Surah Al-Mumtahana - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمۡ أَوۡلِيَآءَ تُلۡقُونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَقَدۡ كَفَرُواْ بِمَا جَآءَكُم مِّنَ ٱلۡحَقِّ يُخۡرِجُونَ ٱلرَّسُولَ وَإِيَّاكُمۡ أَن تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ رَبِّكُمۡ إِن كُنتُمۡ خَرَجۡتُمۡ جِهَٰدٗا فِي سَبِيلِي وَٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِيۚ تُسِرُّونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَأَنَا۠ أَعۡلَمُ بِمَآ أَخۡفَيۡتُمۡ وَمَآ أَعۡلَنتُمۡۚ وَمَن يَفۡعَلۡهُ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Aey woh logo jo eman laye ho! Meray aur (khud) apney dushmanon ko apna dost na banao tum to dosti say unn ki taraf payghaam bhejtay ho aur woh iss haq kay sath jo tumharay pass aa chuka hai kufur kertay hain payghumbar ko aur khud tumhen bhi mehaz iss waja say jila watan kertay hain kay tum apney rab per eman rakhtay ho agar tum meri raah mein jihad kay liye aur meri raza mandi ki talab mein nikaltay ho ( to inn say dostiyan na kero) tum inn kay pass mohabbat ka paygham posheeda posheeda bhejtay ho aur mujhay khoob maloom hai jo tum ney chupaya aur woh bhi jo tum ney zahir kiya tum mein say jo bhi iss kaam ko keray ga woh yaqeenan raah-e-raast say behak jaye ga
Surah Al-Mumtahana, Verse 1
إِن يَثۡقَفُوكُمۡ يَكُونُواْ لَكُمۡ أَعۡدَآءٗ وَيَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ وَأَلۡسِنَتَهُم بِٱلسُّوٓءِ وَوَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ
Agar woh tum per kahin qaboo paa len to woh tumharay (khulay) dushman ho jayen aur buraee kay sath tum per dast darazi aur zaban darazi kerney lagen aur (dil say) chahaney lagen kay tum bhi kufur kerney lagg jao
Surah Al-Mumtahana, Verse 2
لَن تَنفَعَكُمۡ أَرۡحَامُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡۚ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَفۡصِلُ بَيۡنَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Tumhari qarabaten rishtay dariyan aur aulad tumhen qayamat kay din kaam na aayen gi Allah Taalaa tumharay darmiyan faisla ker dey ga aur jo kuch tum ker rahey ho ussay Allah khoob dekh raha hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 3
قَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَـٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
(musalmano!) tumharay liye hazrat ibrahim mein aur unn kay sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay unn sab ney apni qom say bar mala keh diya kay hum tum say aur jin jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho unn sab say bilkul bey zaar hain. Hum tumharay (aqaeed kay) munkir hain jab tak tum Allah ki wahadaniyat per eman na lao hum mein tum mein hamesha kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin ibrahim ki itni baat apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor keroon ga aur tumharay liye mujhay Allah kay samney kissi cheez ka ikhtiyar kuch bhi nahi. Aey humaray perwerdigar tujhi per hum ney bharosa kiya hai aur teri hi taraf rujoo kertay hain aur teri hi tarf lotna hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 4
رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ وَٱغۡفِرۡ لَنَا رَبَّنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aey humaray rab! Tu humen kafiron ki aazmaeesh mein na daal aur aey humaray paalney walay humari khataon ko bakhsh dey be-shak tu hi ghalib hikmat wala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 5
لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِيهِمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ لِّمَن كَانَ يَرۡجُواْ ٱللَّهَ وَٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَۚ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Yaqeenan tumharay liye inn mein acha namoona (aur umdah pairwi hai khaas ker) her uss shaks kay liye jo Allah ki aur qayamat kay din ki mulaqat ki umeed rakhta ho aur agar koi roo gardani keray to Allah Taalaa bilkul bey niaz hai aur saza waar hamd-o-sana hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 6
