Surah Al-Hashr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah hi ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo aasmano aur zameen mein hai, aur wahi ghalib aur hakeem hai
Surah Al-Hashr, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَخۡرَجَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ مِن دِيَٰرِهِمۡ لِأَوَّلِ ٱلۡحَشۡرِۚ مَا ظَنَنتُمۡ أَن يَخۡرُجُواْۖ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُم مَّانِعَتُهُمۡ حُصُونُهُم مِّنَ ٱللَّهِ فَأَتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِنۡ حَيۡثُ لَمۡ يَحۡتَسِبُواْۖ وَقَذَفَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلرُّعۡبَۚ يُخۡرِبُونَ بُيُوتَهُم بِأَيۡدِيهِمۡ وَأَيۡدِي ٱلۡمُؤۡمِنِينَ فَٱعۡتَبِرُواْ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ
Wahi hai jisne ehle kitaab kafiron ko pehle hi hamle mein unke gharon se nikaal bahar kiya.Tumhein hargiz yeh gumaan na tha ke woh nikal jayenge aur woh bhi yeh samjhe baitey thay ke unki gadiyan (fortresses) unhein Allah se bacha lengi.Magar Allah aisey rukh se un par aaya jidhar unka khayal bhi na gaya tha. Usney unke dilon mein roab (terror) daal diya, nateeja yeh hua ke woh khud apne haathon se bhi apne gharon ko barbaad kar rahey thay aur momino ke haathon bhi barbaad karwa rahey thay. Pas ibrat haasil karo aey deedha-e-beena (perceptive eyes) rakhne walon
Surah Al-Hashr, Verse 2
وَلَوۡلَآ أَن كَتَبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡجَلَآءَ لَعَذَّبَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابُ ٱلنَّارِ
Agar Allah ne unke haqq mein jila watani (banishment) na likh di hoti to duniya hi mein woh unhein azaab de daalta. Aur aakhirat mein to unke liye dozakh ka azaab hai hi
Surah Al-Hashr, Verse 3
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ شَآقُّواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۖ وَمَن يُشَآقِّ ٱللَّهَ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Yeh sab kuch isliye hua ke unhon ne Allah aur uske Rasool ka muqabla kiya. Aur jo bhi Allah ka muqabla karey Allah usko saza dene mein bahut sakht hai
Surah Al-Hashr, Verse 4
مَا قَطَعۡتُم مِّن لِّينَةٍ أَوۡ تَرَكۡتُمُوهَا قَآئِمَةً عَلَىٰٓ أُصُولِهَا فَبِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَلِيُخۡزِيَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Tum logon ne khajooron (dates) ke jo darakht kaate ya jinko apne jadhon (roots) par khada rehne diya, yeh sab Allah hi ke izan se tha aur (Allah ne yeh izan isliye diya) taa-ke faasiqon ko zaleel-o-khaar karey
Surah Al-Hashr, Verse 5
وَمَآ أَفَآءَ ٱللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ مِنۡهُمۡ فَمَآ أَوۡجَفۡتُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ خَيۡلٖ وَلَا رِكَابٖ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يُسَلِّطُ رُسُلَهُۥ عَلَىٰ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur jo maal Allah ne unke kabze se nikal kar apne Rasool ki taraf palta diye, woh aisey maal nahin hai jinpar tumne apne ghodey (horses) aur ount (camels) daudaye hon. Balke Allah apne Rasoolon ko jispar chahta hai tasallut (authority/galaba) ata farma deta hai. Aur Allah har cheez par qadir hai
Surah Al-Hashr, Verse 6
مَّآ أَفَآءَ ٱللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡقُرَىٰ فَلِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ كَيۡ لَا يَكُونَ دُولَةَۢ بَيۡنَ ٱلۡأَغۡنِيَآءِ مِنكُمۡۚ وَمَآ ءَاتَىٰكُمُ ٱلرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَىٰكُمۡ عَنۡهُ فَٱنتَهُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Jo kuch bhi Allah in bastiyon ke logon se apne Rasool ki tarf palta de woh Allah , aur Rasool, aur rishtedaron , aur yatama (orphans), aur masakeen, aur musafiron, ke liye hai taa-ke woh tumhare maaldaaron hi ke darmiyan gardish na karta rahey. Jo kuch Rasool tumhein de woh lelo aur jis cheez se woh tum ko roak dey ussey ruk jao. Allah se daro, Allah sakht saza dene wala hai
Surah Al-Hashr, Verse 7
