Surah At-Tahrim - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ لِمَ تُحَرِّمُ مَآ أَحَلَّ ٱللَّهُ لَكَۖ تَبۡتَغِي مَرۡضَاتَ أَزۡوَٰجِكَۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
aye Nabi! (sallallahu alaihi wasallam) jis cheez ko Allah ne aap ke liye halaal kar diya hai, ose aap kyo haraam karte hai? (kya) aap apni biwiyo ki razaa mandhi haasil karna chahte hai aur Allah baqshne waala rahem karne waala hai
Surah At-Tahrim, Verse 1
قَدۡ فَرَضَ ٱللَّهُ لَكُمۡ تَحِلَّةَ أَيۡمَٰنِكُمۡۚ وَٱللَّهُ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَهُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ
tahqeeq ke Allah ta’ala ne tumhaare liye qasmo ko khol daalna muqarrar kar diya hai aur Allah tumhaara kaar-saaz hai aur wahi (pure) ilm waala, hikmath waala hai
Surah At-Tahrim, Verse 2
وَإِذۡ أَسَرَّ ٱلنَّبِيُّ إِلَىٰ بَعۡضِ أَزۡوَٰجِهِۦ حَدِيثٗا فَلَمَّا نَبَّأَتۡ بِهِۦ وَأَظۡهَرَهُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ عَرَّفَ بَعۡضَهُۥ وَأَعۡرَضَ عَنۢ بَعۡضٖۖ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِۦ قَالَتۡ مَنۡ أَنۢبَأَكَ هَٰذَاۖ قَالَ نَبَّأَنِيَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
aur yaad karo jab nabi ne apni baaz aurto se ek poshida baath kahi, pas jab us ne us baath ki qabar kardi aur Allah ne apne nabi ko us par agaah kar diya, to nabi ne thodi si baath to bataadi aur thodi si taal gaye, phir jab nabi ne apni us biwi ko ye baath bataayi to, wo kehne lagi, is ki qabar aap ko kis ne di, kaha sab jaanne waale, puri qabar rakhne waale Allah ne mujhe ye bathlaaya hai
Surah At-Tahrim, Verse 3
إِن تَتُوبَآ إِلَى ٱللَّهِ فَقَدۡ صَغَتۡ قُلُوبُكُمَاۖ وَإِن تَظَٰهَرَا عَلَيۡهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ مَوۡلَىٰهُ وَجِبۡرِيلُ وَصَٰلِحُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَعۡدَ ذَٰلِكَ ظَهِيرٌ
aye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) ki duno biwiyo!) agar tum duno Allah ke saamne tauba karlo (to bahuth behtar hai) yaqinan tumhaare dil jhuk pade hai aur agar tum nabi ke qilaaf ek dosre ki madad karogi, pas yaqinan us ka kaar-saaz Allah hai aur Jibraeel hai aur nek ahle imaan aur in ke alaawa farishte bhi madad karne waale hai
Surah At-Tahrim, Verse 4
عَسَىٰ رَبُّهُۥٓ إِن طَلَّقَكُنَّ أَن يُبۡدِلَهُۥٓ أَزۡوَٰجًا خَيۡرٗا مِّنكُنَّ مُسۡلِمَٰتٖ مُّؤۡمِنَٰتٖ قَٰنِتَٰتٖ تَـٰٓئِبَٰتٍ عَٰبِدَٰتٖ سَـٰٓئِحَٰتٖ ثَيِّبَٰتٖ وَأَبۡكَارٗا
agar wo (paighambar) tumhe talaaq de de to bahuth jald unhe un ka rab! tumhaare badhle tum se behtar biwiyaa inaayath farmaayega, jo Islam waaliya imaan waaliya, Allah ke huzoor jhukne waaliya, tauba karne waaliya, ibaadath baja laane waaliya, roze rakhne waaliya hongi, bewa aur kuwaariya
Surah At-Tahrim, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ وَأَهۡلِيكُمۡ نَارٗا وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلۡحِجَارَةُ عَلَيۡهَا مَلَـٰٓئِكَةٌ غِلَاظٞ شِدَادٞ لَّا يَعۡصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمۡ وَيَفۡعَلُونَ مَا يُؤۡمَرُونَ
aye imaan waalo! tum apne aap ko aur apne ghar waalo ko us aag se bachaao jis ka indhan insaan hai aur patthar jis par saqth dil mazbooth farishte muqarrar hai, jinhe jo hukm Allah ta’ala deta hai, us ki na farmaani nahi karte, balke jo hukm diya jaaye baja laate hai
Surah At-Tahrim, Verse 6
