpar nihayat shafeeq aur meharbaan hai
Surah Al-Hadid, Verse 9
وَمَا لَكُمۡ أَلَّا تُنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلِلَّهِ مِيرَٰثُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَا يَسۡتَوِي مِنكُم مَّنۡ أَنفَقَ مِن قَبۡلِ ٱلۡفَتۡحِ وَقَٰتَلَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَعۡظَمُ دَرَجَةٗ مِّنَ ٱلَّذِينَ أَنفَقُواْ مِنۢ بَعۡدُ وَقَٰتَلُواْۚ وَكُلّٗا وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Aakhir kya wajah hai ke tum Allah ki raah mein kharch nahin karte halanke zameen aur aasmano ki miraas (inheritance) Allah hi ke liye hai. Tum mein se jo log fatah ke baad kharch aur jihad karenge woh kabhi un logon ke barabar nahin ho sakte jinhon ne fatah se pehle kharch aur jihad kiya hai.Unka darja baad mein kharch aur jihad karne walon se badh-kar hai hai agarche Allah ne dono hi se acchey waade famaye hain. Jo kuch tum karte ho Allah ussey ba-khabar hai
Surah Al-Hadid, Verse 10
مَّن ذَا ٱلَّذِي يُقۡرِضُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا فَيُضَٰعِفَهُۥ لَهُۥ وَلَهُۥٓ أَجۡرٞ كَرِيمٞ
Kaun hai jo Allah ko qarz dey? Accha qarz taa-ke Allah usey kai gunaa bada kar wapas dey. Aur uske liye behtareen ajar hai
Surah Al-Hadid, Verse 11
يَوۡمَ تَرَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ يَسۡعَىٰ نُورُهُم بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَبِأَيۡمَٰنِهِمۖ بُشۡرَىٰكُمُ ٱلۡيَوۡمَ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Us din jabke tum momin mardon aur auraton ko dekhoge ke unka noor unke aagey aagey aur unke dayein jaanib daud raha hoga (unse kaha jayega ke) aaj basharat (khushkhabri) hai. Tumhare liye jannatein hongi jinke nichey nehrein beh rahi hongi, jin mein woh hamesha rahenge. Yahi hai badi kamiyabi
Surah Al-Hadid, Verse 12
يَوۡمَ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتُ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱنظُرُونَا نَقۡتَبِسۡ مِن نُّورِكُمۡ قِيلَ ٱرۡجِعُواْ وَرَآءَكُمۡ فَٱلۡتَمِسُواْ نُورٗاۖ فَضُرِبَ بَيۡنَهُم بِسُورٖ لَّهُۥ بَابُۢ بَاطِنُهُۥ فِيهِ ٱلرَّحۡمَةُ وَظَٰهِرُهُۥ مِن قِبَلِهِ ٱلۡعَذَابُ
Us roz munafik mardon aur auraton ka haal yeh hoga ke woh momino se kahenge zara hamari taraf dekho taa-ke hum tumhare noor se kuch fayda uthayein. Magar unse kaha jayega pichey hatt jao, Apna noor kahin aur talash karo. Phir unke darmiyan ek deewar hayal kardi jayegi jismein ek darwaza hoga us darwaze ke andar rehmat hogi aur bahar azaab
Surah Al-Hadid, Verse 13
يُنَادُونَهُمۡ أَلَمۡ نَكُن مَّعَكُمۡۖ قَالُواْ بَلَىٰ وَلَٰكِنَّكُمۡ فَتَنتُمۡ أَنفُسَكُمۡ وَتَرَبَّصۡتُمۡ وَٱرۡتَبۡتُمۡ وَغَرَّتۡكُمُ ٱلۡأَمَانِيُّ حَتَّىٰ جَآءَ أَمۡرُ ٱللَّهِ وَغَرَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
Woh momino se pukar pukar kar kahenge kya hum tumhare saath na thay? Momin jawab dengey haan, magar tumne apne aap ko khud fitne mein dala, mauqa parasti ki, shakk mein padey rahey, aur jhooti tawakkuat (expectations) tumhein fareb deti rahi Yahan tak ke Allah ka faisla aa gaya. Aur aakhri waqt tak woh bada dhoke baaz tumhein Allah ke maamle mein dhoka deta raha
Surah Al-Hadid, Verse 14
فَٱلۡيَوۡمَ لَا يُؤۡخَذُ مِنكُمۡ فِدۡيَةٞ وَلَا مِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ مَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُۖ هِيَ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Lihaza aaj na tumse koi fidiya kabool kiya jayega aur na un logon se jinhon ne khula khula kufr kiya tha. Tumhara thikana jahannum hai. Wahi tumhari khabar-giri karne wali hai aur yeh badtareen anjaam hai
Surah Al-Hadid, Verse 15
۞أَلَمۡ يَأۡنِ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن تَخۡشَعَ قُلُوبُهُمۡ لِذِكۡرِ ٱللَّهِ وَمَا نَزَلَ مِنَ ٱلۡحَقِّ وَلَا يَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلُ فَطَالَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَمَدُ فَقَسَتۡ قُلُوبُهُمۡۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