لِلۡفُقَرَآءِ ٱلۡمُهَٰجِرِينَ ٱلَّذِينَ أُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِمۡ وَأَمۡوَٰلِهِمۡ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗا وَيَنصُرُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلصَّـٰدِقُونَ
(Neiz woh maal) un gareeb muhajireen ke liye hai jo apne gharon aur jaidaadon se nikaal bahar kiye gaye hain. Yeh log Allah ka fazal aur uski khushnudi chahte hain aur Allah aur uske Rasool ki himayat par qamar-basta rehte hai. Yahi raast baaz ( truthful ) log hain
Surah Al-Hashr, Verse 8
وَٱلَّذِينَ تَبَوَّءُو ٱلدَّارَ وَٱلۡإِيمَٰنَ مِن قَبۡلِهِمۡ يُحِبُّونَ مَنۡ هَاجَرَ إِلَيۡهِمۡ وَلَا يَجِدُونَ فِي صُدُورِهِمۡ حَاجَةٗ مِّمَّآ أُوتُواْ وَيُؤۡثِرُونَ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ وَلَوۡ كَانَ بِهِمۡ خَصَاصَةٞۚ وَمَن يُوقَ شُحَّ نَفۡسِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
(Aur woh un logon ke liye bhi hai) jo in muhajireen ki aamad se pehle hi iman laa kar daar-ul-hijrat [abode (of Hijrah)] mein muqeem thay. Yeh un logon se muhabbat karte hain jo hijrat karke inke paas aaye hain aur jo kuch bhi unko de diya jaye uski koi haajat tak yeh apne dilon mein mehsoos nahin karte aur apni zaat par dusron ko tarjeeh dete hain, khwa apni jagah khud mohtaj hon. Haqeeqat yeh hai ke jo log apne dil ki tangi se bacha liye gaye wahi falaah paney waley hain
Surah Al-Hashr, Verse 9
وَٱلَّذِينَ جَآءُو مِنۢ بَعۡدِهِمۡ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لَنَا وَلِإِخۡوَٰنِنَا ٱلَّذِينَ سَبَقُونَا بِٱلۡإِيمَٰنِ وَلَا تَجۡعَلۡ فِي قُلُوبِنَا غِلّٗا لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ رَبَّنَآ إِنَّكَ رَءُوفٞ رَّحِيمٌ
(Aur woh un logon ke liye bhi hai) jo un logon ke baad aaye hain, jo kehte hain ke “Aey hamare Rubb, humein aur hamare un sab bhaiyon ko baksh de jo humse pehle iman laye hain aur hamare dilon mein ehle iman ke liye koi bugz (rancour) na rakh. Aey hamare Rubb, tu bada meharbaan aur raheem hai”
Surah Al-Hashr, Verse 10
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ نَافَقُواْ يَقُولُونَ لِإِخۡوَٰنِهِمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَئِنۡ أُخۡرِجۡتُمۡ لَنَخۡرُجَنَّ مَعَكُمۡ وَلَا نُطِيعُ فِيكُمۡ أَحَدًا أَبَدٗا وَإِن قُوتِلۡتُمۡ لَنَنصُرَنَّكُمۡ وَٱللَّهُ يَشۡهَدُ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Tumne dekha nahin un logon ko jinhon ne munafiqat (hypocrisy) ki rawish ikhtiyar ki hai? Yeh apne kafir ehle kitaab bhaiyon se kehte hain "agar tumhein nikala gaya to hum tumhare saath niklenge, aur tumhare maamle mein hum kisi ki baat hargiz na manenge, aur agar tumse jung ki gayi to hum tumhari madad karenge" magar Allah gawah hai ke yeh log qataii jhootey hain
Surah Al-Hashr, Verse 11
لَئِنۡ أُخۡرِجُواْ لَا يَخۡرُجُونَ مَعَهُمۡ وَلَئِن قُوتِلُواْ لَا يَنصُرُونَهُمۡ وَلَئِن نَّصَرُوهُمۡ لَيُوَلُّنَّ ٱلۡأَدۡبَٰرَ ثُمَّ لَا يُنصَرُونَ
Agar woh nikale gaye to yeh unke saath hargiz na niklenge, aur agar unse jung ki gayi to yeh unki hargiz madad na karenge, aur agar yeh unki madad karein bhi to peet phair jayenge aur phir kahin se koi madad na payenge
Surah Al-Hashr, Verse 12
لَأَنتُمۡ أَشَدُّ رَهۡبَةٗ فِي صُدُورِهِم مِّنَ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ
Inke dilon mein Allah se badh kar tumhara khauf hai, isliye ke yeh aisey log hain jo samajh boojh nahin rakhte
Surah Al-Hashr, Verse 13
لَا يُقَٰتِلُونَكُمۡ جَمِيعًا إِلَّا فِي قُرٗى مُّحَصَّنَةٍ أَوۡ مِن وَرَآءِ جُدُرِۭۚ بَأۡسُهُم بَيۡنَهُمۡ شَدِيدٞۚ تَحۡسَبُهُمۡ جَمِيعٗا وَقُلُوبُهُمۡ شَتَّىٰۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡقِلُونَ
Yeh kabhi ikatthey hokar ( khule maidan mein ) tumhara muqabla na karenge, ladenge bhi to qila-band bastiyon ( fortified townships) mein baith kar ya deewaron ke peechay chup kar. Yeh aapas ki mukhalifat mein baday sakht hain. Tum unhein ikhatta samajte ho magar inke dil ek dusre se phatey huey hain. Inka yeh haal isliye hai ke yeh be aqal log hain
