Surah Al-Mumtahana - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمۡ أَوۡلِيَآءَ تُلۡقُونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَقَدۡ كَفَرُواْ بِمَا جَآءَكُم مِّنَ ٱلۡحَقِّ يُخۡرِجُونَ ٱلرَّسُولَ وَإِيَّاكُمۡ أَن تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ رَبِّكُمۡ إِن كُنتُمۡ خَرَجۡتُمۡ جِهَٰدٗا فِي سَبِيلِي وَٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِيۚ تُسِرُّونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَأَنَا۠ أَعۡلَمُ بِمَآ أَخۡفَيۡتُمۡ وَمَآ أَعۡلَنتُمۡۚ وَمَن يَفۡعَلۡهُ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
aye wo logo jo imaan laaye ho, mere aur (khud) apne dushmano ko apna dosth na banaao, tum to dosti se un ki taraf paighaam bhejte ho aur wo us haq ke saath jo tumhaare paas aa chuka hai kufr karte hai, paighambar ko aur khud tumhe bhi mehez is wajeh jila watan karte hai, ke tum apne rab par imaan rakhte ho, agar tum meri raah mein jihaad ke liye aur meri raza mandhi ki talab mein nikalte ho (to un se dostiyaa na karo) tum un ke paas muhabbath ka paighaam poshida poshida bhejte ho aur mujhe qoob maloom hai jo tum ne chupaaya aur wo bhi jo tum ne zaaher kiye, tum mein se jo bhi us kaam ko karega wo yaqinan raah raasth se behek jayega
Surah Al-Mumtahana, Verse 1
إِن يَثۡقَفُوكُمۡ يَكُونُواْ لَكُمۡ أَعۡدَآءٗ وَيَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ وَأَلۡسِنَتَهُم بِٱلسُّوٓءِ وَوَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ
agar wo tum par kahi qaabo paa le to wo tumhaare (khule) dushman ho jaaye aur buraayi ke saath tum par dasth daraazi aur zabaan daraazi karne lage aur (dil se) chaahne lage ke tum bhi kufr karne lag jaao
Surah Al-Mumtahana, Verse 2
لَن تَنفَعَكُمۡ أَرۡحَامُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡۚ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَفۡصِلُ بَيۡنَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
tumhaari qaraabate rishtedaariya aur aulaad tumhe qayaamath ke din kaam na ayengi, Allah ta’ala tumhaare darmiyaan faysla kar dega aur jo kuch tum kar rahe ho, ose Allah qoob dekh raha hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 3
قَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَـٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
(musalmaano) tumhaare liye hazrath Ibraheem(alaihissalaam) mein aur un ke saathiyo mein behetreen namona hai, jab ke un sab ne apni khaum se barmala keh diya ke hum tum se aur jin jin ki tum Allah ke siva ibaadath karte ho, un sab se bilkul bezaar hai, hum tumhaare (aqaayedh ke) munkir hai, jab tak tum Allah ki wahdaaniyath par imaan na laao, hum mein tum mein hamesha ke liye baghz wa adaawath zaaher ho gayi, lekin Ibraheem(alaihissalaam) ki itni baath to apne baap se hoyi thi, ke main tumhaare liye isteghfaar zaroor karonga, aur tumhaare liye mujhe Allah ke saamne kisi cheez ka eqtiyaar kuch bhi nahi, aye hamaare parvardigaar, tujh hee par hum ne bharosa kiya hai aur teri hee taraf rujo karte hai aur teri hee taraf lautna hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 4
رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ وَٱغۡفِرۡ لَنَا رَبَّنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
aye hamaare rab! tu hamein kaafiro ki azmaayesh mein na daal aur aye hamaare paalne waale, hamaari qataao ko baqsh de, beshak tu hee ghaalib hikmath waala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 5
لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِيهِمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ لِّمَن كَانَ يَرۡجُواْ ٱللَّهَ وَٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَۚ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
yaqinan tumhaare liye un mein accha namona (aur umdah pairvi hai, qaas kar) har us shaqs ke liye jo Allah ki aur qayaamath ke din ki mulaqaath ki ummidh rakhta ho aur agar koyi ru-gardaani kare, to Allah ta’ala bilkul be niyaaz hai aur saza waar hamdh wa sana hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 6
۞عَسَى ٱللَّهُ أَن يَجۡعَلَ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ عَادَيۡتُم مِّنۡهُم مَّوَدَّةٗۚ وَٱللَّهُ قَدِيرٞۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
