Surah Al-Mulk - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
تَبَٰرَكَ ٱلَّذِي بِيَدِهِ ٱلۡمُلۡكُ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Nihayat buzurg-o-bartar hai woh jiske haath mein qayinaat ki sultanat hai , aur woh har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Al-Mulk, Verse 1
ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡمَوۡتَ وَٱلۡحَيَوٰةَ لِيَبۡلُوَكُمۡ أَيُّكُمۡ أَحۡسَنُ عَمَلٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفُورُ
Jisne maut aur zindagi ko ijaat kiya taa-ke tum logon ko aazma kar dekhey tum mein se kaun behtar amal karne wala hai, aur woh zabardast bhi hai aur darguzar farmane wala bhi
Surah Al-Mulk, Verse 2
ٱلَّذِي خَلَقَ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ طِبَاقٗاۖ مَّا تَرَىٰ فِي خَلۡقِ ٱلرَّحۡمَٰنِ مِن تَفَٰوُتٖۖ فَٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ هَلۡ تَرَىٰ مِن فُطُورٖ
Jisne teh-bar-teh saat (seven) aasman banaye tum Rehman ki takhleeq(creation) mein kisi kism ki be-rabti (incongruity) na paogey phir palat kar dekho, kahin tumhein koi khalal (flaw) nazar aata hai
Surah Al-Mulk, Verse 3
ثُمَّ ٱرۡجِعِ ٱلۡبَصَرَ كَرَّتَيۡنِ يَنقَلِبۡ إِلَيۡكَ ٱلۡبَصَرُ خَاسِئٗا وَهُوَ حَسِيرٞ
Baar baar nigaah daudao tumhari nigaah thak kar na-murad palat aayegi
Surah Al-Mulk, Verse 4
وَلَقَدۡ زَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَجَعَلۡنَٰهَا رُجُومٗا لِّلشَّيَٰطِينِۖ وَأَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابَ ٱلسَّعِيرِ
Humne tumhare kareeb ke aasman ko azeem-o-shaan chiragon se aarasta (adorned /beautify) kiya hai aur unhein shayateen ko maar bhagane ka zariya bana diya hai. In shaytano ke liye bhadakti hui aag humne muhayya kar rakkhi hai
Surah Al-Mulk, Verse 5
وَلِلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡ عَذَابُ جَهَنَّمَۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Jin logon ne apne Rubb se kufr kiya hai unke liye jahannum ka azaab hai aur woh bahut hi bura thikana hai
Surah Al-Mulk, Verse 6
إِذَآ أُلۡقُواْ فِيهَا سَمِعُواْ لَهَا شَهِيقٗا وَهِيَ تَفُورُ
Jab woh usmein phenke jayenge to uske dhahadne (roar) ki haulnaak aawaz sunengey aur woh josh kha rahi hogi
Surah Al-Mulk, Verse 7
تَكَادُ تَمَيَّزُ مِنَ ٱلۡغَيۡظِۖ كُلَّمَآ أُلۡقِيَ فِيهَا فَوۡجٞ سَأَلَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَذِيرٞ
Shiddat-e-gazab se phati jati hogi, har baar jab koi anbwah (multitude/group) us mein dala jayega uske kaarinde (keepers) un logon se puchenge “kya tumhare paas koi khabardaar karne wala nahin aaya tha?”
Surah Al-Mulk, Verse 8
قَالُواْ بَلَىٰ قَدۡ جَآءَنَا نَذِيرٞ فَكَذَّبۡنَا وَقُلۡنَا مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٍ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ كَبِيرٖ
Woh jawab denge “haan ,khabardaar karne wala hamare paas aaya tha,magar humne usey jhutla diya aur kaha Allah ne kuch bhi nazil nahin kiya hai, tum badi gumraahi mein padey huey ho”
Surah Al-Mulk, Verse 9
وَقَالُواْ لَوۡ كُنَّا نَسۡمَعُ أَوۡ نَعۡقِلُ مَا كُنَّا فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
Aur woh kahenge “kaash hum sunte ya samajhte to aaj is bhadakti hui aag ke sazawaron mein na shamil hotey”
Surah Al-Mulk, Verse 10
فَٱعۡتَرَفُواْ بِذَنۢبِهِمۡ فَسُحۡقٗا لِّأَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
Is tarah woh apne kasoor ka khud aitraaf (confess) kar lengey, laanat hai in dozakhiyon par
Surah Al-Mulk, Verse 11
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٞ
Jo log be-dekhe apne Rubb se darte hai , yaqeenan unke liye magfirat hai aur bada ajar
Surah Al-Mulk, Verse 12
وَأَسِرُّواْ قَوۡلَكُمۡ أَوِ ٱجۡهَرُواْ بِهِۦٓۖ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Tum khwah chupke se baat karo ya unchi aawaz se (Allah ke liye yaksa hai) woh to dilon ka haal tak jaanta hai
Surah Al-Mulk, Verse 13
أَلَا يَعۡلَمُ مَنۡ خَلَقَ وَهُوَ ٱللَّطِيفُ ٱلۡخَبِيرُ
Kya wahi na jaanega jisne paida kiya hai? Halanke woh baareek-been aur bakhabar hai
Surah Al-Mulk, Verse 14
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ ذَلُولٗا فَٱمۡشُواْ فِي مَنَاكِبِهَا وَكُلُواْ مِن رِّزۡقِهِۦۖ وَإِلَيۡهِ ٱلنُّشُورُ
Wahi to hai jisne tumhare liye zameen ko taabeh kar rakkha hai , chalo uski chaati par aur khao khuda ka rizq, usi ke huzoor tumhein dobara zinda ho kar jana hai
Surah Al-Mulk, Verse 15
ءَأَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يَخۡسِفَ بِكُمُ ٱلۡأَرۡضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ
