Surah At-Talaq - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَطَلِّقُوهُنَّ لِعِدَّتِهِنَّ وَأَحۡصُواْ ٱلۡعِدَّةَۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ رَبَّكُمۡۖ لَا تُخۡرِجُوهُنَّ مِنۢ بُيُوتِهِنَّ وَلَا يَخۡرُجۡنَ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَقَدۡ ظَلَمَ نَفۡسَهُۥۚ لَا تَدۡرِي لَعَلَّ ٱللَّهَ يُحۡدِثُ بَعۡدَ ذَٰلِكَ أَمۡرٗا
Aey nabi! (apni ummat say kaho kay) jab tum apni biwiyon ko tallaq dena chahao to unn ki iddat (kay dino kay aaghaaz) mein unhen tallaq do aur iddat ka hisab rakho aur Allah say jo tumhara perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say nikalo aur na woh (khud) niklen haan yeh aur baat hai kay woh khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah Taalaa koi naee baat peda ker dey
Surah At-Talaq, Verse 1
فَإِذَا بَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمۡسِكُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ فَارِقُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٖ وَأَشۡهِدُواْ ذَوَيۡ عَدۡلٖ مِّنكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَ لِلَّهِۚ ذَٰلِكُمۡ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مَخۡرَجٗا
Pus jab yen aurten apni iddat poori kerney kay qarib phonch jayen to unhen ya to qaeeday kay mutabiq apney nikkah mein rehney do ya dastoor kay mutabiq enhen alag kerdo aur aapas mein do aadil shakson ko gawah kerlo aur Allah ki raza mandi kay liye theek theek gawahi do. Yehi hai woh jiss ki naseehat ussay ki jati hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhta ho aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai
Surah At-Talaq, Verse 2
وَيَرۡزُقۡهُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَحۡتَسِبُۚ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَهُوَ حَسۡبُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَٰلِغُ أَمۡرِهِۦۚ قَدۡ جَعَلَ ٱللَّهُ لِكُلِّ شَيۡءٖ قَدۡرٗا
Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza muqarrar ker rakha hai
Surah At-Talaq, Verse 3
وَٱلَّـٰٓـِٔي يَئِسۡنَ مِنَ ٱلۡمَحِيضِ مِن نِّسَآئِكُمۡ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَٰثَةُ أَشۡهُرٖ وَٱلَّـٰٓـِٔي لَمۡ يَحِضۡنَۚ وَأُوْلَٰتُ ٱلۡأَحۡمَالِ أَجَلُهُنَّ أَن يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مِنۡ أَمۡرِهِۦ يُسۡرٗا
Tumhari aurton mein say jo aurten hez say na umeed ho gaee hon agar tumhen shuba ho to unn ki muddat teen maheeney hai aur unn ki bhi jinhen hez aana shuroo hi na hua ho aur hamila aurton ki iddat unn kay waza-e-hamal hai aur jo shaks Allah Taalaa say daray ga Allah uss kay (her) kaam mein aasani ker dey ga
Surah At-Talaq, Verse 4
ذَٰلِكَ أَمۡرُ ٱللَّهِ أَنزَلَهُۥٓ إِلَيۡكُمۡۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُعۡظِمۡ لَهُۥٓ أَجۡرًا
Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga
Surah At-Talaq, Verse 5
أَسۡكِنُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ سَكَنتُم مِّن وُجۡدِكُمۡ وَلَا تُضَآرُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُواْ عَلَيۡهِنَّۚ وَإِن كُنَّ أُوْلَٰتِ حَمۡلٖ فَأَنفِقُواْ عَلَيۡهِنَّ حَتَّىٰ يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ فَإِنۡ أَرۡضَعۡنَ لَكُمۡ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ وَأۡتَمِرُواْ بَيۡنَكُم بِمَعۡرُوفٖۖ وَإِن تَعَاسَرۡتُمۡ فَسَتُرۡضِعُ لَهُۥٓ أُخۡرَىٰ
Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (tallaq wali) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi
Surah At-Talaq, Verse 6
لِيُنفِقۡ ذُو سَعَةٖ مِّن سَعَتِهِۦۖ وَمَن قُدِرَ عَلَيۡهِ رِزۡقُهُۥ فَلۡيُنفِقۡ مِمَّآ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُۚ لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا مَآ ءَاتَىٰهَاۚ سَيَجۡعَلُ ٱللَّهُ بَعۡدَ عُسۡرٖ يُسۡرٗا
Kushadgi walay ko apni kushadgi say kharach kerna chahaiye aur jiss per uss kay rizq ki tangi ki gaee ho ussay chahaiye kay jo kuch Allah ney ussay dey rakha hai ussi mein say (apni hasb-e-heysiyat) dey kissi shaks ko Allah takleef nahi deta magar utni hi jitni taqat ussay dey rakhi hai Allah tangi kay baad aasani aur faraghat bhi ker dey ga
Surah At-Talaq, Verse 7
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ عَتَتۡ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهَا وَرُسُلِهِۦ فَحَاسَبۡنَٰهَا حِسَابٗا شَدِيدٗا وَعَذَّبۡنَٰهَا عَذَابٗا نُّكۡرٗا
Aur boht si basti walon ney apney rab kay hukum say aur uss kay rasoolon say sir taabi ki aur hum ney bhi unn say sakht hisab kiya aur unhen azab diya unn dekha (sakht) azab
Surah At-Talaq, Verse 8
فَذَاقَتۡ وَبَالَ أَمۡرِهَا وَكَانَ عَٰقِبَةُ أَمۡرِهَا خُسۡرًا
Pus unhon ney apney kartoot ka maza chakh liya aur anjam kaar unn ka khasara hi hua
Surah At-Talaq, Verse 9
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ قَدۡ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكُمۡ ذِكۡرٗا
Unn kay liye Allah Taalaa ney sakht azab tayyar ker rakha hai pus Allah say daro aey aqal mand eman walo. Yaqeenan Allah ney tumhari taraf naseehar utaar di hai
Surah At-Talaq, Verse 10
رَّسُولٗا يَتۡلُواْ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ مُبَيِّنَٰتٖ لِّيُخۡرِجَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ قَدۡ أَحۡسَنَ ٱللَّهُ لَهُۥ رِزۡقًا
(yani) rasool jo tumhen Allah kay saaf saaf ehkaam parh ker sunata hai takay unn logon ko jo eman layen aur nek amal keren woh tareekiyon say roshni ki taraf ley aaye aur jo shaks Allah per eman laye aur nek amal keray Allah ussay aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay neechay nehren jari hain jin mein yeh hamesha hamesha rahen gay. Be-shak Allah ney ussay behtareen rozi dey rakhi hai
Surah At-Talaq, Verse 11
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ وَمِنَ ٱلۡأَرۡضِ مِثۡلَهُنَّۖ يَتَنَزَّلُ ٱلۡأَمۡرُ بَيۡنَهُنَّ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ قَدۡ أَحَاطَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عِلۡمَۢا
Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha hai
Surah At-Talaq, Verse 12