Surah Al-Mumtahana Verse 10 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Mumtahanaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aey eman walo! Jab tumharay pass momin aurten hijrat ker kay aayen to tum unn ka imtehan lo. Dar asal unn kay eman ko ba khoobi janney wala to Allah hi hai lekin agar woh tumhen eman waliyan maloom hon to abb tum enhen kafiron ki taraf wapis na kero yeh unn kay liye halal nahi na woh inn kay liye halal hain aur jo kharach inn kafiron ka hua ho woh unhen ada kerdo inn aurton ko unn kay mehar dey ker inn say nikkah ker lenay mein tum per koi gunah nahi aur kafir aurton ki namoos apney qabzay mein na rakho aur jo kuch tum ney kharach kiya ho maang lo aur jo kuch inn kafiron ney kharach kiya ho woh bhi maang len yeh Allah ka faisla hai jo tumharay darmiyan ker raha hai Allah Taalaa baray ilm (aur) hikmat wala hai