Surah Al-Qalam - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
نٓۚ وَٱلۡقَلَمِ وَمَا يَسۡطُرُونَ
Noon, Kasam hai qalam ki aur us cheez ki jisey likhne waley likh rahey hain
Surah Al-Qalam, Verse 1
مَآ أَنتَ بِنِعۡمَةِ رَبِّكَ بِمَجۡنُونٖ
Tum apne Rubb ke fazl se majnoon (deewane) nahin ho
Surah Al-Qalam, Verse 2
وَإِنَّ لَكَ لَأَجۡرًا غَيۡرَ مَمۡنُونٖ
Aur yaqeenan tumhare liye aisa ajar (reward) hai jiska silsila kabhi khatm honay wala nahin
Surah Al-Qalam, Verse 3
وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٖ
Aur beshak tum akhlaaq ke bade martabe par ho
Surah Al-Qalam, Verse 4
فَسَتُبۡصِرُ وَيُبۡصِرُونَ
Anqareeb tum bhi dekh logey aur woh bhi dekh lenge
Surah Al-Qalam, Verse 5
بِأَييِّكُمُ ٱلۡمَفۡتُونُ
Ke tum mein se kaun junoon (madness) mein mubtala hai
Surah Al-Qalam, Verse 6
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَن ضَلَّ عَن سَبِيلِهِۦ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
Tumhara Rubb un logon ko bhi khoob jaanta hai jo uski raah se bhatkey huey hain , aur wahi unko bhi acchi tarah jaanta hai jo raah-e-raast par hai
Surah Al-Qalam, Verse 7
فَلَا تُطِعِ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Lihaza tum in jhutlane walon ke dabao mein hargiz na aao
Surah Al-Qalam, Verse 8
وَدُّواْ لَوۡ تُدۡهِنُ فَيُدۡهِنُونَ
yeh to chahte hain ke kuch tum mudahnat (narmi) karo to yeh bhi mudahnat (narmi) karein
Surah Al-Qalam, Verse 9
وَلَا تُطِعۡ كُلَّ حَلَّافٖ مَّهِينٍ
Hargiz na dabo kisi aisey shaks se jo bahut kasmein khane wala be-waqaat (worthless) aadmi hai
Surah Al-Qalam, Verse 10
هَمَّازٖ مَّشَّآءِۭ بِنَمِيمٖ
Taaney deta hai , chugliyan khata phirta hai (slanderer, gossip-monger)
Surah Al-Qalam, Verse 11
مَّنَّاعٖ لِّلۡخَيۡرِ مُعۡتَدٍ أَثِيمٍ
Bhalayi se rokta hai , zulm-o-zyadti mein hadd se guzar janey wala hai, sakht badh-amal hai , jafa-kaar hai
Surah Al-Qalam, Verse 12
عُتُلِّۭ بَعۡدَ ذَٰلِكَ زَنِيمٍ
Aur in sab uyub (aib) ke saath badh-asl (illegitimate child) hai
Surah Al-Qalam, Verse 13
أَن كَانَ ذَا مَالٖ وَبَنِينَ
Is bina par ke woh bahut maal-o-aulad rakhta hai
Surah Al-Qalam, Verse 14
إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا قَالَ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Jab hamari aayat usko sunayi jati hai to kehta hai yeh to agle waqton ke afsane hain
Surah Al-Qalam, Verse 15
سَنَسِمُهُۥ عَلَى ٱلۡخُرۡطُومِ
Ankareeb hum iski sund (snout) par daag lagayenge
Surah Al-Qalam, Verse 16
إِنَّا بَلَوۡنَٰهُمۡ كَمَا بَلَوۡنَآ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ إِذۡ أَقۡسَمُواْ لَيَصۡرِمُنَّهَا مُصۡبِحِينَ
Humne in (ehle makkah) ko usi taraah aazmaish mein dala hai jis tarah ek baagh (garden) ke maalikon ko aazmaish mein dala tha, jab unhon ne kasam khayi ke subah sawerey zaroor apne baagh ke phal todenge
Surah Al-Qalam, Verse 17
وَلَا يَسۡتَثۡنُونَ
Aur woh koi istasna (exception) nahin kar rahey thay
Surah Al-Qalam, Verse 18
فَطَافَ عَلَيۡهَا طَآئِفٞ مِّن رَّبِّكَ وَهُمۡ نَآئِمُونَ
Raat ko woh soye padey thay ke tumhare Rubb ki taraf se ek balaa is baagh par phir gayi
Surah Al-Qalam, Verse 19
فَأَصۡبَحَتۡ كَٱلصَّرِيمِ
