Surah Nooh - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦٓ أَنۡ أَنذِرۡ قَوۡمَكَ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja (is hidayat ke saath) ke apni qaum ke logon ko khabardar karde qabl iske ke unpar ek dardnaak azaab aaye
Surah Nooh, Verse 1
قَالَ يَٰقَوۡمِ إِنِّي لَكُمۡ نَذِيرٞ مُّبِينٌ
Usne kaha “ Aey meri qaum ke logon, main tumhare liye ek saaf saaf khabardar kardene wala (paighambar) hoon
Surah Nooh, Verse 2
أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱتَّقُوهُ وَأَطِيعُونِ
(Tumko aagah karta hoon) ke Allah ki bandagi karo aur ussey daro aur meri itaat (follow) karo
Surah Nooh, Verse 3
يَغۡفِرۡ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُؤَخِّرۡكُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمًّىۚ إِنَّ أَجَلَ ٱللَّهِ إِذَا جَآءَ لَا يُؤَخَّرُۚ لَوۡ كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Allah tumhare gunaahon se darguzar farmayega aur tumhein ek waqt-e-mukarrar tak baaki rakkhega. Haqeeqat yeh hai ke Allah ka mukarrar kiya hua waqt jab aa jata hai to phir taala nahin jata kaash tumhein iska ilm ho
Surah Nooh, Verse 4
قَالَ رَبِّ إِنِّي دَعَوۡتُ قَوۡمِي لَيۡلٗا وَنَهَارٗا
Usne arz kiya “Aey mere Rubb , maine apni qaum ke logon ko shab-o-roz (night and day) pukara
Surah Nooh, Verse 5
فَلَمۡ يَزِدۡهُمۡ دُعَآءِيٓ إِلَّا فِرَارٗا
Magar meri pukar ne unke farar hi mei izafa kiya
Surah Nooh, Verse 6
وَإِنِّي كُلَّمَا دَعَوۡتُهُمۡ لِتَغۡفِرَ لَهُمۡ جَعَلُوٓاْ أَصَٰبِعَهُمۡ فِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَٱسۡتَغۡشَوۡاْ ثِيَابَهُمۡ وَأَصَرُّواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ ٱسۡتِكۡبَارٗا
Aur jab bhi maine unko bulaya taa-ke tu unhein maaf karde , unhon ne kaano mein ungliyan thoos li aur apne kapdon se mooh dhaank liye aur apni rawish par adh gaye aur bada takabbur (proudness) kiya
Surah Nooh, Verse 7
ثُمَّ إِنِّي دَعَوۡتُهُمۡ جِهَارٗا
Phir maine unko haanke pukarey (openly) ki dawat di
Surah Nooh, Verse 8
ثُمَّ إِنِّيٓ أَعۡلَنتُ لَهُمۡ وَأَسۡرَرۡتُ لَهُمۡ إِسۡرَارٗا
Phir maine aelaniya (publicly) bhi unko tableeg ki aur chupke chupke bhi samjhaya
Surah Nooh, Verse 9
فَقُلۡتُ ٱسۡتَغۡفِرُواْ رَبَّكُمۡ إِنَّهُۥ كَانَ غَفَّارٗا
Maine kaha apne Rubb se maafi maango,beshak woh bada maaf karne wala hai
Surah Nooh, Verse 10
يُرۡسِلِ ٱلسَّمَآءَ عَلَيۡكُم مِّدۡرَارٗا
Woh tumpar aasmaan se khoob baarishein barsayega
Surah Nooh, Verse 11
وَيُمۡدِدۡكُم بِأَمۡوَٰلٖ وَبَنِينَ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ أَنۡهَٰرٗا
Tumhein maal aur aulad se nawaze ga, tumhare liye baagh paida karega aur tumhare liye nehrein jaari kardega
Surah Nooh, Verse 12
مَّا لَكُمۡ لَا تَرۡجُونَ لِلَّهِ وَقَارٗا
Tumhein kya ho gaya hai ke Allah ke liye tum kisi waqar (majesty) ki tawakku nahin rakhte
Surah Nooh, Verse 13
وَقَدۡ خَلَقَكُمۡ أَطۡوَارًا
Halaanke usne tarah tarah se tumhein banaya hai
Surah Nooh, Verse 14
أَلَمۡ تَرَوۡاْ كَيۡفَ خَلَقَ ٱللَّهُ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ طِبَاقٗا
