Surah As-Saff - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Zamin-o-aasman ki her her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai
Surah As-Saff, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
Aey eman walo! Tum woh baat kiyon kehtay ho jo kertay nahi
Surah As-Saff, Verse 2
كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
Tum jo kertay nahi uss ka kehna Allah Taalaa ko sakht na pasand hai
Surah As-Saff, Verse 3
إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِهِۦ صَفّٗا كَأَنَّهُم بُنۡيَٰنٞ مَّرۡصُوصٞ
Be-shak Allah Taalaa unn logon say mohabbat kerta hai jo uss ki raah mein saff basta jihad kertay hain goya woh seesa pilaee hui emaarat hain
Surah As-Saff, Verse 4
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ لِمَ تُؤۡذُونَنِي وَقَد تَّعۡلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡۖ فَلَمَّا زَاغُوٓاْ أَزَاغَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُمۡۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Aur (yaad kero) jabkay musa ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Tum mujhay kiyon sata rahey ho halankay tumhen (ba khoobi) maloom hai kay mein tumhari janib Allah ka rasool hun pus jab woh log tairhay hi rahey to Allah ney unn kay dilon ko (aur) tairhaa ker diya aur Allah Taalaa na farman qom ko hidayat nahi deta
Surah As-Saff, Verse 5
وَإِذۡ قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُم مُّصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَمُبَشِّرَۢا بِرَسُولٖ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِي ٱسۡمُهُۥٓ أَحۡمَدُۖ فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Aur jab marium kay betay essa ney kaha aey (meri qom) bani israeel! Mein tum sab ki taraf Allah ka rasool hun mujh say pehlay ki kitab toraat ki mein tasdeeq kerney wala hun aur apney baad aaney walay aik rasool ki mein tumhen khushkhabri sunaney wala hun jin ka naam ahmed hai phir jab woh unn kay pass khuli daleelen laye to yeh kehney lagay yeh to khula jadoo hai
Surah As-Saff, Verse 6
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُوَ يُدۡعَىٰٓ إِلَى ٱلۡإِسۡلَٰمِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Uss shaks say ziyada zalim aur kaun hoga jo Allah per jhoot (iftra) bandhay halankay woh islam ki taraf bulaya jata hai aur Allah aisay zalimon ko hidayat nahi kerta
Surah As-Saff, Verse 7
يُرِيدُونَ لِيُطۡفِـُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَٱللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Woh chahtay hain kay Allah kay noor ko apney mun say bujha den aur Allah apney noor ko kamal tak phonchaney wala hai go kafir bura manen
Surah As-Saff, Verse 8
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ
Wohi hai jiss ney apney rasool ko hidayat aur sacha deen dey ker bheja takay ussay aur tamam mazaahib per ghalib ker dey agar cheh mushrikeen na khush hon
Surah As-Saff, Verse 9
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ تِجَٰرَةٖ تُنجِيكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Aey eman walo! Kiya mein tumhen woh tijarat batla doon jo tumhen dard naak azab say bacha ley
Surah As-Saff, Verse 10
تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Allah Taalaa per aur uss kay rasool per eman lao aur Allah ki raah mein apney maal aur apni jaanon say jihad kero. Yeh tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho
Surah As-Saff, Verse 11
يَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡ وَيُدۡخِلۡكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّـٰتِ عَدۡنٖۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah Taalaa tumharay gunah moaf farma dey ga aur tumhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren jari hongi aur saaf suthray gharon mein jo jannat adan mein hon gay yeh boht bari kaamyabi hai
Surah As-Saff, Verse 12
وَأُخۡرَىٰ تُحِبُّونَهَاۖ نَصۡرٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَتۡحٞ قَرِيبٞۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur tumhen aik doosri (nemat) bhi dey ga jisay tum chahtay ho woh Allah ki madad aur jald fatah yaabi hai eman walon ko khushkhabri dey do
Surah As-Saff, Verse 13
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُوٓاْ أَنصَارَ ٱللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ لِلۡحَوَارِيِّـۧنَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِۖ فَـَٔامَنَت طَّآئِفَةٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَكَفَرَت طَّآئِفَةٞۖ فَأَيَّدۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَىٰ عَدُوِّهِمۡ فَأَصۡبَحُواْ ظَٰهِرِينَ
Aey eman walo! Tum Allah key madadgar bann jao. Jiss tarah hazrat marium kay betay hazrat essa ney hawariyon say farmaya kay kaun hai jo Allah ki raah mein mera madadgar baney? Hawariyon ney kaha hum Allah ki raah mein madadgar hain pus bani israeel mein say aik jamat to eman laee aur aik jamat ney kufur kiya tum hum ney mominon ki unn kay dushman kay muqabley mein madad ki pus woh ghalib aagaye
Surah As-Saff, Verse 14