Surah Al-Haaqqa - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱلۡحَآقَّةُ
Honi shudhni ! (indubitable) [sach-much honay wali]
Surah Al-Haaqqa, Verse 1
مَا ٱلۡحَآقَّةُ
Kya hai woh honi shudni (indubitable)
Surah Al-Haaqqa, Verse 2
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلۡحَآقَّةُ
Aur tum kya jaano ke woh kya hai honi shudhni (indubitable)
Surah Al-Haaqqa, Verse 3
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ وَعَادُۢ بِٱلۡقَارِعَةِ
Samood aur Aad ne us achanak toot padne wali aafat ko jhutlaya
Surah Al-Haaqqa, Verse 4
فَأَمَّا ثَمُودُ فَأُهۡلِكُواْ بِٱلطَّاغِيَةِ
To Samood ek sakht haadse mein halaaq kiye gaye
Surah Al-Haaqqa, Verse 5
وَأَمَّا عَادٞ فَأُهۡلِكُواْ بِرِيحٖ صَرۡصَرٍ عَاتِيَةٖ
Aur Aad ek badi shadeed toofani aandhi(storm) se tabah kardiye gaye
Surah Al-Haaqqa, Verse 6
سَخَّرَهَا عَلَيۡهِمۡ سَبۡعَ لَيَالٖ وَثَمَٰنِيَةَ أَيَّامٍ حُسُومٗاۖ فَتَرَى ٱلۡقَوۡمَ فِيهَا صَرۡعَىٰ كَأَنَّهُمۡ أَعۡجَازُ نَخۡلٍ خَاوِيَةٖ
Allah taala ne usko musalsal saat (seven) raat aur aath (eight) din unpar musallat rakkha (tum wahan hotey to) dekhte ke woh wahan is tarah pachade paday jaise woh khajoor ke boseeda (rotten) taney (trunks) hon
Surah Al-Haaqqa, Verse 7
فَهَلۡ تَرَىٰ لَهُم مِّنۢ بَاقِيَةٖ
Ab kya unmein se koi tumhein baki nazar aata hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 8
وَجَآءَ فِرۡعَوۡنُ وَمَن قَبۡلَهُۥ وَٱلۡمُؤۡتَفِكَٰتُ بِٱلۡخَاطِئَةِ
Aur isi khata-e-azeem ka irtiqaab Firoun aur ussey pehle ke logon ne aur talpat (overturned) ho janey wali bastiyon ne kiya
Surah Al-Haaqqa, Verse 9
فَعَصَوۡاْ رَسُولَ رَبِّهِمۡ فَأَخَذَهُمۡ أَخۡذَةٗ رَّابِيَةً
Un sab ne apne Rubb ke Rasool ki baat na maani to usne unko bade sakhti ke saath pakda
Surah Al-Haaqqa, Verse 10
إِنَّا لَمَّا طَغَا ٱلۡمَآءُ حَمَلۡنَٰكُمۡ فِي ٱلۡجَارِيَةِ
Jab pani ka toofan hadd se guzar gaya to humne tumko kashti mein sawar kardiya tha
Surah Al-Haaqqa, Verse 11
لِنَجۡعَلَهَا لَكُمۡ تَذۡكِرَةٗ وَتَعِيَهَآ أُذُنٞ وَٰعِيَةٞ
Taa-ke is waqiye ko tumhare liye ek sabaq-aamoz yaadgaar bana dein aur yaad rakhne waley kaan iski yaad mehfooz rakkhein
Surah Al-Haaqqa, Verse 12
فَإِذَا نُفِخَ فِي ٱلصُّورِ نَفۡخَةٞ وَٰحِدَةٞ
Phir jab ek dafa sur mein phoonk maar di jayegi
Surah Al-Haaqqa, Verse 13
وَحُمِلَتِ ٱلۡأَرۡضُ وَٱلۡجِبَالُ فَدُكَّتَا دَكَّةٗ وَٰحِدَةٗ
Aur zameen aur pahadon ko utha kar ek hi chot mein reza reza kardiya jayega
Surah Al-Haaqqa, Verse 14
فَيَوۡمَئِذٖ وَقَعَتِ ٱلۡوَاقِعَةُ
Us roz woh honay wala waqiya pesh aa jayega
Surah Al-Haaqqa, Verse 15
وَٱنشَقَّتِ ٱلسَّمَآءُ فَهِيَ يَوۡمَئِذٖ وَاهِيَةٞ
