Surah Al-Maarij - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سَأَلَ سَآئِلُۢ بِعَذَابٖ وَاقِعٖ
Mangne waley ne azaab maanga hai (woh azaab) jo zaroor waqey honay wala hai
Surah Al-Maarij, Verse 1
لِّلۡكَٰفِرِينَ لَيۡسَ لَهُۥ دَافِعٞ
Kafiron ke liye hai, koi usey dafa karne wala nahin
Surah Al-Maarij, Verse 2
مِّنَ ٱللَّهِ ذِي ٱلۡمَعَارِجِ
Us khuda ki taraf se hai jo urooj ke zeeno (ascending steps)ka malik hai
Surah Al-Maarij, Verse 3
تَعۡرُجُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ إِلَيۡهِ فِي يَوۡمٖ كَانَ مِقۡدَارُهُۥ خَمۡسِينَ أَلۡفَ سَنَةٖ
Malaika (angels) aur rooh(Jibrael) uske huzoor chadh kar jatey hain ek aise din mein jiski miqdar pacchas (fifty) hazar saal hai
Surah Al-Maarij, Verse 4
فَٱصۡبِرۡ صَبۡرٗا جَمِيلًا
Pas aey Nabi, sabr karo, shaista sabr
Surah Al-Maarij, Verse 5
إِنَّهُمۡ يَرَوۡنَهُۥ بَعِيدٗا
Yeh log usey dur samajhte hain
Surah Al-Maarij, Verse 6
وَنَرَىٰهُ قَرِيبٗا
Aur hum usey qareeb dekh rahey hain
Surah Al-Maarij, Verse 7
يَوۡمَ تَكُونُ ٱلسَّمَآءُ كَٱلۡمُهۡلِ
(woh azaab us roz hoga) jis roz aasman pigli huye chandi ki tarah ho jayega
Surah Al-Maarij, Verse 8
وَتَكُونُ ٱلۡجِبَالُ كَٱلۡعِهۡنِ
Aur pahad rang-bi-rang ke dhunke huey oon (wool) jaise ho jayenge
Surah Al-Maarij, Verse 9
وَلَا يَسۡـَٔلُ حَمِيمٌ حَمِيمٗا
Aur koi jigri dost apne jigri dost ko na puchega
Surah Al-Maarij, Verse 10
يُبَصَّرُونَهُمۡۚ يَوَدُّ ٱلۡمُجۡرِمُ لَوۡ يَفۡتَدِي مِنۡ عَذَابِ يَوۡمِئِذِۭ بِبَنِيهِ
Halaanke woh ek dusre ko dikhaye jayenge, mujrim chahega ke us din ke azaab se bachne ke liye apni aulad ko
Surah Al-Maarij, Verse 11
وَصَٰحِبَتِهِۦ وَأَخِيهِ
Apni biwi ko, apne bhai ko
Surah Al-Maarij, Verse 12
وَفَصِيلَتِهِ ٱلَّتِي تُـٔۡوِيهِ
Apne qareeb-tareen khandaan ko jo usey panaah dene wala tha
Surah Al-Maarij, Verse 13
وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا ثُمَّ يُنجِيهِ
Aur rooh-e-zameen ke sab logon ko fidiya (badle) mein dey-de aur yeh tadbeer usey nijaat dila de
Surah Al-Maarij, Verse 14
كَلَّآۖ إِنَّهَا لَظَىٰ
Hargiz nahin woh to bhadakti hui aag ki lapat hogi
Surah Al-Maarij, Verse 15
نَزَّاعَةٗ لِّلشَّوَىٰ
Jo gosht posht ko chaat jayegi
Surah Al-Maarij, Verse 16
تَدۡعُواْ مَنۡ أَدۡبَرَ وَتَوَلَّىٰ
Pukar pukar kar apni taraf bulayegi har us shaks ko jisne haqq se mooh moda aur peet pheri
Surah Al-Maarij, Verse 17
وَجَمَعَ فَأَوۡعَىٰٓ
Aur maal jamaa kiya aur seint seint kar (amassed wealth) rakkha
Surah Al-Maarij, Verse 18
۞إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ خُلِقَ هَلُوعًا
Insan thud-dila (impatient) paida kiya gaya hai
Surah Al-Maarij, Verse 19
إِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ جَزُوعٗا
Jab uspar museebat aati hai to ghabra uthta hai
Surah Al-Maarij, Verse 20
وَإِذَا مَسَّهُ ٱلۡخَيۡرُ مَنُوعًا
Aur jab usey khush-haali naseeb hoti hai to bukhl (kanjoosi) karne lagta hai
Surah Al-Maarij, Verse 21
إِلَّا ٱلۡمُصَلِّينَ
Magar woh log (is aib se bache huey hai) jo namaz padne waley hain
Surah Al-Maarij, Verse 22
ٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ دَآئِمُونَ
Jo apni namaz ki hamesha pabandi karte hai
Surah Al-Maarij, Verse 23
وَٱلَّذِينَ فِيٓ أَمۡوَٰلِهِمۡ حَقّٞ مَّعۡلُومٞ
Jinke maalon mein
Surah Al-Maarij, Verse 24
لِّلسَّآئِلِ وَٱلۡمَحۡرُومِ
Saahil (maangne waley) aur mehroom ka ek haqq mukarrar hai
Surah Al-Maarij, Verse 25
وَٱلَّذِينَ يُصَدِّقُونَ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