Aur uska haal aisa ho gaya jaise kati hui fasal ho
Surah Al-Qalam, Verse 20
فَتَنَادَوۡاْ مُصۡبِحِينَ
Subah un logon ne ek dusre ko pukara
Surah Al-Qalam, Verse 21
أَنِ ٱغۡدُواْ عَلَىٰ حَرۡثِكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰرِمِينَ
Kaha agar phal todne hai ho to sawerey sawerey apni kheti ki taraf nikal chalo
Surah Al-Qalam, Verse 22
فَٱنطَلَقُواْ وَهُمۡ يَتَخَٰفَتُونَ
Chunanchey woh chal padey aur aapas mein chupke chupke kehte jatay thay
Surah Al-Qalam, Verse 23
أَن لَّا يَدۡخُلَنَّهَا ٱلۡيَوۡمَ عَلَيۡكُم مِّسۡكِينٞ
Ke aaj koi miskeen tumhare paas baag mein na aane paye
Surah Al-Qalam, Verse 24
وَغَدَوۡاْ عَلَىٰ حَرۡدٖ قَٰدِرِينَ
Woh kuch na dene ka faisla kiye huye subah sawerey jaldi jaldi is tarah wahan gaye jaise ke woh (phal todne par) qadir hain
Surah Al-Qalam, Verse 25
فَلَمَّا رَأَوۡهَا قَالُوٓاْ إِنَّا لَضَآلُّونَ
Magar jab baagh ko dekha to kehne lagey “hum raasta bhool gaye hain
Surah Al-Qalam, Verse 26
بَلۡ نَحۡنُ مَحۡرُومُونَ
Nahin balke hum mehroom reh gaye”
Surah Al-Qalam, Verse 27
قَالَ أَوۡسَطُهُمۡ أَلَمۡ أَقُل لَّكُمۡ لَوۡلَا تُسَبِّحُونَ
Un mein jo sab se behtar aadmi tha usne kaha “maine tumse kaha na tha ke tum tasbeeh kyun nahin karte?”
Surah Al-Qalam, Verse 28
قَالُواْ سُبۡحَٰنَ رَبِّنَآ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ
Woh pukar utthey paak hai hamara Rubb, waqayi hum gunahgaar thay
Surah Al-Qalam, Verse 29
فَأَقۡبَلَ بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ يَتَلَٰوَمُونَ
Phir unmein se har ek dusre ko malamat karne laga
Surah Al-Qalam, Verse 30
قَالُواْ يَٰوَيۡلَنَآ إِنَّا كُنَّا طَٰغِينَ
Akhir ko unhon ne kaha “afsos hamare haal par, beshak hum sarkash ho gaye thay
Surah Al-Qalam, Verse 31
عَسَىٰ رَبُّنَآ أَن يُبۡدِلَنَا خَيۡرٗا مِّنۡهَآ إِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا رَٰغِبُونَ
Baeed (door) nahin ke hamara Rubb humein badle mein issey behtar baagh ata farmaye, hum apne Rubb ki taraf rujoo karte hain
Surah Al-Qalam, Verse 32
كَذَٰلِكَ ٱلۡعَذَابُۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Aisa hota hai azaab aur aakhirat ka azaab issey bhi bada hai, kaash yeh log isko jaante
Surah Al-Qalam, Verse 33
إِنَّ لِلۡمُتَّقِينَ عِندَ رَبِّهِمۡ جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
Yaqeenan khuda-tars logon ke liye unke Rubb ke yahan niyamat bhari jannatein hain
Surah Al-Qalam, Verse 34
أَفَنَجۡعَلُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ كَٱلۡمُجۡرِمِينَ
Kya hum farma-bardaaron ka haal mujreemon sa kardein
Surah Al-Qalam, Verse 35
مَا لَكُمۡ كَيۡفَ تَحۡكُمُونَ
Tum logon ko kya ho gaya hai, tum kaise hukum lagate ho
Surah Al-Qalam, Verse 36
أَمۡ لَكُمۡ كِتَٰبٞ فِيهِ تَدۡرُسُونَ
Kya tumhare paas koi kitaab hai jismein tum yeh padhte ho
Surah Al-Qalam, Verse 37
إِنَّ لَكُمۡ فِيهِ لَمَا تَخَيَّرُونَ
Ke tumhare liye zaroor wahan wahi kuch hai jo tum apne liye pasand karte ho
Surah Al-Qalam, Verse 38
أَمۡ لَكُمۡ أَيۡمَٰنٌ عَلَيۡنَا بَٰلِغَةٌ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ إِنَّ لَكُمۡ لَمَا تَحۡكُمُونَ
Ya phir kya tumhare liye roz-e-qayamat tak humpar kuch ahad-o-paiman (covenant) sabit hai ke tumhein wahi kuch milega jiska tum hukum lagao
