Surah As-Saff - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo aasmano aur zameen mein hai, Aur woh ghalib (Mighty) aur Hakeem (wise) hai
Surah As-Saff, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
Aey logon jo iman laye ho, tum kyun woh baat kehte ho jo karte nahin ho
Surah As-Saff, Verse 2
كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
Allah ke nazdeek yeh sakht na pasandeeda harakat hai ke tum kaho woh baat jo karte nahin
Surah As-Saff, Verse 3
إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِهِۦ صَفّٗا كَأَنَّهُم بُنۡيَٰنٞ مَّرۡصُوصٞ
Allah ko to pasand woh log hain jo uski raah mein is tarah saff-basta(row) hokar ladte hain goya ke woh ek sisa pilayi hui deewar hain
Surah As-Saff, Verse 4
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ لِمَ تُؤۡذُونَنِي وَقَد تَّعۡلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡۖ فَلَمَّا زَاغُوٓاْ أَزَاغَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُمۡۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Aur yaad karo Moosa ki woh baat jo usne apni qaum se kahi thi “Aey meri qaum ke logon, tum kyun mujhey aziyat (torment /harm) dete ho halaanke tum khoob jaante ho ke main tumhari taraf Allah ka bheja hua Rasool hoon? Phir jab unhon ne tedh ikhtiyar ki (deviated) to Allah ne unke dil tedhey (deviant) kardiye, Allah faasiqon ko hidayat nahin deta
Surah As-Saff, Verse 5
وَإِذۡ قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُم مُّصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَمُبَشِّرَۢا بِرَسُولٖ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِي ٱسۡمُهُۥٓ أَحۡمَدُۖ فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Aur yaad karo Isa ibn-e-Maryam ki woh baat jo usne kahi thi ke “Aey bani Israel, main tumhari taraf Allah ka bheja hua Rasool hoon, Tasdeeq (verify/confirm) karne wala hoon us Taurat ki jo mujhse pehle aayi hui maujood hai, aur basharat (khushkhabri) dene wala hoon ek rasool ki jo mere baad aayega jiska naam Ahmed hoga. Magar jab woh unke paas khuli khuli nishaniyan lekar aaya to unhon ne kaha yeh to sareeh dhoka hai
Surah As-Saff, Verse 6
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُوَ يُدۡعَىٰٓ إِلَى ٱلۡإِسۡلَٰمِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Ab bhala us shaks se bada zaalim aur kaun hoga jo Allah par jhutey bohtan bandhey halaanke usey Islam (Allah ke aagey sar-e-itaat jhuka deney) ki dawat di ja rahi ho? Aisey zaalimon ko Allah hidayat nahin diya karta
Surah As-Saff, Verse 7
يُرِيدُونَ لِيُطۡفِـُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَٱللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Yeh log apni mooh ki phoonkon (blows) se Allah ke noor ko bujhana chahte hain, Aur Allah ka faisla yeh hai ke wo apne noor ko poora phayla kar rahega khwa kaafiron ko yeh kitna hi nagawar ho
Surah As-Saff, Verse 8
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ
Wahi to hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen-e-haqq ke saath bheja hai taa-ke usey poorey ke poorey deen par ghalib karde khwa mushrikeen ko yeh kitna hi nagawar ho
Surah As-Saff, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ تِجَٰرَةٖ تُنجِيكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Aey logon jo iman laye ho, main bataoon tumko wo tijarat jo tumhein azaab-e-aleem se bacha de
Surah As-Saff, Verse 10
تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Iman lao Allah aur uske Rasool par, Aur jihad karo Allah ki raah mein apne maalon se aur apni jaano se, yahi tumhare liye behtar hai agar tum jaano
Surah As-Saff, Verse 11
يَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡ وَيُدۡخِلۡكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّـٰتِ عَدۡنٖۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah tumhare gunaah maaf kardega, aur tumko aisey baaghon mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi, aur abadi (eternal) qayaam ki jannaton mein behtareen ghar tumhein ata farmaeyga. Yeh hai badi kamiyabi
Surah As-Saff, Verse 12
وَأُخۡرَىٰ تُحِبُّونَهَاۖ نَصۡرٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَتۡحٞ قَرِيبٞۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur woh dusri cheez jo tum chahte ho woh bhi tumhein dega, Allah ki taraf se nusrat (victory) aur kareeb hi mein hasil ho janey wali fatah. Aey Nabi ehle iman ko iski basharat de do
Surah As-Saff, Verse 13
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُوٓاْ أَنصَارَ ٱللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ لِلۡحَوَارِيِّـۧنَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِۖ فَـَٔامَنَت طَّآئِفَةٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَكَفَرَت طَّآئِفَةٞۖ فَأَيَّدۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَىٰ عَدُوِّهِمۡ فَأَصۡبَحُواْ ظَٰهِرِينَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah ke madadgaar bano , jis tarah Isa ibn-e-Maryam ne hawariyon (disciples) ko khitaab karke kaha tha “Kaun hai Allah ki taraf (bulane) mein mera madadgaar”. Aur hawariyon (disciples) ne jawab diya tha : “hum hai Allah ke madadgaar”. Us waqt bani Israel ka ek giroh iman laya aur dusre giroh ne inkar kiya. Phir humne iman laney walon ki unke dushmano ke muqable mein taeed ki (aided) aur wahi ghalib hokar rahey
Surah As-Saff, Verse 14