Surah Al-Araf Verse 100 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafأَوَلَمۡ يَهۡدِ لِلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡأَرۡضَ مِنۢ بَعۡدِ أَهۡلِهَآ أَن لَّوۡ نَشَآءُ أَصَبۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡۚ وَنَطۡبَعُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
Aur kya un logon ko jo sabiq ehle zameen ke baad zameen ke waris hotey hain , is amr e waqayi ne kuch sabaq nahin diya ke agar hum chahein to unke kasooron par unhein pakad sakte hain? (Magar woh sabaq-aamoz haqaiq se tagaful baratte hain) aur hum unke dilon par mohar laga dete hain, phir woh kuch nahin suntey