Jo roz-e-jaza ko barhaq maante hain
Surah Al-Maarij, Verse 26
وَٱلَّذِينَ هُم مِّنۡ عَذَابِ رَبِّهِم مُّشۡفِقُونَ
Jo apne Rubb ke azaab se darte hain
Surah Al-Maarij, Verse 27
إِنَّ عَذَابَ رَبِّهِمۡ غَيۡرُ مَأۡمُونٖ
Kyunke unke Rubb ka azaab aisi cheez nahin hai jissey koi bekhauf ho
Surah Al-Maarij, Verse 28
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِفُرُوجِهِمۡ حَٰفِظُونَ
Jo apni sharmgahon ki hifazat karte hain
Surah Al-Maarij, Verse 29
إِلَّا عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَإِنَّهُمۡ غَيۡرُ مَلُومِينَ
Ba-juz apne biwiyon ya apni mamluka aurton ke jinse mehfooz na rakhne mein unpar koi malamat nahin
Surah Al-Maarij, Verse 30
فَمَنِ ٱبۡتَغَىٰ وَرَآءَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡعَادُونَ
Albatta jo iske alawa kuch aur chahein wahi hadd se tajawuz karne wala hai
Surah Al-Maarij, Verse 31
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِأَمَٰنَٰتِهِمۡ وَعَهۡدِهِمۡ رَٰعُونَ
Jo apne amanaton ki hifazat aur apne ahad (covenant) ka paas karte hai
Surah Al-Maarij, Verse 32
وَٱلَّذِينَ هُم بِشَهَٰدَٰتِهِمۡ قَآئِمُونَ
Jo apni gawahiyon mein raast baazi (upright) par qayam rehte hain
Surah Al-Maarij, Verse 33
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
Aur jo apni namaz ki hifazat karte hain
Surah Al-Maarij, Verse 34
أُوْلَـٰٓئِكَ فِي جَنَّـٰتٖ مُّكۡرَمُونَ
Yeh log izzat ke saath jannat ke baaghon mei rahenge
Surah Al-Maarij, Verse 35
فَمَالِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ قِبَلَكَ مُهۡطِعِينَ
Pas aey Nabi , kya baat hai ke yeh munkirin dayein(left) aur bayein(right) se
Surah Al-Maarij, Verse 36
عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ عِزِينَ
Giroh (crowds) dar giroh(crowds) tumhari taraf daude chale aa rahe hain
Surah Al-Maarij, Verse 37
أَيَطۡمَعُ كُلُّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُمۡ أَن يُدۡخَلَ جَنَّةَ نَعِيمٖ
Kya inmein se har ek yeh lalaj rakhta hai ke woh niyamat bhari jannat mein daakhil kardiya jayega
Surah Al-Maarij, Verse 38
كَلَّآۖ إِنَّا خَلَقۡنَٰهُم مِّمَّا يَعۡلَمُونَ
Hargiz nahin humne jis cheez se inko paida kiya hai usey yeh khud jaante hain
Surah Al-Maarij, Verse 39
فَلَآ أُقۡسِمُ بِرَبِّ ٱلۡمَشَٰرِقِ وَٱلۡمَغَٰرِبِ إِنَّا لَقَٰدِرُونَ
Pas nahin, main qasam khata hoon mashrikon aur maghribon ke maalik ki hum ispar qadir hain
Surah Al-Maarij, Verse 40
عَلَىٰٓ أَن نُّبَدِّلَ خَيۡرٗا مِّنۡهُمۡ وَمَا نَحۡنُ بِمَسۡبُوقِينَ
Ke inki jagah insey behtar log le aayein aur koi humse baazi le jaane wala nahin hai
Surah Al-Maarij, Verse 41
فَذَرۡهُمۡ يَخُوضُواْ وَيَلۡعَبُواْ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ
Lihaza inhein apni behuda baaton aur apne khel mein pada rehne do yahan tak ke yeh apne us din ko pahunch jayenge jiska insey waada kiya ja raha hai
Surah Al-Maarij, Verse 42
يَوۡمَ يَخۡرُجُونَ مِنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ سِرَاعٗا كَأَنَّهُمۡ إِلَىٰ نُصُبٖ يُوفِضُونَ
Jab yeh apni qabron se nikal kar is tarah daude ja rahey hongey jaise apne buthon (idols) ke aasthano (altars) ki taraf daud rahey hon
Surah Al-Maarij, Verse 43
خَٰشِعَةً أَبۡصَٰرُهُمۡ تَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۚ ذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمُ ٱلَّذِي كَانُواْ يُوعَدُونَ
Inki nigahein jhuki hui hongi, zillat inpar chaa rahi hogi, woh din hai jiska insey wada kiya ja raha hai
Surah Al-Maarij, Verse 44