Surah As-Saff - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
zameen wa asmaan ki har har cheez Allah ta’ala ki paaki bayaan karti hai aur wahi ghaalib hikmath waala hai
Surah As-Saff, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
aye imaan waalo! tum wo baath kyo kehte ho, jo karte nahi
Surah As-Saff, Verse 2
كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
tum jo karte nahi us ka kehna Allah ta’ala ko saqth na pasandh hai
Surah As-Saff, Verse 3
إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِهِۦ صَفّٗا كَأَنَّهُم بُنۡيَٰنٞ مَّرۡصُوصٞ
beshak Allah ta’ala un logo se muhabbath karta hai jo us ki raah mein saf bastha jihaad karte hai, goya wo seesa pilaayi hoyi imaarath hai
Surah As-Saff, Verse 4
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ لِمَ تُؤۡذُونَنِي وَقَد تَّعۡلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡۖ فَلَمَّا زَاغُوٓاْ أَزَاغَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُمۡۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
aur (yaad karo) jab ke Mosa(alaihissalaam) ne apni khaum se kaha aye meri khaum ke logo! tum mujhe kyo sata rahe ho, halaan ke tumhe (ba-qoobi) maalom hai ke main tumhaari jaanib Allah ka rasool hoon, pas jab wo log tede hee rahe, to Allah ne unke dilo ko (aur) tedha kar diya aur Allah ta’ala na farmaan khaum ko hidaayath nahi deta
Surah As-Saff, Verse 5
وَإِذۡ قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُم مُّصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَمُبَشِّرَۢا بِرَسُولٖ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِي ٱسۡمُهُۥٓ أَحۡمَدُۖ فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
aur jab Maryam ke bete Isa(alaihissalaam) ne kaha, aye (meri khaum) bani israel! main tum sab ki taraf Allah ka rasool hoon, mujh se pehle ki kitaab tauraath ki main tazdeek karne waala hoon aur apne baadh aane waale ek rasool ki main tumhe khush qabri sunaane waala hoon jin ka naam Ahmad hai, phir jab wo un ke paas khuli dalile laaye to ye kehne lage, ye to khula jaadu hai
Surah As-Saff, Verse 6
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُوَ يُدۡعَىٰٓ إِلَى ٱلۡإِسۡلَٰمِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
us shaqs se zyaada zaalim aur kaun hoga, jo Allah par jhoot (iftera) baandhe, halaan ke wo Islaam ki taraf bulaya jaata hai, aur Allah aise zaalimo ko hidaayath nahi karta
Surah As-Saff, Verse 7
يُرِيدُونَ لِيُطۡفِـُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَٱللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
wo chaahte hai ke Allah ke noor ko apne mu se bhujaade aur Allah apne noor ko kamaal tak pahonchaane waala hai, go kaafir bura maane
Surah As-Saff, Verse 8
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ
wahi hai jis ne apne rasool ko hidaayath aur saccha deen de kar bheja, ta ke ose aur tamaam mazaahib par ghaalib karde, agar che mushrikeen na khush ho
Surah As-Saff, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ تِجَٰرَةٖ تُنجِيكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
aye imaan waalo! kya main tumhe wo tijaarath bath la do, jo tumhe dardnaak azaab se bacha le
Surah As-Saff, Verse 10
تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Allah ta’ala par us ke rasulo par imaan laao aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaanu se jihaad karo, ye tumhaare liye behtar hai, agar tum mein ilm ho
Surah As-Saff, Verse 11
يَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡ وَيُدۡخِلۡكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّـٰتِ عَدۡنٖۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah ta’ala tumhaare gunaah maaf farma dega aur tumhe un jannato mein pahonchayega jin ke niche nehre jaari hongi aur saaf suthre gharo mein jo jannath adn mein honge, ye bahuth badi kamyaabi hai
Surah As-Saff, Verse 12
وَأُخۡرَىٰ تُحِبُّونَهَاۖ نَصۡرٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَتۡحٞ قَرِيبٞۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
aur tumhe ek dosri (nemath) bhi dega, jise tum chaahte ho, wo Allah ki madad aur jald fateh yaabi hai, imaan waalo ko khush qabri de do
Surah As-Saff, Verse 13
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُوٓاْ أَنصَارَ ٱللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ لِلۡحَوَارِيِّـۧنَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِۖ فَـَٔامَنَت طَّآئِفَةٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَكَفَرَت طَّآئِفَةٞۖ فَأَيَّدۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَىٰ عَدُوِّهِمۡ فَأَصۡبَحُواْ ظَٰهِرِينَ
aye imaan waalo! tum Allah ta’ala ke madadgaar ban jaao, jis tarah hazrath Maryam ke bete hazrath Isa(alaihissalaam) ne hawariyo se farmaya ke kaun hai jo Allah ki raah mein mera madadgaar bane? hawariyo ne kaha hum Allah ki raah mein madad gaar hai, pas bani israel mein se ek jamaath to imaan laayi aur ek jamaath ne kufr kiya, to hum ne momino ki un ke dushmano ke muqaable mein madad ki, pas wo ghaalib aa gaye
Surah As-Saff, Verse 14