Surah Al-Mumtahana Verse 4 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Mumtahanaقَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَـٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
(musalmaano) tumhaare liye hazrath Ibraheem(alaihissalaam) mein aur un ke saathiyo mein behetreen namona hai, jab ke un sab ne apni khaum se barmala keh diya ke hum tum se aur jin jin ki tum Allah ke siva ibaadath karte ho, un sab se bilkul bezaar hai, hum tumhaare (aqaayedh ke) munkir hai, jab tak tum Allah ki wahdaaniyath par imaan na laao, hum mein tum mein hamesha ke liye baghz wa adaawath zaaher ho gayi, lekin Ibraheem(alaihissalaam) ki itni baath to apne baap se hoyi thi, ke main tumhaare liye isteghfaar zaroor karonga, aur tumhaare liye mujhe Allah ke saamne kisi cheez ka eqtiyaar kuch bhi nahi, aye hamaare parvardigaar, tujh hee par hum ne bharosa kiya hai aur teri hee taraf rujo karte hai aur teri hee taraf lautna hai