Surah At-Taghabun - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ لَهُ ٱلۡمُلۡكُ وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai
Surah At-Taghabun, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ فَمِنكُمۡ كَافِرٞ وَمِنكُم مُّؤۡمِنٞۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Ussi ney tumhen peda kiya hai so tum mein say baazay to kafir hain aur baaz eman walay hain aur jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob dekh raha hai
Surah At-Taghabun, Verse 2
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّ وَصَوَّرَكُمۡ فَأَحۡسَنَ صُوَرَكُمۡۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Ussi ney aasmanon ko aur zamin ko adal-o-himat say peda kiya ussi ney tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur ussi ki taraf lotna hai
Surah At-Taghabun, Verse 3
يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَيَعۡلَمُ مَا تُسِرُّونَ وَمَا تُعۡلِنُونَۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Woh aasman-o-zamin ki her her cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupao aur jo zahir kero woh (sab ko) janta hai. Allah to seenon ki baaton tak ko jannay wala hai
Surah At-Taghabun, Verse 4
أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَبَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَبۡلُ فَذَاقُواْ وَبَالَ أَمۡرِهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Kiya tumharay pass iss say pehlay kay kafiron ki khabar nahi phonchi? Jinhon ney apney aemaal ka wabaal chakh liya aur jin kay liye dard naak azab hai
Surah At-Taghabun, Verse 5
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُۥ كَانَت تَّأۡتِيهِمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالُوٓاْ أَبَشَرٞ يَهۡدُونَنَا فَكَفَرُواْ وَتَوَلَّواْۖ وَّٱسۡتَغۡنَى ٱللَّهُۚ وَٱللَّهُ غَنِيٌّ حَمِيدٞ
Yeh iss liey kay unn kay pass unn kay rasool wazeh dalaeel ley ker aaye to unhon ney keh diya kay kiya insan humari rehnumaee keray ga? Pus inkar ker diya aur mun pher liya aur Allah ney bhi bey niazi ki aur Allah to hi boht bey niaz sab khoobiyon wala
Surah At-Taghabun, Verse 6
زَعَمَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَن لَّن يُبۡعَثُواْۚ قُلۡ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتُبۡعَثُنَّ ثُمَّ لَتُنَبَّؤُنَّ بِمَا عَمِلۡتُمۡۚ وَذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Inn kafiron ney khayal kiya hai kay doobara zinda na kiye jayen gay aap key dijiye kay kiyon nahi Allah ki qasam! Tum zaroor doobara uthaye jao gay phir jo tum ney kiya hai uss ki khabar diye jaogay aur Allah per yeh bilkul aasan hai
Surah At-Taghabun, Verse 7
فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلنُّورِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلۡنَاۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
So tum Allah per aur uss kay rasool per aur uss noor per jissay hum ney nazil farmaya hai eman laao aur Allah Taalaa tumharay her amal per ba-khabar hai
Surah At-Taghabun, Verse 8
يَوۡمَ يَجۡمَعُكُمۡ لِيَوۡمِ ٱلۡجَمۡعِۖ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلتَّغَابُنِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Jiss din tum sab ko uss jama honey kay din jama keray ga wohi din hai haar jeet ka aur jo shaks Allah per eman laa ker nek amal keray Allah uss say uss ki buraiyan door ker dey ga aur ussay jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay. Yehi boht bari kaamyabi hai
Surah At-Taghabun, Verse 9
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya wohi (sab) jahannumi hain (jo) jahannum mein hamesha rahen gay woh boht bura thikana hai
Surah At-Taghabun, Verse 10
مَآ أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ يَهۡدِ قَلۡبَهُۥۚ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Koi museebat Allah ki ijazat kay baghair nahi phonch sakti jo Allah per eman laye Allah uss kay dil ko hidayat deta hai aur Allah her cheez ko khoob jannay wala hai
Surah At-Taghabun, Verse 11
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَإِنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
(logo) Allah ka kehna mano aur rasool ka kehna mano. Pus agar tum aeyraaz kero to humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai
Surah At-Taghabun, Verse 12
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Allah kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi aur mominon ko Allah hi per tawakkal rakhna chahaiye
Surah At-Taghabun, Verse 13
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ مِنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ وَأَوۡلَٰدِكُمۡ عَدُوّٗا لَّكُمۡ فَٱحۡذَرُوهُمۡۚ وَإِن تَعۡفُواْ وَتَصۡفَحُواْ وَتَغۡفِرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Aey eman walo! Tumhari baaz biwiyan aur baaz bachay tumharay dushman hain pus inn say hoshiyaar rehna aur agar tum moaf kerdo aur dar-guzar ker jao aur bakhsh do to Allah Taalaa baskshney wala meharban hai
Surah At-Taghabun, Verse 14
إِنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞۚ وَٱللَّهُ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
Tumharay maal aur aulad to sirasir tumahri aazmaeesh hain aur boht bara ajar Allah kay pass hai
Surah At-Taghabun, Verse 15
فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ مَا ٱسۡتَطَعۡتُمۡ وَٱسۡمَعُواْ وَأَطِيعُواْ وَأَنفِقُواْ خَيۡرٗا لِّأَنفُسِكُمۡۗ وَمَن يُوقَ شُحَّ نَفۡسِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Pus jahan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein kheyraat kertay raho jo tumhara liye behtar hai aur jo shaks apney nafs ki hirss say mehfooz rakha jaye wohi kaamyab hai
Surah At-Taghabun, Verse 16
إِن تُقۡرِضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا يُضَٰعِفۡهُ لَكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ شَكُورٌ حَلِيمٌ
Agar tum Allah ko acha qarz do gay (yani uss ki raah mein kharach kero gay) to woh ussay tumharay liye barhata jaye ga aur tumharay gunah bhi moaf farma dey ga Allah bara qadar daan bara burd baar hai
Surah At-Taghabun, Verse 17
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Woh posheeda aur zahir ka jannay wala hai zabardast hikmat wala (hai)
Surah At-Taghabun, Verse 18