Surah Al-Hashr, Verse 14
كَمَثَلِ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ قَرِيبٗاۖ ذَاقُواْ وَبَالَ أَمۡرِهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Yeh unhi logon ke manind hain jo insey thodi hi muddat pehle apne kiye ka maza chakh chuke hain aur inke liye dardnaak azaab hai
Surah Al-Hashr, Verse 15
كَمَثَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِ إِذۡ قَالَ لِلۡإِنسَٰنِ ٱكۡفُرۡ فَلَمَّا كَفَرَ قَالَ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّنكَ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَ رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Inki misal shaytaan ki si hai ke pehle woh insan se kehta hai kufr kar, aur jab Insan kufr kar baithta hai to woh kehta hai main tujhse bari-uz-zimma hoon, mujhey to Allah Rabb-ul-aalameen se darr lagta hai
Surah Al-Hashr, Verse 16
فَكَانَ عَٰقِبَتَهُمَآ أَنَّهُمَا فِي ٱلنَّارِ خَٰلِدَيۡنِ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَـٰٓؤُاْ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Phir dono ka anjaam yeh hona hai ke hamesha ke liye jahannum mein jayein, aur zaalimon ki yahi jaza hai
Surah Al-Hashr, Verse 17
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلۡتَنظُرۡ نَفۡسٞ مَّا قَدَّمَتۡ لِغَدٖۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro, Aur har shaks yeh dekhe ke usne kal ke liye kya samaan kiya hai. Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare un sab aamaal se ba-khabar hai jo tum karte ho
Surah Al-Hashr, Verse 18
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ نَسُواْ ٱللَّهَ فَأَنسَىٰهُمۡ أَنفُسَهُمۡۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Un logon ki taraah na ho jao jo Allah ko bhool gaye to Allah ne unhein khud apna nafs bhula diya. yahi log faasiq hain
Surah Al-Hashr, Verse 19
لَا يَسۡتَوِيٓ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۚ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
Dozakh mein jaane wale aur jannat mein jaane wale kabhi yaksan nahin ho sakte. Jannat mein janey waley hi asal mein kamiyaab hain
Surah Al-Hashr, Verse 20
لَوۡ أَنزَلۡنَا هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ عَلَىٰ جَبَلٖ لَّرَأَيۡتَهُۥ خَٰشِعٗا مُّتَصَدِّعٗا مِّنۡ خَشۡيَةِ ٱللَّهِۚ وَتِلۡكَ ٱلۡأَمۡثَٰلُ نَضۡرِبُهَا لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
Agar humne yeh Quran kisi pahad(mountain) par bhi utaar diya hota to tum dekhte ke woh Allah ke khauff se daba jaa raha hai, aur phata padta hai. Yeh misalein hum logon ke saamne isliye bayaan karte hain ke woh (apne halaat par) gaur karein
Surah Al-Hashr, Verse 21
هُوَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِۖ هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ٱلرَّحِيمُ
Woh Allah hi hai jiske siwa koi maabood nahin, gayab aur zaahir har cheez ka jaanne wala, wahi Rehman aur Raheem hai
Surah Al-Hashr, Verse 22
هُوَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡقُدُّوسُ ٱلسَّلَٰمُ ٱلۡمُؤۡمِنُ ٱلۡمُهَيۡمِنُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡجَبَّارُ ٱلۡمُتَكَبِّرُۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Woh Allah hi hai jiske siwa koi maabood nahin woh Badshah hai, nihayat muqaddas , sarasar salamati (all-peace), aman dene wala( Giver of security), nigehbaan, sab par ghalib, apna hukum ba-zoar naafiz karne wala, aur bada hi hokar rehne wala. Paak hai Allah us shirk se jo log kar rahey hain
Surah Al-Hashr, Verse 23
هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡخَٰلِقُ ٱلۡبَارِئُ ٱلۡمُصَوِّرُۖ لَهُ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ يُسَبِّحُ لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Woh Allah hi hai, jo takhleeq( creation) ka mansuba(plan) banane wala, aur usko nafiz karne wala, aur uske mutabik surat-gari (fashioner) karne wala hai. Uske liye behtareen naam hain. Har cheez jo aasmano aur zameen mein hai uski tasbeeh kar rahi hai, aur woh zabardast aur Hakeem hai
Surah Al-Hashr, Verse 24