Surah At-Talaq - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَطَلِّقُوهُنَّ لِعِدَّتِهِنَّ وَأَحۡصُواْ ٱلۡعِدَّةَۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ رَبَّكُمۡۖ لَا تُخۡرِجُوهُنَّ مِنۢ بُيُوتِهِنَّ وَلَا يَخۡرُجۡنَ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَقَدۡ ظَلَمَ نَفۡسَهُۥۚ لَا تَدۡرِي لَعَلَّ ٱللَّهَ يُحۡدِثُ بَعۡدَ ذَٰلِكَ أَمۡرٗا
Aey Nabi, jab tumlog auraton ko talaq do to unhein unki iddat (waiting-period) ke liye talaq diya karo aur iddat ke zamane ka theek theek shumar karo, aur Allah se daro jo tumhara Rubb hai (zamana-e-iddat mein) na tum unhein unke gharon se nikalo aur na woh khud nikle, illa yeh ke woh kisi sareeh burayi ki murtakib ho(manifestly evil deed). Yeh Allah ki muqarrar karda hadein hain, aur jo koi Allah ki hadon (bounds/limits) se tajauz karega woh apne upar khud zulm karega. Tum nahin jaante shayad iske baad Allah (muwafikat/reconciliation ki) koi surat paida karde
Surah At-Talaq, Verse 1
فَإِذَا بَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمۡسِكُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ فَارِقُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٖ وَأَشۡهِدُواْ ذَوَيۡ عَدۡلٖ مِّنكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَ لِلَّهِۚ ذَٰلِكُمۡ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مَخۡرَجٗا
Phir jab woh apni (iddat ki) muddat ke khaatmay par pahunchey to ya unhein bhale tarike se (apne nikah mein ) rok rakkho , ya bhale tarike par unse juda ho jao, aur do aisey aadmiyon ko gawah bana lo jo tum mein se sahib-e-adal hon, aur (aey gawah banne walon)gawahi theek theek Allah ke liye ada karo. Yeh baatein hain jinki tum logon ko nasihat ki jati hai, har us shaks ko jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho. Jo koi Allah se darte huey kaam karega Allah uske liye mushkilat se nikalne ka koi rasta paida kardega
Surah At-Talaq, Verse 2
وَيَرۡزُقۡهُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَحۡتَسِبُۚ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَهُوَ حَسۡبُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَٰلِغُ أَمۡرِهِۦۚ قَدۡ جَعَلَ ٱللَّهُ لِكُلِّ شَيۡءٖ قَدۡرٗا
Aur usey aise raaste se rizq dega jidhar uska guman(imagination) bhi na jata ho. Jo Allah par bharosa karey uske liye woh kafi hai. Allah apna kaam pura karke rehta hai, Allah ne har cheez ke liye ek taqdeer muqarrar kar rakkhi hai
Surah At-Talaq, Verse 3
وَٱلَّـٰٓـِٔي يَئِسۡنَ مِنَ ٱلۡمَحِيضِ مِن نِّسَآئِكُمۡ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَٰثَةُ أَشۡهُرٖ وَٱلَّـٰٓـِٔي لَمۡ يَحِضۡنَۚ وَأُوْلَٰتُ ٱلۡأَحۡمَالِ أَجَلُهُنَّ أَن يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مِنۡ أَمۡرِهِۦ يُسۡرٗا
Aur tumhari auraton mein se jo haiz(menstruation) se mayous ho chuki hon unke maamle mein agar tum logon ko koi shak lahik hai to ( tumhe maloom ho ke ) unki iddat teen mahiney hai aur yahi hukum unka hai jinhein abhi haiz na aaya ho.Aur haamila(pregnant) aurton ki iddat ki hadd yeh hai ke unka waze hamal(delivery) ho jaye. Jo shakhs Allah se darey uske maamle mein woh sahulat paida kar deta hai
Surah At-Talaq, Verse 4
ذَٰلِكَ أَمۡرُ ٱللَّهِ أَنزَلَهُۥٓ إِلَيۡكُمۡۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُعۡظِمۡ لَهُۥٓ أَجۡرًا
Yeh Allah ka hukum hai jo usne tumhari taraf nazil kiya hai. Jo Allah se darega Allah uski buraiyon ko ussey door kardega aur usko bada ajar dega
Surah At-Talaq, Verse 5
أَسۡكِنُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ سَكَنتُم مِّن وُجۡدِكُمۡ وَلَا تُضَآرُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُواْ عَلَيۡهِنَّۚ وَإِن كُنَّ أُوْلَٰتِ حَمۡلٖ فَأَنفِقُواْ عَلَيۡهِنَّ حَتَّىٰ يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ فَإِنۡ أَرۡضَعۡنَ لَكُمۡ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ وَأۡتَمِرُواْ بَيۡنَكُم بِمَعۡرُوفٖۖ وَإِن تَعَاسَرۡتُمۡ فَسَتُرۡضِعُ لَهُۥٓ أُخۡرَىٰ
Unko ( zamana-e-iddat mein ) usi jagah rakkho jahan tum rehtey ho, jaisi kuch bhi jagah tumhe muyassar ho, aur unhein tangg karne ke liye unko na satao. Aur agar woh haamila hon to unpar us waqt tak kharch karte raho jab tak unka waze hamal(delivered their burden) na ho jaye. Phir agar woh tumhare liye ( bachhey ko ) doodh pilayein to unki ujrat(recompense) unhein do, aur bhaley tareeqe se ( ujrat ka maamla) bahami guft-o-shaneed se tai karlo. Lekin agar tumne ( ujrat tai karne mein) ek dusrey ko tangg kiya to bachhey ko koi aur aurat doodh pila legi
Surah At-Talaq, Verse 6
لِيُنفِقۡ ذُو سَعَةٖ مِّن سَعَتِهِۦۖ وَمَن قُدِرَ عَلَيۡهِ رِزۡقُهُۥ فَلۡيُنفِقۡ مِمَّآ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُۚ لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا مَآ ءَاتَىٰهَاۚ سَيَجۡعَلُ ٱللَّهُ بَعۡدَ عُسۡرٖ يُسۡرٗا
Khushaal aadmi apni khushaali ke mutabiq nafqa de, aur jisko rizq kam diya gaya ho woh usi maal mein se kharch karey jo Allah ne usey diya hai. Allah ne jisko jitna kuch diya hai ussey ziyada ka woh usey mukallaf(burden) nahi karta. Baeed(door) nahin ke Allah tangdasti ke baad farakh dasti bhi ataa farmade
Surah At-Talaq, Verse 7
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ عَتَتۡ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهَا وَرُسُلِهِۦ فَحَاسَبۡنَٰهَا حِسَابٗا شَدِيدٗا وَعَذَّبۡنَٰهَا عَذَابٗا نُّكۡرٗا
Kitni hi bastiyan hain jinhon ne apne Rubb aur uske Rasoolon ke hukum se sartabi (rebel) ki to humne unsey sakht muhasiba kiya aur unko buri tarhaan saza di
Surah At-Talaq, Verse 8
فَذَاقَتۡ وَبَالَ أَمۡرِهَا وَكَانَ عَٰقِبَةُ أَمۡرِهَا خُسۡرًا
Unhon ne apne kiya ka maza chakkh liya aur unka anjaam-e-kaar ghaata hi ghaata(utter loss) hai
Surah At-Talaq, Verse 9
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ قَدۡ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكُمۡ ذِكۡرٗا
Allah ne ( aakhirat mein ) unke liye sakht azaab muhaiyya kar rakha hai. Pas Allah se daro aey sahib-e-aqal logon jo imaan laaye ho. Allah ne tumhari taraf ek naseehat nazil kardi hai
Surah At-Talaq, Verse 10
رَّسُولٗا يَتۡلُواْ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ مُبَيِّنَٰتٖ لِّيُخۡرِجَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ قَدۡ أَحۡسَنَ ٱللَّهُ لَهُۥ رِزۡقًا
Ek aisa rasool jo tumko Allah ki saaf saaf hadaayat deney wali aayaat sunataa hai taa-ke imaan laane walon aur neik amal karne walon ko tarikiyon (darkness) se nikaal kar roshni mein le aaye. Jo koi Allah par imaan laaye aur neik amal karey Allah usey aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Yeh log inmein hamesha hamesha rahenge. Allah ne aisey shakhs ke liye behtareen rizq rakkha hai
Surah At-Talaq, Verse 11
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ وَمِنَ ٱلۡأَرۡضِ مِثۡلَهُنَّۖ يَتَنَزَّلُ ٱلۡأَمۡرُ بَيۡنَهُنَّ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ قَدۡ أَحَاطَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عِلۡمَۢا
Allah woh hai jisne saat(seven) aasman banaye aur zameen ki qisam se bhi unhi ke manind (like them). Unke darmiyan hukum nazil hota rehta hai. (yeh baat tumhein isliye batayi jaa rahi hai ) taakey tum jaan lo ke Allah har cheez par qudrat rakhta hai, aur yeh ke Allah ka ilm har cheez par muheet (encompassing) hai
Surah At-Talaq, Verse 12