Kya dekhte nahin ho ke Allah ne kis tarah saat aasman teh-bar-teh banaye
Surah Nooh, Verse 15
وَجَعَلَ ٱلۡقَمَرَ فِيهِنَّ نُورٗا وَجَعَلَ ٱلشَّمۡسَ سِرَاجٗا
Aur unmein chand ko noor aur suraj ko chiraag banaya
Surah Nooh, Verse 16
وَٱللَّهُ أَنۢبَتَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ نَبَاتٗا
Aur Allah ne tumko zameen se ajeeb tarah ugaya
Surah Nooh, Verse 17
ثُمَّ يُعِيدُكُمۡ فِيهَا وَيُخۡرِجُكُمۡ إِخۡرَاجٗا
Phir woh tumhein isi zameen mein wapas le jayega aur issey yakayak tumko nikal khada karega
Surah Nooh, Verse 18
وَٱللَّهُ جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ بِسَاطٗا
Aur Allah ne zameen ko tumhare liye farsh ki tarah bicha diya
Surah Nooh, Verse 19
لِّتَسۡلُكُواْ مِنۡهَا سُبُلٗا فِجَاجٗا
Taa-ke tum uske andar khule raaston mein chalo
Surah Nooh, Verse 20
قَالَ نُوحٞ رَّبِّ إِنَّهُمۡ عَصَوۡنِي وَٱتَّبَعُواْ مَن لَّمۡ يَزِدۡهُ مَالُهُۥ وَوَلَدُهُۥٓ إِلَّا خَسَارٗا
Nooh ne kaha “mere Rubb, unhon ne meri baat radd kardi aur un (raheeson) ki pairvi ki jo maal aur aulad paa kar aur zyada na murad ho gaye hain
Surah Nooh, Verse 21
وَمَكَرُواْ مَكۡرٗا كُبَّارٗا
In logon ne bada bhaari makr (plot) ka jaal phaila rakkha hai
Surah Nooh, Verse 22
وَقَالُواْ لَا تَذَرُنَّ ءَالِهَتَكُمۡ وَلَا تَذَرُنَّ وَدّٗا وَلَا سُوَاعٗا وَلَا يَغُوثَ وَيَعُوقَ وَنَسۡرٗا
Inhon ne kaha hargiz na chodo apne maboodon (deities) ko, aur na chodo Wadd aur Suwa ko aur na Yagus aur Yaook aur Nasr ko (idol names)
Surah Nooh, Verse 23
وَقَدۡ أَضَلُّواْ كَثِيرٗاۖ وَلَا تَزِدِ ٱلظَّـٰلِمِينَ إِلَّا ضَلَٰلٗا
Inhon ne bahut logon ko gumraah kiya hai, aur tu bhi in zalimon ko gumrahi ke siwa kisi cheez mein tarakki na de
Surah Nooh, Verse 24
مِّمَّا خَطِيٓـَٰٔتِهِمۡ أُغۡرِقُواْ فَأُدۡخِلُواْ نَارٗا فَلَمۡ يَجِدُواْ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ أَنصَارٗا
Apni khataon ki bina par hi woh garq(drown) kiye gaye aur Aag mein jhoonk diye gaye , phir unhon ne apne liye Allah se bachane wala koi madadgar na paya
Surah Nooh, Verse 25
وَقَالَ نُوحٞ رَّبِّ لَا تَذَرۡ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ دَيَّارًا
Aur Nooh ne kaha “Mere Rubb, In kafiron mein se koi zameen par basne wala na chodh
Surah Nooh, Verse 26
إِنَّكَ إِن تَذَرۡهُمۡ يُضِلُّواْ عِبَادَكَ وَلَا يَلِدُوٓاْ إِلَّا فَاجِرٗا كَفَّارٗا
Agar tu ne inko chodh diya to yeh tere bandon ko gumraah karenge aur inki nasal se jo bhi paida hoga badkar aur sakht kafir hi hoga
Surah Nooh, Verse 27
رَّبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيَّ وَلِمَن دَخَلَ بَيۡتِيَ مُؤۡمِنٗا وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۖ وَلَا تَزِدِ ٱلظَّـٰلِمِينَ إِلَّا تَبَارَۢا
Mere Rubb, mujhey aur mere waldain ko aur har us shaks ko jo mere ghar mein momin ki haisiyat se dakhil hua hai, Aur sab momin mardon aur auraton ko maaf farma de, Aur zalimon ke liye halakat ke siwa kisi cheez mein izafa na kar
Surah Nooh, Verse 28