Surah Al-Anaam Verse 119 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَمَا لَكُمۡ أَلَّا تَأۡكُلُواْ مِمَّا ذُكِرَ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ وَقَدۡ فَصَّلَ لَكُم مَّا حَرَّمَ عَلَيۡكُمۡ إِلَّا مَا ٱضۡطُرِرۡتُمۡ إِلَيۡهِۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا لَّيُضِلُّونَ بِأَهۡوَآئِهِم بِغَيۡرِ عِلۡمٍۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُعۡتَدِينَ
aur aaqir kya wajeh hai, ke tum aise jaanwar mein se na khaao jis par Allah ka naam liya gaya ho, halaan ke Allah ta’ala ne un sab jaanwaro ki tafseel bata di hai jin ko tum par haraam kiya hai, magar wo bhi jab tum ko saqth zarurath pad jaaye to halaal hai aur ye yaqini baath hai ke bahuth se aadmi apne qayalaath par bila kisi sanadh ke gumraah karte hai, us mein koyi shuba nahi ke Allah ta’ala hadh se nikal jaane waalo ko qoob jaanta hai