Surah Al-Jinn - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
قُلۡ أُوحِيَ إِلَيَّ أَنَّهُ ٱسۡتَمَعَ نَفَرٞ مِّنَ ٱلۡجِنِّ فَقَالُوٓاْ إِنَّا سَمِعۡنَا قُرۡءَانًا عَجَبٗا
Aey Nabi, kaho, meri taraf wahee (revelation) bheji gayi hai ke Jinno ke ek giroh (group) ne gaur se suna phir (jaa kar apne qaum ke logon se) kaha: “humne ek bada hi ajeeb Quran suna hai
Surah Al-Jinn, Verse 1
يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلرُّشۡدِ فَـَٔامَنَّا بِهِۦۖ وَلَن نُّشۡرِكَ بِرَبِّنَآ أَحَدٗا
Jo raah-e-raast ki taraf rehnumayi karta hai is liye hum uspar iman le aaye hain aur ab hum hargiz apne Rubb ke saath kisi ko sharik nahin karenge
Surah Al-Jinn, Verse 2
وَأَنَّهُۥ تَعَٰلَىٰ جَدُّ رَبِّنَا مَا ٱتَّخَذَ صَٰحِبَةٗ وَلَا وَلَدٗا
Aur yeh ke hamare Rubb ki shaan bahut aala-o-Arfa hai , usne kisi ko biwi ya beta nahin banaya
Surah Al-Jinn, Verse 3
وَأَنَّهُۥ كَانَ يَقُولُ سَفِيهُنَا عَلَى ٱللَّهِ شَطَطٗا
Aur yeh ke hamare nadaan log Allah ke barey mein bahut khilaf-e-haqq baatein karte rahey hain
Surah Al-Jinn, Verse 4
وَأَنَّا ظَنَنَّآ أَن لَّن تَقُولَ ٱلۡإِنسُ وَٱلۡجِنُّ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا
Aur yeh ke humne samjha tha ke insaan aur jinn kabhi khuda ke baarey mein jhoot nahin bol sakte
Surah Al-Jinn, Verse 5
وَأَنَّهُۥ كَانَ رِجَالٞ مِّنَ ٱلۡإِنسِ يَعُوذُونَ بِرِجَالٖ مِّنَ ٱلۡجِنِّ فَزَادُوهُمۡ رَهَقٗا
Aur yeh ke Insano mein se kuch log Jinno mein se kuch logon ki panaah (refuge) maanga karte thay, is tarah unhon ne Jinno ka guroor aur zyada badha diya
Surah Al-Jinn, Verse 6
وَأَنَّهُمۡ ظَنُّواْ كَمَا ظَنَنتُمۡ أَن لَّن يَبۡعَثَ ٱللَّهُ أَحَدٗا
Aur yeh ke insaano ne bhi wahi gumaan kiya jaisa tumhara gumaan tha ke Allah kisi ko Rasool bana kar na bhejega
Surah Al-Jinn, Verse 7
وَأَنَّا لَمَسۡنَا ٱلسَّمَآءَ فَوَجَدۡنَٰهَا مُلِئَتۡ حَرَسٗا شَدِيدٗا وَشُهُبٗا
Aur yeh ke humne aasman ko tatola to dekha ke woh pehray-daaron (terrible guards) se patha pada hai aur shahabon (shooting meteors) ki baarish ho rahi hai
Surah Al-Jinn, Verse 8
وَأَنَّا كُنَّا نَقۡعُدُ مِنۡهَا مَقَٰعِدَ لِلسَّمۡعِۖ فَمَن يَسۡتَمِعِ ٱلۡأٓنَ يَجِدۡ لَهُۥ شِهَابٗا رَّصَدٗا
Aur yeh ke pehle hum sun-gun lene ke liye aasman mei baithnay ki jagah paa lete thay, magar ab jo chori chupey sunne ke koshish karta hai woh apne liye ghaat mein ek shahabe saaqib (shooting meteors) laga hua paata hai
Surah Al-Jinn, Verse 9
وَأَنَّا لَا نَدۡرِيٓ أَشَرٌّ أُرِيدَ بِمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ أَرَادَ بِهِمۡ رَبُّهُمۡ رَشَدٗا