Kya tum issey be-khauf ho ke woh jo aasman mein hai tumhein zameen mein dhasa de aur yakayak yeh zameen jhakoley khane lagey (shake/rock violently)
Surah Al-Mulk, Verse 16
أَمۡ أَمِنتُم مَّن فِي ٱلسَّمَآءِ أَن يُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ حَاصِبٗاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ كَيۡفَ نَذِيرِ
Kya tum issey be-khauf ho ke wo jo aasman mein hai tum par pathrao karne wali hawa bhej de? Phir tumhein maloom ho jayega ke meri tambeeh (warning) kaisi hoti hai
Surah Al-Mulk, Verse 17
وَلَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
Inse pehle guzre huey log jhutla chuke hain phir dekhlo ke meri giraft kaisi sakht thi
Surah Al-Mulk, Verse 18
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَى ٱلطَّيۡرِ فَوۡقَهُمۡ صَـٰٓفَّـٰتٖ وَيَقۡبِضۡنَۚ مَا يُمۡسِكُهُنَّ إِلَّا ٱلرَّحۡمَٰنُۚ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءِۭ بَصِيرٌ
Kya yeh log apne upar udney waley parindon ko par phaylaye aur sukedte nahin dekhte? Rehman ke siwa koi nahin jo inhein thamey huey ho. Wahi har cheez ka nigehbaan hai
Surah Al-Mulk, Verse 19
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي هُوَ جُندٞ لَّكُمۡ يَنصُرُكُم مِّن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِۚ إِنِ ٱلۡكَٰفِرُونَ إِلَّا فِي غُرُورٍ
Batao, aakhir woh kaunsa lashkar tumhare paas hai jo Rehman ke muqable mein tumhari madad kar sakta hai? Haqeeqat yeh hai ke yeh mukireen dhoke mein padey huey hain
Surah Al-Mulk, Verse 20
أَمَّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي يَرۡزُقُكُمۡ إِنۡ أَمۡسَكَ رِزۡقَهُۥۚ بَل لَّجُّواْ فِي عُتُوّٖ وَنُفُورٍ
Ya phir batao, kaun hai jo tumhein rizq de sakta hai agar Rehman apna rizq roak ley? Dar-asal yeh log sarkashi aur haqq se gurez par adey huey hai
Surah Al-Mulk, Verse 21
أَفَمَن يَمۡشِي مُكِبًّا عَلَىٰ وَجۡهِهِۦٓ أَهۡدَىٰٓ أَمَّن يَمۡشِي سَوِيًّا عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Bhala socho, jo shaks mooh aundhaey (grovelling) chal raha ho woh zyada sahih raah paney wala hai ya woh jo sar uthaye seedha ek hamwar sadak par chal raha ho
Surah Al-Mulk, Verse 22
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَكُمۡ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
Inse kaho Allah hi hai jisne tumhein paida kiya, tumko sunney aur dekhne ki taaqatein di aur sochne samajhne waley dil diye, magar tum kam hi shukr ada karte ho
Surah Al-Mulk, Verse 23
قُلۡ هُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Insey kaho, Allah hi hai jisne tumhein zameen mein phailaya hai aur usi ki taraf tum sametey jaogey
Surah Al-Mulk, Verse 24
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh kehte hain “Agar tum sacchey ho to batao yeh wada kab poora hoga?”
Surah Al-Mulk, Verse 25
قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٞ
Kaho “Iska ilm to Allah ke paas hai, main to bas saaf saaf khabardar kardene wala hoon
Surah Al-Mulk, Verse 26
فَلَمَّا رَأَوۡهُ زُلۡفَةٗ سِيٓـَٔتۡ وُجُوهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَقِيلَ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تَدَّعُونَ
Phir jab yeh us cheez ko kareeb dekh lenge to un sab logon ke chehre bigad jayenge jinhon ne inkar kiya hai, aur us waqt unse kaha jayega ke yahi hai woh cheez jiske liye tum takazey kar rahey (ask for) thay
Surah Al-Mulk, Verse 27
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَهۡلَكَنِيَ ٱللَّهُ وَمَن مَّعِيَ أَوۡ رَحِمَنَا فَمَن يُجِيرُ ٱلۡكَٰفِرِينَ مِنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Insey kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke Allah khwa mujhey aur mere saathiyon ko halaaq karde ya hum par Reham karey, kafiron ko dardnaak azaab se kaun bacha lega
Surah Al-Mulk, Verse 28
قُلۡ هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ءَامَنَّا بِهِۦ وَعَلَيۡهِ تَوَكَّلۡنَاۖ فَسَتَعۡلَمُونَ مَنۡ هُوَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Insey kaho, woh bada Raheem hai, usi par hum imaan laye hain, aur usi par hamara bharosa hai, ankareeb tumhein maloom ho jayega ke sareeh gumrahi (manifest error) mein pada hua kaun hai
Surah Al-Mulk, Verse 29
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَصۡبَحَ مَآؤُكُمۡ غَوۡرٗا فَمَن يَأۡتِيكُم بِمَآءٖ مَّعِينِۭ
Inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar tumhare kuwon (wells) ka pani zameen mein utar jaye to kaun hai jo is pani ki behti hui sotein (flowing water) tumhein nikal kar la dega
Surah Al-Mulk, Verse 30