Kya iman laney walon ke liye abhi woh waqt nahin aaya ke unke dil Allah ke zikr se pighlein aur uske nazil karda haqq ke aagey jhukein aur woh un logon ki tarah na ho jayein jinhein pehle kitaab di gayi thi, phir ek lambi muddat unpar guzar gayi to unke dil sakht ho gaye aur aaj unmein se aksar fasiq banay huey hain
Surah Al-Hadid, Verse 16
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ قَدۡ بَيَّنَّا لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Khoob jaan lo ke Allah zameen ko uski maut ke baad zindagi bakshta hai, humne nishaniyan tumko saaf saaf dikha di hai, shayad ke tum aqal se kaam lo
Surah Al-Hadid, Verse 17
إِنَّ ٱلۡمُصَّدِّقِينَ وَٱلۡمُصَّدِّقَٰتِ وَأَقۡرَضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا يُضَٰعَفُ لَهُمۡ وَلَهُمۡ أَجۡرٞ كَرِيمٞ
Mardon aur auraton mein se jo log sadaqaat (charity) dene waley hain aur jinhon ne Allah ko karz-e-hasan diya hai, unko yakeenan kayi gunaa bada kar diya jayega aur unke liye behtareen ajar hai
Surah Al-Hadid, Verse 18
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلصِّدِّيقُونَۖ وَٱلشُّهَدَآءُ عِندَ رَبِّهِمۡ لَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ وَنُورُهُمۡۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Aur jo log Allah aur uske Rasoolon par iman laye hain wahi apne Rubb ke nazdeek siddiq aur shaheed hain. Unke liye unka ajar aur unka noor hai. Aur jin logon ne kufr kiya hai aur hamari aayat ko jhutlaya hai woh dozakhi hai
Surah Al-Hadid, Verse 19
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞ وَزِينَةٞ وَتَفَاخُرُۢ بَيۡنَكُمۡ وَتَكَاثُرٞ فِي ٱلۡأَمۡوَٰلِ وَٱلۡأَوۡلَٰدِۖ كَمَثَلِ غَيۡثٍ أَعۡجَبَ ٱلۡكُفَّارَ نَبَاتُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَكُونُ حُطَٰمٗاۖ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٞ شَدِيدٞ وَمَغۡفِرَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٞۚ وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا مَتَٰعُ ٱلۡغُرُورِ
Khoob jaan lo ke yeh duniya ki zindagi iske siwa kuch nahin ke ek khel aur dil-lagi aur zaahiri tip top aur tumhara aapas mein ek dusre par fakr jatana aur maal-o-aulad mein ek dusre se badh janey ki koshish karna hai.Iski misal aisi hai jaise ek baarish ho gayi to usse paida honay wali nabataat(vegetation) ko dekh kar kaasht-kaar (kisan) khush ho gaye. Phir wahi kheti pak jati hai aur tum dekhte ho ke woh zard (yellow) ho gayi phir woh bhus (chura chura /crumble) bankar reh jati hai. Iske baraks aakhirat woh jagah hai jahan sakht azaab hai aur Allah ki magfirat aur uski khushnudi hai. Dunkya ki zindagi ek dhoke ke tatti (means of deception) ke siwa kuch nahin
Surah Al-Hadid, Verse 20
سَابِقُوٓاْ إِلَىٰ مَغۡفِرَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ وَجَنَّةٍ عَرۡضُهَا كَعَرۡضِ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ أُعِدَّتۡ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۚ ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
Daudo (race) aur ek dusrey se aage badhne ki koshish karo apne Rubb ki magfirat aur uski jannat ki taraf jiski wussat (width) aasman-o-zameen jaisi hai. Jo muhayya ki gayi hai un logon ke liye jo Allah aur uske Rasoolon par iman laye hon. Yeh Allah ka fazl hai, jisey chahta hai ata farmata hai, aur Allah badey fazl wala hai
Surah Al-Hadid, Verse 21
مَآ أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِيٓ أَنفُسِكُمۡ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مِّن قَبۡلِ أَن نَّبۡرَأَهَآۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Koi museebat aisi nahin hai jo zameen mein ya tumhare apne nafs par nazil hoti ho aur humne usko paida karne se pehle ek kitaab mein likh na rakkha ho. Aisa karna Allah ke liye bahut aasaan kaam hai
Surah Al-Hadid, Verse 22
لِّكَيۡلَا تَأۡسَوۡاْ عَلَىٰ مَا فَاتَكُمۡ وَلَا تَفۡرَحُواْ بِمَآ ءَاتَىٰكُمۡۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخۡتَالٖ فَخُورٍ
(Yeh sab kuch isliye hai) taa-ke jo kuch bhi nuksaan tumhein ho us par tum dil-shikasta (grieve) na hon aur jo kuch Allah tumhein ata farmaye uspar phool na jao. Allah aisey logon ko pasand nahin karta jo apne aap ko badi cheez samajhte hain aur fakr jatate hain