Usdin Aasmaan phatega aur uski bandish dhili padh jayegi
Surah Al-Haaqqa, Verse 16
وَٱلۡمَلَكُ عَلَىٰٓ أَرۡجَآئِهَاۚ وَيَحۡمِلُ عَرۡشَ رَبِّكَ فَوۡقَهُمۡ يَوۡمَئِذٖ ثَمَٰنِيَةٞ
Farishtey uske atraf-o-jawanib mein hongey aur aat (eight) farishtey us roz tere Rubb ka arsh apne upar uthaye huey hongey
Surah Al-Haaqqa, Verse 17
يَوۡمَئِذٖ تُعۡرَضُونَ لَا تَخۡفَىٰ مِنكُمۡ خَافِيَةٞ
Woh din hoga jab tumlog pesh kiye jaogey, tumhara koi raaz bhi chupa na reh jayega
Surah Al-Haaqqa, Verse 18
فَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ فَيَقُولُ هَآؤُمُ ٱقۡرَءُواْ كِتَٰبِيَهۡ
Us waqt jiska naam-e-aamal uske seedhey haath mein diya jayega woh kahega “lo dekho, padho mera naam-e-aamal
Surah Al-Haaqqa, Verse 19
إِنِّي ظَنَنتُ أَنِّي مُلَٰقٍ حِسَابِيَهۡ
Main samajhta tha ke mujhey zaroor apna hisaab milne wala hai”
Surah Al-Haaqqa, Verse 20
فَهُوَ فِي عِيشَةٖ رَّاضِيَةٖ
Pas woh dil pasand aish mein hoga
Surah Al-Haaqqa, Verse 21
فِي جَنَّةٍ عَالِيَةٖ
Aali muqaam jannat mein
Surah Al-Haaqqa, Verse 22
قُطُوفُهَا دَانِيَةٞ
Jiske phalon ke guchhey jhuke padh rahey hongey
Surah Al-Haaqqa, Verse 23
كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ هَنِيٓـَٔۢا بِمَآ أَسۡلَفۡتُمۡ فِي ٱلۡأَيَّامِ ٱلۡخَالِيَةِ
(Aise logon se kaha jayega) mazey se khao aur pio apne un aamal ke badle jo tumne guzre huey dino mein kiye hain
Surah Al-Haaqqa, Verse 24
وَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِشِمَالِهِۦ فَيَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي لَمۡ أُوتَ كِتَٰبِيَهۡ
Aur jiska naam-e-aamal uske bayein (left) haath mein diya jayega woh kahega “ kaash mera aamal nama mujhey na diya gaya hota
Surah Al-Haaqqa, Verse 25
وَلَمۡ أَدۡرِ مَا حِسَابِيَهۡ
Aur main na jaanta ke mera hisaab kya hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 26
يَٰلَيۡتَهَا كَانَتِ ٱلۡقَاضِيَةَ
Kaash meri wahi maut (jo duniya mei aayi thi) faisla-kun hoti
Surah Al-Haaqqa, Verse 27
مَآ أَغۡنَىٰ عَنِّي مَالِيَهۡۜ
Aaj mera maal mere kuch kaam na aaya
Surah Al-Haaqqa, Verse 28
هَلَكَ عَنِّي سُلۡطَٰنِيَهۡ
Mera sara iqtedaar khatam ho gaya
Surah Al-Haaqqa, Verse 29
خُذُوهُ فَغُلُّوهُ
(hukum hoga) pakdo isey aur iski gardan mei touk daal do
Surah Al-Haaqqa, Verse 30
ثُمَّ ٱلۡجَحِيمَ صَلُّوهُ
Phir isey jahannum mein jhoonk do
Surah Al-Haaqqa, Verse 31
ثُمَّ فِي سِلۡسِلَةٖ ذَرۡعُهَا سَبۡعُونَ ذِرَاعٗا فَٱسۡلُكُوهُ
Phir isko satter(seventy) haath lambi zanjeer mei jakad do
Surah Al-Haaqqa, Verse 32
إِنَّهُۥ كَانَ لَا يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ ٱلۡعَظِيمِ
Yeh na Allah buzurg-o-bartar par iman lata tha