Aur yeh ke hamari samajh mein na aata tha ke aaya zameen walon ke saath koi bura maamla karne ka irada kiya gaya hai ya unka Rubb unhein raah-e-raast dikhana chahta hai
Surah Al-Jinn, Verse 10
وَأَنَّا مِنَّا ٱلصَّـٰلِحُونَ وَمِنَّا دُونَ ذَٰلِكَۖ كُنَّا طَرَآئِقَ قِدَدٗا
Aur yeh ke hum mein se kuch log saleh (upright) hain aur kuch is se farotar hain, hum mukhtalif tareeqon (ways/factions) mein batey (divided) huey hain
Surah Al-Jinn, Verse 11
وَأَنَّا ظَنَنَّآ أَن لَّن نُّعۡجِزَ ٱللَّهَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَن نُّعۡجِزَهُۥ هَرَبٗا
Auy yeh ke hum samajhte thay ke na zameen mein hum Allah ko aajiz (frustrate) kar sakte hain aur na bhaag kar usey hara saktey hain
Surah Al-Jinn, Verse 12
وَأَنَّا لَمَّا سَمِعۡنَا ٱلۡهُدَىٰٓ ءَامَنَّا بِهِۦۖ فَمَن يُؤۡمِنۢ بِرَبِّهِۦ فَلَا يَخَافُ بَخۡسٗا وَلَا رَهَقٗا
Aur yeh ke humne jab hidayat ki taleem suni to hum uspar iman le aaye ab jo koi bhi apne Rubb par iman le aayega usey kisi haq-talfi ya zulm ka khauff na hoga
Surah Al-Jinn, Verse 13
وَأَنَّا مِنَّا ٱلۡمُسۡلِمُونَ وَمِنَّا ٱلۡقَٰسِطُونَۖ فَمَنۡ أَسۡلَمَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ تَحَرَّوۡاْ رَشَدٗا
Aur yeh ke hum mein se kuch muslim(Allah ke itaat guzar) hain aur kuch haqq se munharif (upright) to jinhon ne Islam (itaat ka raasta) ikhtiyar kar liya unhon ne najaat ki raah dhoond li
Surah Al-Jinn, Verse 14
وَأَمَّا ٱلۡقَٰسِطُونَ فَكَانُواْ لِجَهَنَّمَ حَطَبٗا
Aur jo haqq se muhnarif hai woh jahannum ka indhan (fuel) banney wala hai
Surah Al-Jinn, Verse 15
وَأَلَّوِ ٱسۡتَقَٰمُواْ عَلَى ٱلطَّرِيقَةِ لَأَسۡقَيۡنَٰهُم مَّآءً غَدَقٗا
Aur (aey Nabi kaho mujhpar yeh wahee bhi ki gayi hai ke) log agar raah-e-raast par sabit qadami (firmly) se chalte to hum unhein khoob sairaab karte (provide abundant rain)
Surah Al-Jinn, Verse 16
لِّنَفۡتِنَهُمۡ فِيهِۚ وَمَن يُعۡرِضۡ عَن ذِكۡرِ رَبِّهِۦ يَسۡلُكۡهُ عَذَابٗا صَعَدٗا
Taa-ke is niyamat se unki aazmaish karein aur jo apne Rubb ke zikr se mooh modega uska Rubb usey sakht azaab mein mubtala kardega
Surah Al-Jinn, Verse 17
وَأَنَّ ٱلۡمَسَٰجِدَ لِلَّهِ فَلَا تَدۡعُواْ مَعَ ٱللَّهِ أَحَدٗا
Aur yeh ke masjidein Allah ke liye hai, lihaza unmein Allah ke saath kisi aur ko na pukaro
Surah Al-Jinn, Verse 18
وَأَنَّهُۥ لَمَّا قَامَ عَبۡدُ ٱللَّهِ يَدۡعُوهُ كَادُواْ يَكُونُونَ عَلَيۡهِ لِبَدٗا
Aur yeh ke jab Allah ka banda usko pukarne ke liye khada hua to log uspar toot padne ke liye tayyar ho gaye
