Surah At-Talaq - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَطَلِّقُوهُنَّ لِعِدَّتِهِنَّ وَأَحۡصُواْ ٱلۡعِدَّةَۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ رَبَّكُمۡۖ لَا تُخۡرِجُوهُنَّ مِنۢ بُيُوتِهِنَّ وَلَا يَخۡرُجۡنَ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَقَدۡ ظَلَمَ نَفۡسَهُۥۚ لَا تَدۡرِي لَعَلَّ ٱللَّهَ يُحۡدِثُ بَعۡدَ ذَٰلِكَ أَمۡرٗا
aye Nabi!(sallallahu alaihi wasallam) (apni ummath se kaho ke) jab tum apni biwiyo ko talaaq dena chaaho to un ki iddath (ke dino ke aghaaz) mein unhe talaaq do aur iddath ka hisaab rakho aur Allah se jo tumhaara parvardigaar hai darte raho, na tum unhe un ke gharo se nikaalo aur na wo (khud) nikle, haan ye aur baath hai ke wo khuli buraayi kar baithe, ye Allah ki muqarrar karda hadein hai, jo shaqs Allah ki hado se aage bad jaaye, us ne yaqinan apne upar zulm kiya, tum nahi jaante shaayad us ke baadh Allah ta’ala koyi nayi baath payda karde
Surah At-Talaq, Verse 1
فَإِذَا بَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمۡسِكُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ فَارِقُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٖ وَأَشۡهِدُواْ ذَوَيۡ عَدۡلٖ مِّنكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَ لِلَّهِۚ ذَٰلِكُمۡ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مَخۡرَجٗا
pas jab ye aurte apni iddath puri karne ke qareeb pahonch jaaye, to unhe ya to qayede ke mutaabiq apne nikaah mein rehne do ya dastoor ke mutaabiq unhe alag kardo aur aapas mein se do aadil shaqso ko gawaah karlo aur Allah ki raza mandhi ke liye theek theek gawaahi do, yahi hai wo jis ki nasihath ose ki jaati hai jo Allah par aur qayaamath ke din par imaan rakhta ho aur jo shaqs Allah se darta hai Allah us ke liye chutkaare ki shakal nikaal deta hai
Surah At-Talaq, Verse 2
وَيَرۡزُقۡهُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَحۡتَسِبُۚ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَهُوَ حَسۡبُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَٰلِغُ أَمۡرِهِۦۚ قَدۡ جَعَلَ ٱللَّهُ لِكُلِّ شَيۡءٖ قَدۡرٗا
aur ose aisi jageh se rozi deta hai jis ka ose gumaan bhi na ho aur jo shaqs Allah par tawakkal karega, Allah ose kaafi hoga, Allah ta’ala apna kaam pura kar ke hee rahega, Allah ta’ala ne har cheez ka ek andaaza muqarrar kar rakha hai
Surah At-Talaq, Verse 3
وَٱلَّـٰٓـِٔي يَئِسۡنَ مِنَ ٱلۡمَحِيضِ مِن نِّسَآئِكُمۡ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَٰثَةُ أَشۡهُرٖ وَٱلَّـٰٓـِٔي لَمۡ يَحِضۡنَۚ وَأُوْلَٰتُ ٱلۡأَحۡمَالِ أَجَلُهُنَّ أَن يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّهُۥ مِنۡ أَمۡرِهِۦ يُسۡرٗا
tumhaari aurto mein se jo aurte haiz se na ummidh ho gayi ho, agar tumhe shuba ho to un ki iddath teen mahine hai, aur un ki bhi jinhe haiz ana shuro hee na hoa ho aur haamela aurto ki iddath un ke waze hamal hai aur jo shaqs Allah ta’ala se darega, Allah us ke har kaam mein asaani kar dega
Surah At-Talaq, Verse 4
ذَٰلِكَ أَمۡرُ ٱللَّهِ أَنزَلَهُۥٓ إِلَيۡكُمۡۚ وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُعۡظِمۡ لَهُۥٓ أَجۡرًا
ye Allah ka hukm hai jo us ne tumhaari taraf utaara hai aur jo shaqs Allah se darega, Allah us ke gunaah mita dega aur ose bada bhaari ajr dega
Surah At-Talaq, Verse 5
أَسۡكِنُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ سَكَنتُم مِّن وُجۡدِكُمۡ وَلَا تُضَآرُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُواْ عَلَيۡهِنَّۚ وَإِن كُنَّ أُوْلَٰتِ حَمۡلٖ فَأَنفِقُواْ عَلَيۡهِنَّ حَتَّىٰ يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ فَإِنۡ أَرۡضَعۡنَ لَكُمۡ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ وَأۡتَمِرُواْ بَيۡنَكُم بِمَعۡرُوفٖۖ وَإِن تَعَاسَرۡتُمۡ فَسَتُرۡضِعُ لَهُۥٓ أُخۡرَىٰ
tum apni taaqath ke mutaabiq jahaa tum rehte ho, wahaa un (talaaq waali) aurto ko rakho aur unhe tang karne ke liye takleef na pahonchaao aur agar wo hamal se ho, to jab tak baccha payda ho le unhe qarch dete raha karo, phir agar tumhaare kehne se wahi doodh pilaaye to, tum unhe un ki ujrath de do aur baaham munaasib taur par mashwera kar liya karo aur agar tum aapas mein kash ma kash karo to, us ke kehne se koyi aur doodh pilaayegi
Surah At-Talaq, Verse 6
لِيُنفِقۡ ذُو سَعَةٖ مِّن سَعَتِهِۦۖ وَمَن قُدِرَ عَلَيۡهِ رِزۡقُهُۥ فَلۡيُنفِقۡ مِمَّآ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُۚ لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا مَآ ءَاتَىٰهَاۚ سَيَجۡعَلُ ٱللَّهُ بَعۡدَ عُسۡرٖ يُسۡرٗا
kushaadgi waale ko apni kushaadgi se qarch karna chahiye aur jis par us ke rizq ki tangi ki gayi ho, ose chahiye ke jo kuch Allah ta’ala ne ose de rakha hai, osi mein se (apni hazbe haysiyath) de, kisi shaqs ko Allah takleef nahi deta, magar utni hee jitni taaqath ose de rakhi hai, Allah tangi ke baadh asaani wa faraaghath bhi kar dega
Surah At-Talaq, Verse 7
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ عَتَتۡ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهَا وَرُسُلِهِۦ فَحَاسَبۡنَٰهَا حِسَابٗا شَدِيدٗا وَعَذَّبۡنَٰهَا عَذَابٗا نُّكۡرٗا
aur bahuth si basti waalo ne apne rab ke hukm se aur us ke rasulo se sartaabi ki, to hum ne bhi un se saqth hisaab kiya aur unhe azaab diya, an-dekha (saqth) azaab
Surah At-Talaq, Verse 8
فَذَاقَتۡ وَبَالَ أَمۡرِهَا وَكَانَ عَٰقِبَةُ أَمۡرِهَا خُسۡرًا
pas unhone apne kartooth ka maza chak liya aur anjaame kaar un ka qasaara hee hoa
Surah At-Talaq, Verse 9
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ قَدۡ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكُمۡ ذِكۡرٗا
un ke liye Allah ta’ala ne saqth azaab tayyaar kar rakha hai, pas Allah se daro, aye aqal mandh imaan waalo! yaqinan Allah ne tumhaari taraf nasihath utaar di hai
Surah At-Talaq, Verse 10
رَّسُولٗا يَتۡلُواْ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ مُبَيِّنَٰتٖ لِّيُخۡرِجَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ قَدۡ أَحۡسَنَ ٱللَّهُ لَهُۥ رِزۡقًا
(yani) rasool jo tumhe Allah ke saaf saaf ehkaam pad sunaata hai, ta ke un logo ko jo imaan laaye aur nek amal kare wo taarikiyo se roushini ki taraf le aaye aur jo shaqs Allah par imaan laaye aur nek amal kare, Allah ose aisi jannato mein daakhil karega, jis ke niche nehre jaari hai, jin mein ye hamesha hamesha rahenge, beshak Allah ne ose behetreen rozi de rakhi hai
Surah At-Talaq, Verse 11
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ وَمِنَ ٱلۡأَرۡضِ مِثۡلَهُنَّۖ يَتَنَزَّلُ ٱلۡأَمۡرُ بَيۡنَهُنَّ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ قَدۡ أَحَاطَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عِلۡمَۢا
Allah wo hai jis ne saath asmaan banaaye aur osi ke misl zamine bhi, us ka hukm un ke darmiyaan utarta hai, ta ke tum jaan lo ke Allah har cheez par qaadir hai aur Allah ta’ala ne har cheez ko ba-etebaar ilm gher rakha hai
Surah At-Talaq, Verse 12