Surah Al-Mumtahana Verse 10 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Mumtahanaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
aye imaan waalo jab tumhaare paas momin aurte hijrath kar ke aaye to tum un ka imtehaan lo, dar asl un ke imaan ko ba qoobi jaanne waala to Allah hee hai, lekin agar wo tumhe imaan waaliya maloom ho, to ab tum unhe kaafiro ki taraf waapas na karo, ye un ke liye halaal nahi aur na wo un ke liye halaal hai aur jo qarch un kaafiro ka hoa ho, wo unhe adaa kardo, un aurto ko un ke meher de kar un se nikaah kar lene mein tum par koyi gunaah nahi, aur kaafir aurto ki naamoos1 apne qabze mein na rakho aur jo kuch tum ne qarch kiya ho, maang lo aur jo kuch un kaafiro ne qarch kiya ho wo bhi maang le, ye Allah ka faisla hai, jo tumhaare darmiyaan kar raha hai, Allah ta’ala bade ilm aur (hikmath waala hai)