Surah Al-Jinn, Verse 19
قُلۡ إِنَّمَآ أَدۡعُواْ رَبِّي وَلَآ أُشۡرِكُ بِهِۦٓ أَحَدٗا
Aey Nabi ,kaho ke main to apne Rubb ko pukarta hoon aur uske saath kisi ko sharik nahin karta
Surah Al-Jinn, Verse 20
قُلۡ إِنِّي لَآ أَمۡلِكُ لَكُمۡ ضَرّٗا وَلَا رَشَدٗا
Kaho main tum logon keliye na kisi nuksan ka ikhtiyar rakhta hoon na kisi bhalayi ka
Surah Al-Jinn, Verse 21
قُلۡ إِنِّي لَن يُجِيرَنِي مِنَ ٱللَّهِ أَحَدٞ وَلَنۡ أَجِدَ مِن دُونِهِۦ مُلۡتَحَدًا
Kaho mujhey Allah ki giraft se koi nahin bacha sakta aur na main uske daaman ke siwa koi jaye panaah (refuge) paa sakta hoon
Surah Al-Jinn, Verse 22
إِلَّا بَلَٰغٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِسَٰلَٰتِهِۦۚ وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَإِنَّ لَهُۥ نَارَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدًا
Mera kaam iske siwa kuch nahin hai ke Allah ki baat aur uske paighamaat pahuncha doon. Ab jo bhi Allah aur uske Rasool ki baat na maanega uske liye jahannum ki aag hai aur aisey log usmein hamesha rahenge
Surah Al-Jinn, Verse 23
حَتَّىٰٓ إِذَا رَأَوۡاْ مَا يُوعَدُونَ فَسَيَعۡلَمُونَ مَنۡ أَضۡعَفُ نَاصِرٗا وَأَقَلُّ عَدَدٗا
(Yeh log apni is rawish se baaz na aayenge) yahan tak ke jab us cheez ko dekh lenge jiska inse waada kiya ja raha hai to inhein maloom ho jayega ke kiske madadgaar kamzoar hain aur kiska jattha (group) taadad mein kam hai
Surah Al-Jinn, Verse 24
قُلۡ إِنۡ أَدۡرِيٓ أَقَرِيبٞ مَّا تُوعَدُونَ أَمۡ يَجۡعَلُ لَهُۥ رَبِّيٓ أَمَدًا
Kaho, main nahin jaanta ke jis cheez ka waada tumse kiya ja raha hai woh qareeb hai ya mera Rubb uske liye koi lambi muddat muqarrar famata hai
Surah Al-Jinn, Verse 25
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ فَلَا يُظۡهِرُ عَلَىٰ غَيۡبِهِۦٓ أَحَدًا
Woh aalimul gaib hai , apne gaib par kisi ko muttala (reveal/disclose) nahin karta
Surah Al-Jinn, Verse 26
إِلَّا مَنِ ٱرۡتَضَىٰ مِن رَّسُولٖ فَإِنَّهُۥ يَسۡلُكُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦ رَصَدٗا
Siwai us Rasool ke jisey usne (gaib ka koi ilm dene ke liye) pasand karliya ho, to uske aagey aur pichey woh muhafiz (guards) laga deta hai
Surah Al-Jinn, Verse 27
لِّيَعۡلَمَ أَن قَدۡ أَبۡلَغُواْ رِسَٰلَٰتِ رَبِّهِمۡ وَأَحَاطَ بِمَا لَدَيۡهِمۡ وَأَحۡصَىٰ كُلَّ شَيۡءٍ عَدَدَۢا
Taa-ke woh jaan le ke unhon ne apne Rubb ke paighamaat pahuncha diye, aur woh unke poorey maahol ka ihata (encompass) kiye huey hai aur ek ek cheez ko usne gin rakkha hai
Surah Al-Jinn, Verse 28