Surah Al-Mumtahana - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمۡ أَوۡلِيَآءَ تُلۡقُونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَقَدۡ كَفَرُواْ بِمَا جَآءَكُم مِّنَ ٱلۡحَقِّ يُخۡرِجُونَ ٱلرَّسُولَ وَإِيَّاكُمۡ أَن تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ رَبِّكُمۡ إِن كُنتُمۡ خَرَجۡتُمۡ جِهَٰدٗا فِي سَبِيلِي وَٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِيۚ تُسِرُّونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَأَنَا۠ أَعۡلَمُ بِمَآ أَخۡفَيۡتُمۡ وَمَآ أَعۡلَنتُمۡۚ وَمَن يَفۡعَلۡهُ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Aey logon jo iman laye ho, agar tum meri raah mein jihad karne ke liye aur meri raza-joyi ki khatir (watan chodh kar gharon se) nikle ho to mere aur apne dushmano ko dost na banao. Tum unke saath dosti ki tarah(befriend) dalte ho, halaanke jo haqq tumhare paas aaya hai usko maanne se woh inkar kar chuke hain. Aur unki ravish yeh hai ke Rasool ko aur khud tumko sirf is kasoor par jila-watan (expel) karte hain ke tum apne Rubb, Allah par iman laye ho. Tum chupa kar unko dostana paighaam bhejte ho, halaanke jo kuch tum chupa kar karte ho aur jo elania (openly) karte ho, har cheez ko mai khoob janta hoon. Jo shaks bhi tum mein se aisa karey woh yaqeenan raah-e-raast se bhatak gaya
Surah Al-Mumtahana, Verse 1
إِن يَثۡقَفُوكُمۡ يَكُونُواْ لَكُمۡ أَعۡدَآءٗ وَيَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ وَأَلۡسِنَتَهُم بِٱلسُّوٓءِ وَوَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ
Unka rawayya to yeh hai ke agar tumpar qaabu paa jayein to tumhare saath dushmani karein aur haath aur zuban se tumhein azar (hurt) dein, woh to yeh chahte hain ke tum kisi tarah kafir ho jao
Surah Al-Mumtahana, Verse 2
لَن تَنفَعَكُمۡ أَرۡحَامُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡۚ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَفۡصِلُ بَيۡنَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Qayamat ke din na tumhari rishtedarian kisi kaam aayengi na tumhari aulad. Us roz Allah tumhare darmiyan judaai daal dega. Aur wahi tumhare aamaal ka dekhne wala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 3
قَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَـٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
Tum logon ke liye Ibrahim aur uske saathiyon mein ek accha namuna hai ke unhon ne apni qaum se saaf kehdiya “hum tumse aur tumhare in maboodon (deities) se jinko tum khuda ko chodh kar poojhte ho qataii bezaar hain. Humne tumse kufr kiya aur hamare aur tumhare darmiyan hamesha ke liye adawat hogayi aur bair padh gaya (enmity and hatred) jabtak tum Allah wahid par iman na lao”. Magar Ibrahim ka apne baap se yeh kehna (issey mustasna hai) ke “ Main aapke liye magfirat ki darkhwast zaroor karunga, aur Allah se aap ke liye kuch haasil kar lena mere bas mein nahin hai”. (Aur Ibrahim va ashaab-e-Ibrahim ki dua yeh thi ke) “Aey hamare Rubb, tere hi upar humne bharosa kiya aur teri hi taraf humne ruju (turn) karliya aur tere hi huzoor humein palatna hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 4
رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ وَٱغۡفِرۡ لَنَا رَبَّنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aey hamare Rubb, humein kafiron ke liye fitna (trial/test) na bana de aur aey hamare Rubb, hamare kasooron se darguzar farma. Beshak tu hi zabardast (mighty) aur daana(wise) hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 5
لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِيهِمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ لِّمَن كَانَ يَرۡجُواْ ٱللَّهَ وَٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَۚ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Inhi logon ke tarz-e-amal mein tumhare liye aur har us shaks ke liye accha namuna (example) hai jo Allah aur roz-e-aakhir ka umeedwar ho. Issey koi munharif ho (turns away) to Allah be niyaz (All-Sufficient) aur apni zaat mein aap mahmood hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 6