Surah Al-Haaqqa, Verse 33
وَلَا يَحُضُّ عَلَىٰ طَعَامِ ٱلۡمِسۡكِينِ
Aur na miskeen ko khana khilane ki targeeb deta tha
Surah Al-Haaqqa, Verse 34
فَلَيۡسَ لَهُ ٱلۡيَوۡمَ هَٰهُنَا حَمِيمٞ
Lihaza aaj na yahan iska koi yaar-e-gamkhaar hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 35
وَلَا طَعَامٌ إِلَّا مِنۡ غِسۡلِينٖ
Aur na zakhmon ke dhowan (washing of wounds) ke siwa iske liye koi khana
Surah Al-Haaqqa, Verse 36
لَّا يَأۡكُلُهُۥٓ إِلَّا ٱلۡخَٰطِـُٔونَ
Jisey khatakaaron (sinners) ke siwa koi nahin khata
Surah Al-Haaqqa, Verse 37
فَلَآ أُقۡسِمُ بِمَا تُبۡصِرُونَ
Pas nahin, main qasam khata hoon un cheezon ki bhi jo tum dekhte ho
Surah Al-Haaqqa, Verse 38
وَمَا لَا تُبۡصِرُونَ
Aur unki bhi jinhein tum nahin dekhte
Surah Al-Haaqqa, Verse 39
إِنَّهُۥ لَقَوۡلُ رَسُولٖ كَرِيمٖ
Yeh ek Rasool-e-kareem ka qaul ( speech ) hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 40
وَمَا هُوَ بِقَوۡلِ شَاعِرٖۚ قَلِيلٗا مَّا تُؤۡمِنُونَ
Kisi shayar ka qaul nahin hai, tumlog kam hi iman latey ho
Surah Al-Haaqqa, Verse 41
وَلَا بِقَوۡلِ كَاهِنٖۚ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ
Aur na yeh kisi kaahin(soothsayer) ka qaul hai , tum log kam hi gaur karte ho
Surah Al-Haaqqa, Verse 42
تَنزِيلٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Yeh Rabb-ul alameen ki taraf se nazil huwa hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 43
وَلَوۡ تَقَوَّلَ عَلَيۡنَا بَعۡضَ ٱلۡأَقَاوِيلِ
Aur agar is (Nabi) ne khud ghad kar koi baat hamari taraf mansook ki hoti
Surah Al-Haaqqa, Verse 44
لَأَخَذۡنَا مِنۡهُ بِٱلۡيَمِينِ
To hum iska dayan(right) haath padkad letay
Surah Al-Haaqqa, Verse 45
ثُمَّ لَقَطَعۡنَا مِنۡهُ ٱلۡوَتِينَ
Aur iski rag-e-gardan (life vein) kaat daalte
Surah Al-Haaqqa, Verse 46
فَمَا مِنكُم مِّنۡ أَحَدٍ عَنۡهُ حَٰجِزِينَ
Phir tum mein se koi (humein)is kaam se rokne wala na hota
Surah Al-Haaqqa, Verse 47
وَإِنَّهُۥ لَتَذۡكِرَةٞ لِّلۡمُتَّقِينَ
Dar haqeeqat yeh parheizgar logon ke liye ek naseehat hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 48
وَإِنَّا لَنَعۡلَمُ أَنَّ مِنكُم مُّكَذِّبِينَ
Aur hum jante hain ke tum mein se kuch log jhutlane waley hain
Surah Al-Haaqqa, Verse 49
وَإِنَّهُۥ لَحَسۡرَةٌ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aise kafiron ke liye yaqeenan yeh mujeeb-e-hasrat (cause of regret) hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 50
وَإِنَّهُۥ لَحَقُّ ٱلۡيَقِينِ
Aur yeh bilkul yaqeeni haqq hai
Surah Al-Haaqqa, Verse 51
فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ
Pas aey nabi, apne Rubb-e-azeem ke naam ki tasbeeh karo
Surah Al-Haaqqa, Verse 52