۞عَسَى ٱللَّهُ أَن يَجۡعَلَ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ عَادَيۡتُم مِّنۡهُم مَّوَدَّةٗۚ وَٱللَّهُ قَدِيرٞۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Kiya ajab hai kay un qarib hi Allah Taalaa tum mein aur tumharay dushmanon mein mohabbat peda ker dey. Allah ko sab qudraten hain aur Allah (bara) ghafoor raheem hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 7
لَّا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَلَمۡ يُخۡرِجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ أَن تَبَرُّوهُمۡ وَتُقۡسِطُوٓاْ إِلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Jin logon ney tum say deen kay baray mein laraee nahi lari aur tumhen jila watan nahi kiya unn kay sath salook-o-ehsan kerney aur munsifana bhalay bartao kerney say Allah Taalaa tumhen nahi rokta bulkay Allah Taalaa to insaf kerney walon say mohabbat kerta hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 8
إِنَّمَا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ قَٰتَلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَأَخۡرَجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ وَظَٰهَرُواْ عَلَىٰٓ إِخۡرَاجِكُمۡ أَن تَوَلَّوۡهُمۡۚ وَمَن يَتَوَلَّهُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Allah Taalaa tumhen sirf unn logon ki mohabbat say rokta hai jinhon ney tum say deen kay baray mein laraiyan laren aur tumhen des nikalay diye aur des nikala denay walon ki madad ki jo log aisay kuffaar say mohabbat keren woh (qata’an) zalim hain
Surah Al-Mumtahana, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aey eman walo! Jab tumharay pass momin aurten hijrat ker kay aayen to tum unn ka imtehan lo. Dar asal unn kay eman ko ba khoobi janney wala to Allah hi hai lekin agar woh tumhen eman waliyan maloom hon to abb tum enhen kafiron ki taraf wapis na kero yeh unn kay liye halal nahi na woh inn kay liye halal hain aur jo kharach inn kafiron ka hua ho woh unhen ada kerdo inn aurton ko unn kay mehar dey ker inn say nikkah ker lenay mein tum per koi gunah nahi aur kafir aurton ki namoos apney qabzay mein na rakho aur jo kuch tum ney kharach kiya ho maang lo aur jo kuch inn kafiron ney kharach kiya ho woh bhi maang len yeh Allah ka faisla hai jo tumharay darmiyan ker raha hai Allah Taalaa baray ilm (aur) hikmat wala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 10
وَإِن فَاتَكُمۡ شَيۡءٞ مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ إِلَى ٱلۡكُفَّارِ فَعَاقَبۡتُمۡ فَـَٔاتُواْ ٱلَّذِينَ ذَهَبَتۡ أَزۡوَٰجُهُم مِّثۡلَ مَآ أَنفَقُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
Aur agar tumhari koi biwi tumharay haath say nikal jaye aur kafiron kay pass chali jaye phir tumhen iss kay badlay ka waqt mill jaye to jin ki biwiyan chali gaeen hain unhen unn kay ikhrajaat kay barabar ada kerdo aur uss Allah Taalaa say dartay rahi jiss per tum eman rakhtay ho
Surah Al-Mumtahana, Verse 11
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلَىٰٓ أَن لَّا يُشۡرِكۡنَ بِٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِينَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ أَوۡلَٰدَهُنَّ وَلَا يَأۡتِينَ بِبُهۡتَٰنٖ يَفۡتَرِينَهُۥ بَيۡنَ أَيۡدِيهِنَّ وَأَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِينَكَ فِي مَعۡرُوفٖ فَبَايِعۡهُنَّ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aey payghumbar! Jab musalman aurten aap say inn baaton per bait kerney aayen kay woh Allah kay sath kissi ko shareek na keren gi chori na keren gi zina kaari na keren gi apni aulad ko naa maar dalen gi aur koi aisa bohtaan na bandhay gi jo khud apney haathon pairon kay sath gharr len aur kissi nek kaam mein teri bey hukmi na keren gi to aap inn say bait ker liya keren aur inn kay liye Allah say maghfirat talab keren be-shak Allah bakshney aur moaf kerney wala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 12
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ قَدۡ يَئِسُواْ مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِ كَمَا يَئِسَ ٱلۡكُفَّارُ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡقُبُورِ
Aey musalmano! Tum uss qom say dosti na rakho jin per Allah ka ghazab nazil ho chuka hai jo aakhirat say iss tarah mayyus ho chukay hain jaisay kay murda ehal-e-qabar say kafir na umeed hain
Surah Al-Mumtahana, Verse 13