Surah Al-Jumua - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡمَلِكِ ٱلۡقُدُّوسِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Allah ki tasbeeh kar rahi hai har woh cheez jo aasmano mein hai aur har wo cheez jo zameen mein hai, baadshah hai,Quddus(holy) hai,Zabardast aur Hakeem(wise) hai
Surah Al-Jumua, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِي بَعَثَ فِي ٱلۡأُمِّيِّـۧنَ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُزَكِّيهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلُ لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Wahi hai jisne ummiyon (gentiles/unlettered) ke andar ek Rasool khud unhi mein se uthaya, jo unhein uski ayaat sunata hai, unki zindagi sanwarta hai,aur unko kitaab aur hikmat ki taleem deta hai, halaanke issey pehle woh khuli gumraahi me padey huey thay
Surah Al-Jumua, Verse 2
وَءَاخَرِينَ مِنۡهُمۡ لَمَّا يَلۡحَقُواْ بِهِمۡۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aur (is Rasool ki beasat) un dusre logon ke liye bhi hai jo abhi unse nahi miley hain
Surah Al-Jumua, Verse 3
ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
Allah Zabardast aur Hakeem hai yeh uska fazal hai jisey chahta hai deta ha. Aur woh bada fazal farmane wala hai
Surah Al-Jumua, Verse 4
مَثَلُ ٱلَّذِينَ حُمِّلُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ ثُمَّ لَمۡ يَحۡمِلُوهَا كَمَثَلِ ٱلۡحِمَارِ يَحۡمِلُ أَسۡفَارَۢاۚ بِئۡسَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Jin logon ko Taurat ka hamil (charge) banaya gaya tha magar unhon ne uska baar na uthaya, unki misaal us gadhey(donkey) ki si hai jispar kitaabein laadi hui hon. Issey bhi zyada buri misaal hai un logon ki jinhon ne Allah ki ayaat ko jhutla diya hai. Aisey zaalimon ko Allah hidayat nahi diya karta
Surah Al-Jumua, Verse 5
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ هَادُوٓاْ إِن زَعَمۡتُمۡ أَنَّكُمۡ أَوۡلِيَآءُ لِلَّهِ مِن دُونِ ٱلنَّاسِ فَتَمَنَّوُاْ ٱلۡمَوۡتَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Insey kaho, “aey logo jo yahudi ban gaye ho, agar tumhein yeh ghamand (arrogance) hai ke baqi sab logon ko chodh kar bas tum hi Allah ke chahite (favourites) ho to maut ki tamanna karo agar tum apne is zaam (claim) mein sachche ho
Surah Al-Jumua, Verse 6
وَلَا يَتَمَنَّوۡنَهُۥٓ أَبَدَۢا بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
lekin yeh hargiz iski tamanna na karenge apne kartooton ki wajah se jo ye kar chuke hain. Aur Allah in zalimon ko khoob jaanta hai
Surah Al-Jumua, Verse 7
قُلۡ إِنَّ ٱلۡمَوۡتَ ٱلَّذِي تَفِرُّونَ مِنۡهُ فَإِنَّهُۥ مُلَٰقِيكُمۡۖ ثُمَّ تُرَدُّونَ إِلَىٰ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Insey kaho , “jis maut se tum bhaagte ho wo to tumhein aakar rahegi. Phir tum uske saamne pesh kiye jaogey jo poshida (hidden) aur zaahir ka jaanne wala hai. Aur woh tumhein bata dega ke tum kya kuch karte rahey ho
Surah Al-Jumua, Verse 8
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَوٰةِ مِن يَوۡمِ ٱلۡجُمُعَةِ فَٱسۡعَوۡاْ إِلَىٰ ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَذَرُواْ ٱلۡبَيۡعَۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aey logon jo iman laye ho, jab pukara jaye namaz ke liye jumaa ke din to Allah ke zikr ki taraf daudo aur khareed-o-farokht chodh do. Yeh tumhare liye zyada bethar hai agar tum jaano
Surah Al-Jumua, Verse 9
فَإِذَا قُضِيَتِ ٱلصَّلَوٰةُ فَٱنتَشِرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا لَّعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Phir jab namaz poori ho jaye to zameen mein phayl jao aur Allah ka fazl talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karte raho, shayad ke tumhein falaah (kamiyabi/prosperity) naseeb ho jaye
Surah Al-Jumua, Verse 10
وَإِذَا رَأَوۡاْ تِجَٰرَةً أَوۡ لَهۡوًا ٱنفَضُّوٓاْ إِلَيۡهَا وَتَرَكُوكَ قَآئِمٗاۚ قُلۡ مَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ مِّنَ ٱللَّهۡوِ وَمِنَ ٱلتِّجَٰرَةِۚ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Aur jab unhon ne tijarat (business) aur khel tamasha hote dekha to uski taraf lapak gaye aur tumhein khada chodh diya. Insey kaho, jo kuch Allah ke paas hai wo khel tamashey aur tijarat se behtar hai aur Allah sabse behtar rizq (sustenance) dene wala hai
Surah Al-Jumua, Verse 11