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَعۡتَذِرُواْ ٱلۡيَوۡمَۖ إِنَّمَا تُجۡزَوۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
aye kaafiro! aaj tum uzr wa bahaana math karo, tumhe sirf tumhaare kartooth ka badhla diya ja raha hai
Surah At-Tahrim, Verse 7
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ تُوبُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ تَوۡبَةٗ نَّصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيُدۡخِلَكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ يَوۡمَ لَا يُخۡزِي ٱللَّهُ ٱلنَّبِيَّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥۖ نُورُهُمۡ يَسۡعَىٰ بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَبِأَيۡمَٰنِهِمۡ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَتۡمِمۡ لَنَا نُورَنَا وَٱغۡفِرۡ لَنَآۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
aye imaan waalo! tum Allah ke saamne sacchi qaalis tauba karo, qareeb hai ke tumhaara rab tumhaare gunaah door karde aur tumhe aisi jannato mein daakhil kare jin ke niche nehre jaaari hai, jis din Allah ta’ala Nabi ko aur imaan daaro ko jo un ke saath hai ruswa na karega, un ka noor un ke saamne aur un ke daaye daud raha hoga, ye duaye karte honge, aye hamaare rab hamein kaamil noor ata farma aur hamein baqsh de, yaqinan tu har cheez par qaadir hai
Surah At-Tahrim, Verse 8
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ جَٰهِدِ ٱلۡكُفَّارَ وَٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱغۡلُظۡ عَلَيۡهِمۡۚ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
aye Nabi!(sallallahu alaihi wasallam) kaafiro aur munaafiqo se jihaad karo aur un par saqti karo, un ka thikaana jahannam hai aur wo bahuth buri jageh hai
Surah At-Tahrim, Verse 9
ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱمۡرَأَتَ نُوحٖ وَٱمۡرَأَتَ لُوطٖۖ كَانَتَا تَحۡتَ عَبۡدَيۡنِ مِنۡ عِبَادِنَا صَٰلِحَيۡنِ فَخَانَتَاهُمَا فَلَمۡ يُغۡنِيَا عَنۡهُمَا مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَقِيلَ ٱدۡخُلَا ٱلنَّارَ مَعَ ٱلدَّـٰخِلِينَ
Allah ta’ala ne kaafiro ke liye Nuh ki aur Looth ki biwi ki misaal bayaan farmaayi, ye duno hamaare bandho mein se do (shaayesta) aur nek bandho ke ghar mein thi, phir un ki unhone qayaanath ki, pas wo duno (nek bandhe) un se Allah ke (kisi azaab ko) na rok sa ke aur hukm de diya gaya (aye aurto) dozakh mein jaane waalo ke saath tum duno bhi chali jaao
Surah At-Tahrim, Verse 10
وَضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱمۡرَأَتَ فِرۡعَوۡنَ إِذۡ قَالَتۡ رَبِّ ٱبۡنِ لِي عِندَكَ بَيۡتٗا فِي ٱلۡجَنَّةِ وَنَجِّنِي مِن فِرۡعَوۡنَ وَعَمَلِهِۦ وَنَجِّنِي مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur Allah ta’ala ne imaan waalo ke liye feraun ki biwi ki misaal bayaan farmaayi, jab ke us ne dua ki ke aye mere rab! mere liye apne paas jannath mein makaan bana aur mujhe feraun se aur us ke amal se bacha aur mujhe zaalim logo se qulaasi de
Surah At-Tahrim, Verse 11
وَمَرۡيَمَ ٱبۡنَتَ عِمۡرَٰنَ ٱلَّتِيٓ أَحۡصَنَتۡ فَرۡجَهَا فَنَفَخۡنَا فِيهِ مِن رُّوحِنَا وَصَدَّقَتۡ بِكَلِمَٰتِ رَبِّهَا وَكُتُبِهِۦ وَكَانَتۡ مِنَ ٱلۡقَٰنِتِينَ
aur (misaal bayaan farmaayi) maryam binte imran ki, jis ne apne namoos1 ki hifaazath ki, phir hum ne apni taraf se us mein jaan phuk di aur (Maryam) us ne apne rab ki baatho aur us ki kitaabo ki tasdeeq ki aur ibaadath guzaaro mein se thi
Surah At-Tahrim, Verse 12