kya ajab ke an-qareeb hee Allah ta’ala tum mein aur tumhaare dushmano mein muhabbath payda karde, Allah ko sab khudrate hai aur Allah (bada) ghafoor wa raheem hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 7
لَّا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَلَمۡ يُخۡرِجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ أَن تَبَرُّوهُمۡ وَتُقۡسِطُوٓاْ إِلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
jin logo ne tum se deen ke baare mein ladaayi nahi ladi aur tumhe jila watan nahi kiya, un ke saath sulook wa ehsaan karne aur munsifaana bhale bartaao karne se, Allah ta’ala tumhe nahi rokta, balke Allah ta’ala to insaaf karne waalo se muhabbath karta hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 8
إِنَّمَا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ قَٰتَلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَأَخۡرَجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ وَظَٰهَرُواْ عَلَىٰٓ إِخۡرَاجِكُمۡ أَن تَوَلَّوۡهُمۡۚ وَمَن يَتَوَلَّهُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Allah ta’ala tumhe sirf un logo ki muhabbath se rokta hai, jinhone tum se deen ke baare mein ladaiya ladi aur tumhe desh nikaale diye aur desh nikaal dene waalo ki madad ki, jo log aise kuffaar se muhabbath kare, wo (qat’an) zaalim hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
aye imaan waalo jab tumhaare paas momin aurte hijrath kar ke aaye to tum un ka imtehaan lo, dar asl un ke imaan ko ba qoobi jaanne waala to Allah hee hai, lekin agar wo tumhe imaan waaliya maloom ho, to ab tum unhe kaafiro ki taraf waapas na karo, ye un ke liye halaal nahi aur na wo un ke liye halaal hai aur jo qarch un kaafiro ka hoa ho, wo unhe adaa kardo, un aurto ko un ke meher de kar un se nikaah kar lene mein tum par koyi gunaah nahi, aur kaafir aurto ki naamoos1 apne qabze mein na rakho aur jo kuch tum ne qarch kiya ho, maang lo aur jo kuch un kaafiro ne qarch kiya ho wo bhi maang le, ye Allah ka faisla hai, jo tumhaare darmiyaan kar raha hai, Allah ta’ala bade ilm aur (hikmath waala hai)
Surah Al-Mumtahana, Verse 10
وَإِن فَاتَكُمۡ شَيۡءٞ مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ إِلَى ٱلۡكُفَّارِ فَعَاقَبۡتُمۡ فَـَٔاتُواْ ٱلَّذِينَ ذَهَبَتۡ أَزۡوَٰجُهُم مِّثۡلَ مَآ أَنفَقُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
aur agar tumhaari koyi biwi tumhaare haath se nikal jaaye aur kaafiro ke paas chali jaaye, phir tumhe us ke badhle ka waqth mil jaaye, to jin ki biwiya chali gayi hai, unhe un ke aqrajaath ke baraabar ada kardo aur us Allah ta’ala se darte raho jis par tum imaan rakhte ho
Surah Al-Mumtahana, Verse 11
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلَىٰٓ أَن لَّا يُشۡرِكۡنَ بِٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِينَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ أَوۡلَٰدَهُنَّ وَلَا يَأۡتِينَ بِبُهۡتَٰنٖ يَفۡتَرِينَهُۥ بَيۡنَ أَيۡدِيهِنَّ وَأَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِينَكَ فِي مَعۡرُوفٖ فَبَايِعۡهُنَّ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
aye paighambar jab musalmaan aurte aap se un baatho par baith karne aaye, ke wo Allah ke saath kisi ko shareek na karegi, chori na karengi, zina kaari na karengi, apni aulaad ko na maar dalengi aur koyi aisa buhtaan na baandhengi jo khud apne haatho pairo ke saamne ghad le aur kisi nek kaam mein teri be hukmi na karengi, to aap un se baith kar liya kare aur un ke liye Allah se maghfirath talab kare, beshak Allah ta’ala baqshne aur maaf karne waala hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 12
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ قَدۡ يَئِسُواْ مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِ كَمَا يَئِسَ ٱلۡكُفَّارُ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡقُبُورِ
aye musalmaano! tum us khaum se dosti na rakho jin par Allah ka ghazab naazil ho chuka hai, jo aaqirath se is tarah mayoos ho chuke hai, jaise ke murda ahle qabar se kaafir na ummidh hai
Surah Al-Mumtahana, Verse 13