Surah Al-Qalam, Verse 39
سَلۡهُمۡ أَيُّهُم بِذَٰلِكَ زَعِيمٌ
Inse pucho tum mein se kaun iska zaamin (gurantee/responsible) hai
Surah Al-Qalam, Verse 40
أَمۡ لَهُمۡ شُرَكَآءُ فَلۡيَأۡتُواْ بِشُرَكَآئِهِمۡ إِن كَانُواْ صَٰدِقِينَ
Ya phir inke thehraye huye kuch sahreek hain (jinhon ne iska zimma liya ho)?yeh baat hai to layein apne shareekon ko agar yeh sacchey hain
Surah Al-Qalam, Verse 41
يَوۡمَ يُكۡشَفُ عَن سَاقٖ وَيُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلسُّجُودِ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ
Jis roz sakht waqt aa padega aur logon ko sajda karne ke liye bulaya jayega to yeh log sajda na kar sakenge
Surah Al-Qalam, Verse 42
خَٰشِعَةً أَبۡصَٰرُهُمۡ تَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۖ وَقَدۡ كَانُواْ يُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلسُّجُودِ وَهُمۡ سَٰلِمُونَ
Inki nigaahein nichey hongi, zillat inpar chaa rahi hogi. Yeh jab sahi-o-saalim thay us waqt inhein sajde ke liye (bulaya jata tha) aur yeh inkar karte thay
Surah Al-Qalam, Verse 43
فَذَرۡنِي وَمَن يُكَذِّبُ بِهَٰذَا ٱلۡحَدِيثِۖ سَنَسۡتَدۡرِجُهُم مِّنۡ حَيۡثُ لَا يَعۡلَمُونَ
Pas aey Nabi, tum is kalam ke jhutlane walon ka maamla mujhpar chodh do hum aise tarike se inko batadreej tabahi ki taraf le jayenge ke inko khabar bhi na hogi
Surah Al-Qalam, Verse 44
وَأُمۡلِي لَهُمۡۚ إِنَّ كَيۡدِي مَتِينٌ
Main inki rassi daraaz kar raha hoon, meri chaal badi zabardast hai
Surah Al-Qalam, Verse 45
أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ أَجۡرٗا فَهُم مِّن مَّغۡرَمٖ مُّثۡقَلُونَ
Kya tum insey koi ajar (compensation) talab kar rahey ho ke yeh is chatti ke bojh (feel burdened with debt) taley dabey ja rahe hoon
Surah Al-Qalam, Verse 46
أَمۡ عِندَهُمُ ٱلۡغَيۡبُ فَهُمۡ يَكۡتُبُونَ
Kya inke paas gaib ka ilam hai jisey yeh likh rahey hon
Surah Al-Qalam, Verse 47
فَٱصۡبِرۡ لِحُكۡمِ رَبِّكَ وَلَا تَكُن كَصَاحِبِ ٱلۡحُوتِ إِذۡ نَادَىٰ وَهُوَ مَكۡظُومٞ
Pas apne Rubb ka faisla saadir honay tak sabr karo aur machli wale (younis) ki tarah na ho jao, jab usne pukara tha aur woh gham se bhara hua tha
Surah Al-Qalam, Verse 48
لَّوۡلَآ أَن تَدَٰرَكَهُۥ نِعۡمَةٞ مِّن رَّبِّهِۦ لَنُبِذَ بِٱلۡعَرَآءِ وَهُوَ مَذۡمُومٞ
Agar uske Rubb ki meharbani uske shamil-e-haal na ho jati to woh mazmoom (disgrace) hokar chatyal maidan mein phenk diya jata
Surah Al-Qalam, Verse 49
فَٱجۡتَبَٰهُ رَبُّهُۥ فَجَعَلَهُۥ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aakhir-e-kaar uske Rubb ne usey barguzida (exalted) farma liya aur usey saleh bandon mein shamil kardiya
Surah Al-Qalam, Verse 50
وَإِن يَكَادُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَيُزۡلِقُونَكَ بِأَبۡصَٰرِهِمۡ لَمَّا سَمِعُواْ ٱلذِّكۡرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُۥ لَمَجۡنُونٞ
Jab yeh kafir log kalam-e-nasihat (Quran) sunte hain to tumhein aisi nazaron se dekhte hain ke goya tumhare qadam ukhaad denge, Aur kehte hain ke yeh zaroor deewana hai
Surah Al-Qalam, Verse 51
وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ
Halaanke yeh to sarey jahaan walon ke liye ek naseehat hai
Surah Al-Qalam, Verse 52