Surah Al-Mulk - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
تَبَٰرَكَ ٱلَّذِي بِيَدِهِ ٱلۡمُلۡكُ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
bahuth ba barkath hai wo (Allah) jis ke haath mein badshaahi hai aur jo har cheez par khudrath rakhne waala hai
Surah Al-Mulk, Verse 1
ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡمَوۡتَ وَٱلۡحَيَوٰةَ لِيَبۡلُوَكُمۡ أَيُّكُمۡ أَحۡسَنُ عَمَلٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفُورُ
jis ne mauth aur hayaath ko is liye paida kiya, tumhe azmaaye, ke tum mein se acche kaam kaun karta hai aur wo ghaaleb (aur) baqshne waala hai
Surah Al-Mulk, Verse 2
ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ طِبَاقٗاۖ مَّا تَرَىٰ فِي خَلۡقِ ٱلرَّحۡمَٰنِ مِن تَفَٰوُتٖۖ فَٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ هَلۡ تَرَىٰ مِن فُطُورٖ
jis ne saath asmaan upar ta-le banaaye (to aye dekhne waale) Allah rahmaan ki paidaayish mein koyi be-zaab-tagi na dekhega, dubaara (nazre daal kar) dekh le, kya koyi shigaaf bhi nazar aa raha hai
Surah Al-Mulk, Verse 3
ثُمَّ ٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ كَرَّتَيۡنِ يَنقَلِبۡ إِلَيۡكَ ٱلۡبَصَرُ خَاسِئٗا وَهُوَ حَسِيرٞ
phir duhra kar do do baar dekh le, teri nigaah teri taraf zaleel wa (aajiz) ho kar thaki hoyi laut aayegi
Surah Al-Mulk, Verse 4
وَلَقَدۡ زَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَجَعَلۡنَٰهَا رُجُومٗا لِّلشَّيَٰطِينِۖ وَأَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابَ ٱلسَّعِيرِ
beshak hum ne asmaan dunya ko chiraagho (sitaaro) se araasta kiya aur unhe shaitaano ke maarne ka zariya bana diya aur shaitaano ke liye hum ne (dozakh ka jalaane waala) azaab tayyaar kar diya
Surah Al-Mulk, Verse 5
وَلِلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡ عَذَابُ جَهَنَّمَۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
aur apne rab ke saath kufr karne waalo ke liye jahannam ka azaab hai aur wo kya hee buri jageh hai
Surah Al-Mulk, Verse 6
إِذَآ أُلۡقُواْ فِيهَا سَمِعُواْ لَهَا شَهِيقٗا وَهِيَ تَفُورُ
jab us mein ye daale jayenge, to us ki badi zoor ki awaaz sunenge aur wo josh maar rahi hogi
Surah Al-Mulk, Verse 7
تَكَادُ تَمَيَّزُ مِنَ ٱلۡغَيۡظِۖ كُلَّمَآ أُلۡقِيَ فِيهَا فَوۡجٞ سَأَلَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَذِيرٞ
qareeb hai ke (abhi) ghusse ke maare phat jaaye, jab kabi us mein koyi gruh daala jayega, us se jahannam ke daarogha pochenge ke kya tumhaare paas daraane waala koyi nahi aaya tha
Surah Al-Mulk, Verse 8
قَالُواْ بَلَىٰ قَدۡ جَآءَنَا نَذِيرٞ فَكَذَّبۡنَا وَقُلۡنَا مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٍ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ كَبِيرٖ
wo jawaab denge ke beshak ayaa tha, lekin hum ne ose jhutlaaya aur hum ne kaha ke Allah ta’ala ne kuch bhi naazil nahi farmaaya, tum bahuth badi gumraahi mein hee ho
Surah Al-Mulk, Verse 9
وَقَالُواْ لَوۡ كُنَّا نَسۡمَعُ أَوۡ نَعۡقِلُ مَا كُنَّا فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
aur kahenge ke agar hum sunte hote ya aqal rakhte hote, to dozakhiyo mein (shareek) na hote
Surah Al-Mulk, Verse 10
فَٱعۡتَرَفُواْ بِذَنۢبِهِمۡ فَسُحۡقٗا لِّأَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
pas unhone apne jurm ka eqbaal kar liya, ab ye dozakhi dafa ho (door ho)
Surah Al-Mulk, Verse 11
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٞ
beshak jo log apne parvardigaar se ghayebaana taur par darte rehte hai un ke liye baqshish hai aur bada sawaab hai
Surah Al-Mulk, Verse 12
وَأَسِرُّواْ قَوۡلَكُمۡ أَوِ ٱجۡهَرُواْ بِهِۦٓۖ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
tum apni baatho ko chupaao ya zaaher karo, wo to sino ki poshidgiyo ko bhi ba-qoobi jaanta hai
Surah Al-Mulk, Verse 13
أَلَا يَعۡلَمُ مَنۡ خَلَقَ وَهُوَ ٱللَّطِيفُ ٱلۡخَبِيرُ
kya wahi na jaane jis ne paida kiya? phir wo bareek been aur ba-qabar bhi ho
Surah Al-Mulk, Verse 14
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ ذَلُولٗا فَٱمۡشُواْ فِي مَنَاكِبِهَا وَكُلُواْ مِن رِّزۡقِهِۦۖ وَإِلَيۡهِ ٱلنُّشُورُ
wo zaath jis ne tumhaare liye zameen ko pasth wa muti kar diya ta ke tum us ki raaho mein chalte phirte raho aur Allah ki roziya khaao (piyo) osi ki taraf (tumhe) ji kar uth khada hona hai
Surah Al-Mulk, Verse 15
ءَأَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يَخۡسِفَ بِكُمُ ٱلۡأَرۡضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ
kya tum is baath se be-khauf ho gaye ho ke asmaano waala tumhe zameen mein dhasa de aur achaanak zameen larazne lage
Surah Al-Mulk, Verse 16
أَمۡ أَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ حَاصِبٗاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ كَيۡفَ نَذِيرِ
ya kya tum us baath se nidar ho gaye ho ke asmaano waala tum par patthar barsaade? phir to tumhe maloom ho hee jayega ke mera daraana kaisa tha
Surah Al-Mulk, Verse 17
وَلَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
aur un se pehle logo ne bhi jhutlaaya tha, to dekho un par mera azaab kaisa kuch hoa
Surah Al-Mulk, Verse 18
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَى ٱلطَّيۡرِ فَوۡقَهُمۡ صَـٰٓفَّـٰتٖ وَيَقۡبِضۡنَۚ مَا يُمۡسِكُهُنَّ إِلَّا ٱلرَّحۡمَٰنُۚ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءِۭ بَصِيرٌ
kya ye apne upar, par khole hoye aur (kabhi kabhi) simte hoye (odne waale) parindo ko nahi dekhte, unhe (Allah) rahmaan hee (hawa wa fiza mein) thaame hoye hai, beshak har cheez us ki nigaah mein hai
Surah Al-Mulk, Verse 19
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي هُوَ جُندٞ لَّكُمۡ يَنصُرُكُم مِّن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِۚ إِنِ ٱلۡكَٰفِرُونَ إِلَّا فِي غُرُورٍ
sivaaye Allah ke tumhaara wo kaun sa lashkar hai jo tumhaari madad kar sa ke, kaafir to saraasar dhuke hee mein hai
Surah Al-Mulk, Verse 20
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي يَرۡزُقُكُمۡ إِنۡ أَمۡسَكَ رِزۡقَهُۥۚ بَل لَّجُّواْ فِي عُتُوّٖ وَنُفُورٍ
agar Allah ta’ala apni rozi rok le to bataao kaun hai jo phir tumhe rozi dega? balke (kaafir) to sarkashi aur bidakne par ad gaye hai
Surah Al-Mulk, Verse 21
أَفَمَن يَمۡشِي مُكِبًّا عَلَىٰ وَجۡهِهِۦٓ أَهۡدَىٰٓ أَمَّن يَمۡشِي سَوِيًّا عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
accha wo shaqs zyaada hidaayath waala hai jo apne mu ke bal aundha ho kar chale ya wo jo sidha (pairo ke bal) raahe raasth par chala ho
Surah Al-Mulk, Verse 22
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَكُمۡ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
keh dijiye ke wahi (Allah) hai jis ne tumhe paida kiya aur tumhaare kaan aankhe aur dil banaaye, tum bahuth hee kam shukr guzaari karte ho
Surah Al-Mulk, Verse 23
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
keh dijiye! ke wahi hai jis ne tumhe zameen mein phayla diya aur us ki taraf tum ekhatte kiye jaoge
Surah Al-Mulk, Verse 24
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
(kaafir) pochte hai ke wo waada kab zaaher hoga, agar tum sacche ho (to bataao)
Surah Al-Mulk, Verse 25
قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٞ
aap keh dijiye ke us ka ilm to Allah hee ko hai, main to sirf khule taur par agaah kar dene waala hoon
Surah Al-Mulk, Verse 26
فَلَمَّا رَأَوۡهُ زُلۡفَةٗ سِيٓـَٔتۡ وُجُوهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَقِيلَ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تَدَّعُونَ
jab ye log us waadee ko qareeb tar pa lenge, us waqth un kaafiro ke chehre bigad jayenge aur keh diya jayega ke yahi hai jise tum talab kiya karte thein
Surah Al-Mulk, Verse 27
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَهۡلَكَنِيَ ٱللَّهُ وَمَن مَّعِيَ أَوۡ رَحِمَنَا فَمَن يُجِيرُ ٱلۡكَٰفِرِينَ مِنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
aap keh dijiye! accha agar mujhe aur mere saathiyo ko Allah ta’ala halaak karde ya hum par rahem kare, (beher surath ye to bataao) ke kaafiro ko dard naak azaab se kaun bachayega
Surah Al-Mulk, Verse 28
قُلۡ هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ءَامَنَّا بِهِۦ وَعَلَيۡهِ تَوَكَّلۡنَاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ مَنۡ هُوَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
aap keh dijiye! ke wahi rahmaan hai, hum to us par imaan la chuke aur osi par hamaara bharosa hai, tumhe an-qareeb maloom ho jayega ke sarih gumraahi mein kaun hai
Surah Al-Mulk, Verse 29
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَصۡبَحَ مَآؤُكُمۡ غَوۡرٗا فَمَن يَأۡتِيكُم بِمَآءٖ مَّعِينِۭ
aap keh dijiye! ke accha ye to bataao ke, agar tumhaare (pine ka) paani zameen mein utar jaaye to kaun hai jo tumhaare liye nithra hoa paani laaye
Surah Al-Mulk, Verse 30