۞عَسَى ٱللَّهُ أَن يَجۡعَلَ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ عَادَيۡتُم مِّنۡهُم مَّوَدَّةٗۚ وَٱللَّهُ قَدِيرٞۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Baeed nahin ke Allah kabhi tumhare aur un logon ke darmiyaan mohabbat daal de jinse aaj tumne dushmani mol li hai. Allah badi qudrat rakhta hai aur woh gafoor-o-raheem hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 7
لَّا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَلَمۡ يُخۡرِجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ أَن تَبَرُّوهُمۡ وَتُقۡسِطُوٓاْ إِلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Allah tumhein is baat se nahin roakta ke tum un logon ke saath neki aur insaaf ka bartaao karo jinhon ne deen ke maamle mein tumse jung nahin ki hai aur tumhein tumhare gharon se nahin nikala hai. Allah insaaf karne walon ko pasand karta hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 8
إِنَّمَا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ قَٰتَلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَأَخۡرَجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ وَظَٰهَرُواْ عَلَىٰٓ إِخۡرَاجِكُمۡ أَن تَوَلَّوۡهُمۡۚ وَمَن يَتَوَلَّهُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Woh tumhein jis baat se roakta hai woh to yeh hai ke tum un logon se dosti karo jinhon ne tumse deen ke maamle mein jung ki hai aur tumhein tumhare gharon se nikala hai aur tumhare ikhraaj (expulsion) mein ek dusre ki madad ki hai. Unse jo log dosti karein wahi zaalim hain
Surah Al-Mumtahana, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, jab momin auratein hijrat karke tumhare paas aayein to (unke momin honay ki) jaanch padtaal karlo. Aur unke iman ki haqeeqat Allah hi behtar janta hai. Phir jab tumhein maloom ho jaye ke woh momin hain to unhein kuffar ki taraf wapas na karo. Na woh kuffar ke liye halal hain aur na kuffar unke liye halal. Unke kafir shoharon ne jo mehar unko diye thay woh unhein pher do aur unsey nikah kar lene par tumse koi gunaah nahin jabke tum unke mehar unko ada kardo. Aur tum khud bhi kafir auraton ko apne nikah mein na roakey raho, jo mehar tumne apni kafir biwiyon ko diye thay woh tum wapas maang lo aur jo mehar kafiron ne apni musalmaan biwiyon ko diye thay unhein woh wapas maang lein. Yeh Allah ka hukum hai, woh tumhare darmiyaan faisla karta hai aur Allah Aleem-o-Hakeem (all knowing-most wise) hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 10
وَإِن فَاتَكُمۡ شَيۡءٞ مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ إِلَى ٱلۡكُفَّارِ فَعَاقَبۡتُمۡ فَـَٔاتُواْ ٱلَّذِينَ ذَهَبَتۡ أَزۡوَٰجُهُم مِّثۡلَ مَآ أَنفَقُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
Aur agar tumhari kafir biwiyon ke meharon mein se kuch tumhein kuffar se wapas na miley aur phir tumhari naubat aaye to jin logon ki biwiyan udhar reh gayi hain unko itni rakam ada kardo jo unke diye huey meharon ke barabar ho. Aur us khuda se darte raho jispar tum iman laye ho
Surah Al-Mumtahana, Verse 11
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلَىٰٓ أَن لَّا يُشۡرِكۡنَ بِٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِينَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ أَوۡلَٰدَهُنَّ وَلَا يَأۡتِينَ بِبُهۡتَٰنٖ يَفۡتَرِينَهُۥ بَيۡنَ أَيۡدِيهِنَّ وَأَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِينَكَ فِي مَعۡرُوفٖ فَبَايِعۡهُنَّ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aey Nabi, Jab tumhare paas momin auratein bayt (pledge) karne ke liye aayein aur is baat ka ahad karein ke woh Allah ke saath kisi cheez ko shareek na karengi, chori na karengi, zina na karengi, apni aulad ko qatal na karengi, apne haath paaon ke aage koi bohtan (calumny) ghad kar na layengi, Aur kisi amr-e-maaroof (anything known to be good) mein tumhari nafarmani na karengi, to unse bayt lelo aur unke haqq mein Allah se dua-e-magfirat karo. Yaqeenan Allah darguzar(maaf) farmane wala aur Reham karne wala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 12
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ قَدۡ يَئِسُواْ مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِ كَمَا يَئِسَ ٱلۡكُفَّارُ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡقُبُورِ
Aey logon jo iman laye ho, un logon ko dost na banao jinpar Allah ne gazab farmaya hai, Jo aakhirat se usi tarah mayous hain jis tarah kabaron mein padey huey kafir mayous hain
Surah Al-Mumtahana, Verse 13