Surah Al-Hadid, Verse 23
ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ وَيَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبُخۡلِۗ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Jo khud bukhl (niggard/kanjusi) karte hain aur dusron ko bukhl par uksate hain. Ab agar koi ru-gardani (mooh pherna) karta hai to Allah be-niyaz aur satoda siffat (immensely praiseworthy) hai
Surah Al-Hadid, Verse 24
لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلَنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَنزَلۡنَا مَعَهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡمِيزَانَ لِيَقُومَ ٱلنَّاسُ بِٱلۡقِسۡطِۖ وَأَنزَلۡنَا ٱلۡحَدِيدَ فِيهِ بَأۡسٞ شَدِيدٞ وَمَنَٰفِعُ لِلنَّاسِ وَلِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ مَن يَنصُرُهُۥ وَرُسُلَهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٞ
Humne apne Rasoolon ko saaf saaf nishaniyon aur hidayaat ke saath bheja, aur unke saath kitaab aur mizaan (balance) nazil ki taakay log insaf par qayam hon. Aur loha (Iron) utara jis mein bada zoar hai aur logon ke liye munafa hai. Yeh isliye kiya gaya hai ke Allah ko maloom ho jaye ke kaun usko dekhe bagair uski aur uske rasoolon ki madad karta hai. Yaqeenan Allah badi quwwat wala aur zabardast hai
Surah Al-Hadid, Verse 25
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحٗا وَإِبۡرَٰهِيمَ وَجَعَلۡنَا فِي ذُرِّيَّتِهِمَا ٱلنُّبُوَّةَ وَٱلۡكِتَٰبَۖ فَمِنۡهُم مُّهۡتَدٖۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
Humne Nooh aur Ibrahim ko bheja aur un dono ki nasal mein nabuwat aur kitaab rakh di phir unki aulad mein se kisi ne hidayat ikhtiyar ki aur bahut se faasiq ho gaye
Surah Al-Hadid, Verse 26
ثُمَّ قَفَّيۡنَا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم بِرُسُلِنَا وَقَفَّيۡنَا بِعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡإِنجِيلَۖ وَجَعَلۡنَا فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُ رَأۡفَةٗ وَرَحۡمَةٗۚ وَرَهۡبَانِيَّةً ٱبۡتَدَعُوهَا مَا كَتَبۡنَٰهَا عَلَيۡهِمۡ إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ رِضۡوَٰنِ ٱللَّهِ فَمَا رَعَوۡهَا حَقَّ رِعَايَتِهَاۖ فَـَٔاتَيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنۡهُمۡ أَجۡرَهُمۡۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
Unke baad humne pai dar pai (succession) apne Rasool bheje, aur in sabke baad Isa ibn-e-Maryam ko maboos kiya aur usko Injil ata ki, aur jin logon ne uski pairvi ikhtiyar ki unke dilon mein humne taras (tenderness ) aur reham daal diya. Aur rahbaniyat (monasticism) unhon ne khud ijaad karli, humne usey unpar farz nahin kiya tha. Magar Allah ki khushnudi ki talab mein unhon ne aap hi yeh bidaat nikali aur phir iski pabandi karne ka jo haqq tha usey ada na kiya. Unmein se jo log iman laye huye thay unka ajr humne unko ata kiya, magar unmein se aksar log faasiq hain
Surah Al-Hadid, Verse 27
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَءَامِنُواْ بِرَسُولِهِۦ يُؤۡتِكُمۡ كِفۡلَيۡنِ مِن رَّحۡمَتِهِۦ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ نُورٗا تَمۡشُونَ بِهِۦ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro aur uske Rasool par iman lao. Allah tumhein apni Rehmat ka dohra hissa ata farmyega aur tumhein wahi noor bakhshega jiski roshni mein tum chaloge, aur tumhare kasoor maaf kardega.Allah bada maaf karne wala aur meharbaan hai
Surah Al-Hadid, Verse 28
لِّئَلَّا يَعۡلَمَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَلَّا يَقۡدِرُونَ عَلَىٰ شَيۡءٖ مِّن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَأَنَّ ٱلۡفَضۡلَ بِيَدِ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
(Tumko yeh rawish ikhtiyar karni chahiye) taa-ke ehle kitaab ko maalom ho jaye ke Allah ke fazal par unka koi ijara (control/ikhtiyar) nahin hai, aur yeh ke Allah ka fazal uske apne hi haath mein hai, Jisey chahta hai ata farmata hai. Aur woh badey fazal(bounty) wala hai
Surah Al-Hadid, Verse 29