Surah Al-Munafiqoon - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ قَالُواْ نَشۡهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِنَّكَ لَرَسُولُهُۥ وَٱللَّهُ يَشۡهَدُ إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَكَٰذِبُونَ
Aey Nabi, jab yeh munafiq (hypocrites) tumhare paas aate hain to kehte hain “hum gawahi dete hain ke aap yaqeenan Allah ke Rasool hain, “haan, Allah janta hai ke tum zaroor uske Rasool ho, magar Allah gawahi deta hai ke yeh munafiq qataii jhootey hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 1
ٱتَّخَذُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ جُنَّةٗ فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Inhon ne apni kasamo ko dhaal bana rakkha hai aur is tarah yeh Allah ke raste se khud rukte aur duniya ko roakte hain. Kaisi buri harkatein hain jo yeh log kar rahey hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 2
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ فَطُبِعَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَفۡقَهُونَ
Yeh sab kuch is wajah se hai ke in logon ne Imaan la kar phir kufr kiya is liye inke dilon par mohar laga di gayi, ab yeh kuch nahin samajhte
Surah Al-Munafiqoon, Verse 3
۞وَإِذَا رَأَيۡتَهُمۡ تُعۡجِبُكَ أَجۡسَامُهُمۡۖ وَإِن يَقُولُواْ تَسۡمَعۡ لِقَوۡلِهِمۡۖ كَأَنَّهُمۡ خُشُبٞ مُّسَنَّدَةٞۖ يَحۡسَبُونَ كُلَّ صَيۡحَةٍ عَلَيۡهِمۡۚ هُمُ ٱلۡعَدُوُّ فَٱحۡذَرۡهُمۡۚ قَٰتَلَهُمُ ٱللَّهُۖ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Inhein dekho to inke jussey(jism/bodies) tumhein badey shaandaar nazar aayein bolein to tum inki batein sunte reh jao, magar asal mein yeh goya lakhdi ke kunde hain(beams of timber) jo deewar ke saath chun kar rakh diye gaye hon. Har zoar ki aawaz ko yeh apne khilaf samajhte hain. Yeh pakke dushman hain insey bachh kar raho. Allah ki maar inpar yeh kidhar ultey phiraye ja rahe hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 4
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ يَسۡتَغۡفِرۡ لَكُمۡ رَسُولُ ٱللَّهِ لَوَّوۡاْ رُءُوسَهُمۡ وَرَأَيۡتَهُمۡ يَصُدُّونَ وَهُم مُّسۡتَكۡبِرُونَ
Aur jab inse kaha jata hai ke aao taa-ke Allah ka Rasool tumhare liye magfirat ki dua karey, To sar jhatakte hain aur tum dekhte ho ke woh bade ghamand ke saath aane se rukte hai
Surah Al-Munafiqoon, Verse 5
سَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ أَسۡتَغۡفَرۡتَ لَهُمۡ أَمۡ لَمۡ تَسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ لَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Aey Nabi, tum chahe inke liye magfirat ki dua karo ya na karo, inke liye yaksan hai , Allah hargiz inhein maaf nahin karega. Allah faasik logon(transgressing folk) ko hargiz hidayat nahin deta
Surah Al-Munafiqoon, Verse 6
هُمُ ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ لَا تُنفِقُواْ عَلَىٰ مَنۡ عِندَ رَسُولِ ٱللَّهِ حَتَّىٰ يَنفَضُّواْۗ وَلِلَّهِ خَزَآئِنُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَٰكِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَا يَفۡقَهُونَ
Yeh wahi log hain jo kehte hain ke Rasool ke saathiyon par kharch karna bandh kardo taa-ke yeh muntashir ho jayein. Halaanke zameen aur aasmaano ke khazano ka maalik Allah hi hai, magar yeh munafik samajhte nahin hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 7
يَقُولُونَ لَئِن رَّجَعۡنَآ إِلَى ٱلۡمَدِينَةِ لَيُخۡرِجَنَّ ٱلۡأَعَزُّ مِنۡهَا ٱلۡأَذَلَّۚ وَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِۦ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَلَٰكِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh kehte hain ke hum medina wapas pahunch jayein to jo izzat wala hai woh zaleel ko wahan se nikal bahar karega. Halaanke izzat to Allah aur uske Rasool aur momineen ke liye hai, magar yeh munafiq jante nahin hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 8
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُلۡهِكُمۡ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Aey logon jo imaan laye ho , tumhare maal aur tumhari auladein tumko Allah ki yaad se gaafil na kardein. Jo log aisa karein wahi khasare (nuqsan /loss) mein rehne waley hain
Surah Al-Munafiqoon, Verse 9
وَأَنفِقُواْ مِن مَّا رَزَقۡنَٰكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ فَيَقُولَ رَبِّ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنِيٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖ فَأَصَّدَّقَ وَأَكُن مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Jo rizq humne tumhein diya hai usmein se kharch karo qabl iske ke tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jaye aur us waqt woh kahey "Aey mere Rubb, kyun na tu nay mujhey thodi si mahulat aur de di ke main sadaqa deta aur saleh logon mein shamil ho jata”
Surah Al-Munafiqoon, Verse 10
وَلَن يُؤَخِّرَ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِذَا جَآءَ أَجَلُهَاۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Halanke jab kisi ki mahulat-e-amal puri hone ka waqt aa jata hai to Allah us ko hargiz mazeed mahulat nahin deta, aur jo kuch tum karte ho, Allah usse bakhabar hai
Surah Al-Munafiqoon, Verse 11