Surah Al-Mumtahana Verse 4 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Mumtahanaقَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَـٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
(musalmano!) tumharay liye hazrat ibrahim mein aur unn kay sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay unn sab ney apni qom say bar mala keh diya kay hum tum say aur jin jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho unn sab say bilkul bey zaar hain. Hum tumharay (aqaeed kay) munkir hain jab tak tum Allah ki wahadaniyat per eman na lao hum mein tum mein hamesha kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin ibrahim ki itni baat apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor keroon ga aur tumharay liye mujhay Allah kay samney kissi cheez ka ikhtiyar kuch bhi nahi. Aey humaray perwerdigar tujhi per hum ney bharosa kiya hai aur teri hi taraf rujoo kertay hain aur teri hi tarf lotna hai