Surah At-Taghabun - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ لَهُ ٱلۡمُلۡكُ وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Allah ki tasbeeh kar rahi hai har woh cheez jo aasmano mein hai aur har woh cheez jo zameen mein hai usi ki baadshahi hai aur usi ke liye tareef hai aur woh har cheez par qadir hai
Surah At-Taghabun, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ فَمِنكُمۡ كَافِرٞ وَمِنكُم مُّؤۡمِنٞۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Wahi hai jisne tumko paida kiya, phir tum mein se koi kafir hai aur koi momin. Aur Allah woh sab kuch dekh raha hai jo tum karte ho
Surah At-Taghabun, Verse 2
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّ وَصَوَّرَكُمۡ فَأَحۡسَنَ صُوَرَكُمۡۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Usne zameen aur aasmano ko barhaqq paida kiya hai, aur tumhari surat banayi aur badi umdah (excellent) banayi hai, aur usi ki taraf aakhir-e-kaar tumhein palatna hai
Surah At-Taghabun, Verse 3
يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَيَعۡلَمُ مَا تُسِرُّونَ وَمَا تُعۡلِنُونَۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Zameen aur aasmano ki har cheez ka usey ilm hai jo kuch tum chupatey ho aur jo kuch tum zaahir karte ho sab us ko maloom hai. Aur woh dilon ka haal tak jaanta hai
Surah At-Taghabun, Verse 4
أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَبَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَبۡلُ فَذَاقُواْ وَبَالَ أَمۡرِهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
kya tumhein un logon ki koi khabar nahi pahunchi jinhon ne issey pehle kufar kiya aur phir apni shamat-e-aamaal (evil consequence) ka maza chakkh liya? aur aagey unke liye ek dardnaak azaab hai
Surah At-Taghabun, Verse 5
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُۥ كَانَت تَّأۡتِيهِمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالُوٓاْ أَبَشَرٞ يَهۡدُونَنَا فَكَفَرُواْ وَتَوَلَّواْۖ وَّٱسۡتَغۡنَى ٱللَّهُۚ وَٱللَّهُ غَنِيٌّ حَمِيدٞ
Is anjaam ke mustahiq woh is liye huey ke unke paas unke Rasool khuli khuli daleelein (clear signs) aur nishaniyan lekar aate rahey, magar unhon ne kaha" kya Insan humein hadayat deinge ?" Is tarah unhon ne maanne se inkaar kardiya aur mooh pheir liya. Tab Allah bhi unsey be-parwa ho gaya aur Allah to hai hi be niyaz aur apni zaat mein aap Mahmood (Praiseworthy)
Surah At-Taghabun, Verse 6
زَعَمَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَن لَّن يُبۡعَثُواْۚ قُلۡ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتُبۡعَثُنَّ ثُمَّ لَتُنَبَّؤُنَّ بِمَا عَمِلۡتُمۡۚ وَذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Munkireen ne badey dawey se kaha hai ke woh marne ke baad hargiz dobara na uthaye jayenge. Insey kaho" nahin, mere Rubb ki kasam tum zaroor uthaye jaogey, phir zaroor tumhein bataya jayega ke tumne (duniya mein) kya kuch kiya hai aur aisa karna Allah ke liye bahut aasaan hai
Surah At-Taghabun, Verse 7
فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلنُّورِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلۡنَاۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Pas iman lao Allah par, aur uske Rasool par, aur us roshni par jo humne nazil ki hai. Jo kuch tum karte ho Allah usse bakhabar hai
Surah At-Taghabun, Verse 8
يَوۡمَ يَجۡمَعُكُمۡ لِيَوۡمِ ٱلۡجَمۡعِۖ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلتَّغَابُنِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
(Iska pata tumhein us roz chal jayega ) jab ijtima (will assemble you )ke din woh tum sabko ikattha karega. Woh din hoga ek dusre ke muqable mein logon ki haar jeet ka. Jo Allah par iman laya hai aur neik amal karta hai, Allah uske gunah jhaad dega aur usey aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Yeh log hamesha hamesha inmein rahenge. Yahi badi kamiyabi hai
Surah At-Taghabun, Verse 9
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Aur jin logon ne kufr kiya hai aur hamari aayaat ko jhutlaya hai woh dozakh ke bashindey(inmates ) honge, jismein woh hamesha rahenge. Aur woh badhtareen thikana hai
Surah At-Taghabun, Verse 10
مَآ أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ يَهۡدِ قَلۡبَهُۥۚ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Koi museebat kabhi nahi aati magar Allah ke izan(Allah’s leave) hi se aati hai. Jo shakhs Allah par iman rakhta ho Allah uske dil ko hidayat bakshta hai. Aur Allah ko har cheez ka ilm hai
Surah At-Taghabun, Verse 11
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَإِنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo lekin agar tum itaat se mooh moadtey ho to hamarey Rasool par saaf saaf haqq pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai
Surah At-Taghabun, Verse 12
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Allah woh hai jiske siwa koi khuda nahin, lihaza iman laney walon ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye
Surah At-Taghabun, Verse 13
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ مِنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ وَأَوۡلَٰدِكُمۡ عَدُوّٗا لَّكُمۡ فَٱحۡذَرُوهُمۡۚ وَإِن تَعۡفُواْ وَتَصۡفَحُواْ وَتَغۡفِرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Aey logon jo iman laye ho, tumhari biwiyon aur tumhari aulad mein se baaz tumhare dushman hain, Inse hoshiyar raho. Aur agar tum Affu-o-darguzar(forgive and overlook) se kaam lo aur maaf kardo to Allah gafoor-o-Raheem hai
Surah At-Taghabun, Verse 14
إِنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞۚ وَٱللَّهُ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
Tumhare maal aur tumhari aulad to ek aazmaish hai, aur Allah hi hai jiske paas bada ajar hai
Surah At-Taghabun, Verse 15
فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ مَا ٱسۡتَطَعۡتُمۡ وَٱسۡمَعُواْ وَأَطِيعُواْ وَأَنفِقُواْ خَيۡرٗا لِّأَنفُسِكُمۡۗ وَمَن يُوقَ شُحَّ نَفۡسِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
lihaza jahan tak tumhare bas mein ho Allah se darte raho, aur suno aur itaat karo, aur apne maal kharch karo, yeh tumhare hi liye behtar hai. Jo apne dil ki tanggi se mehfooz reh gaye bas wahi falaah paney waley hain
Surah At-Taghabun, Verse 16
إِن تُقۡرِضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا يُضَٰعِفۡهُ لَكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ شَكُورٌ حَلِيمٌ
Agar tum Allah ko qarz-e-hasan do to woh tumhein kai guna (several fold) badha kar dega aur tumhare kasooron se dar guzar farmayega. Allah bada qadardaan aur burdbar (Most Forbearing) hai
Surah At-Taghabun, Verse 17
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Haazir aur gayab har cheez ko jaanta hai, zabardast (mighty) aur daana(Most Wise) hai
Surah At-Taghabun, Verse 18